Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 63 64 65 66 [67] 68 69 70 71 ... 273
Print
Author  (Read 131237 times)
angel4u
Guest
«Reply #990 on: March 26, 2007, 08:31:03 PM »

Kya Bhala Mujhko Parakhne Ka Nateeja Nikla,
Zahm-E-Dil Aap Ki Nazron Se Bhi Gehra Nikla,

Tod Kar Dekh Liya Aayina-E-Dil Tune,
Teri Soorat Ke Siwa Aur Bata Kya Nikla,

Tishnagi Jam Gayi Patthar Ki Tarah Hothon Par,
Doob Kar Tere Dariya Mein Main Pyaasa Nikla...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #991 on: March 26, 2007, 09:41:19 PM »
Nice collection Angle
Logged
angel4u
Guest
«Reply #992 on: March 27, 2007, 05:37:35 PM »
Thanks a Lot pooja ji...


Haath Mera Aye Meri Parchhayi Tu Hi Thaam Le,
Ek Muddat Se Mujhe To Soojhta Kuch Bhi Nahi,

Shaher-E-Shab Mein Kaunsa Ghar Tha Jispar Na Di Sada,
Neend Ke Andhe Musaafir Ko Mila Kuch Bhi Nahi,

Umar Bhar Umar-E-Gurezaan Se Na Meri Ban Saki,
Jo Kare Karti Rahe Main Puchhta Kuch Bhi Nahi,

Wo Bhi Shayad Ro Pade Veeran Kagaz Dekh Kar,
Maine Usko Aakhri Khat Mein Likha Kuch Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #993 on: March 27, 2007, 05:43:26 PM »

Raaz Ki Baatein Likhi Aur Khat Khula Rehne Diya,
Jaane Kyon Ruswaiyon Ka Silsila Rehne Diya,

Umar Bhar Mere Sath Reh Kar Wo Na Samjha Dil Ki Baat,
Do Dilon Ke Darmiyaan Ek Fasla Rehne Diya,

Apni Fitrat Wo Badal Paaya Na Is Ke Bawajood,
Khatam Ki Ranjish Magar Gila Rehne Diya,

Main Samajhta Tha Khushi Degi Mujhe SABIR Fareb,
Isliye Maine Gamon Se Raabta Rehne Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #994 on: March 27, 2007, 05:50:21 PM »
Pyaar Mujhse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi,
Mere Haalaat Ki Aandhi Mein Bikhar Jaogi,

Ranj Aur Dard Ki Basi Ka Main Bashinda Hoon,
Ye To Bas Main Hoon Ke Is Haal Mein Bhi Zinda Hoon,
Khwaab Kyon Dekhun Wo Kal Jispe Main Sharminda Hoon,
Main Jo Sharminda Hua Tum Bhi Sharmaogi,

Kyon Mere Sath Kio Aur Pareshan Rahe,
Meri Duniya Hai Jo Veeran To Veeran Rahe,
Zindai Ka Ye Safar Tumko To Aasan Rahe,
Humsafar Mujhko Banaogi To Pachhtaogi,

Ek Main Kya Abhi Aayenge Deewane Kitne,
Abhi Gunjenge Mohabbat Ke Taraane Kitne,
Zindagi Tumko Sunayegi Fasane Kitne,
Kyon Samajhti Ho Mujhko Bhool Nahi Paogi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #995 on: March 27, 2007, 05:53:32 PM »

Zara Dekho!
Meri Aankhon Mein Dekho!
Meri Aankhon Mein
YaQeen Ki Lau Ko Dekho!
Meri Aankhon Ka
YaQeen Jaano!
YaQeen Ye Itna Na-Pukhta Nahi Ke
Zindagani Ke Masaa'ib Ki,
Jhamelon Ki,
Bikharti Dhool Mein,
Ye Dagmaga Jaye,
Zara Dekho!
Meri Aankhon Mein Is Pehlu Badalte,
Karvatein Lete Hue,
Ehsaas Ki Shiddat Ko Pehchano!
Meri In Kaifiyaton Mein,
Niyyaton Mein,
Jagmagaati Ek SadaaQat
Bolti Hai
Is SadaaQat Par,
YaQeen Aa Jayega Tumko,

Na Aaye Gar YaQeen Jaanaa.....!

Magar Dekho!
Suna Hai Ek Duniya Se,
Ke Sachhayi,
Khud Apna Aap Manvaati Hai Logon Se,
Ke Sachi Niyyatein,
Kaifiyyatein Aakhir,
Asar Karti Hai Dil Par,
Raayegaan
Bilkul Nahi Jaati,

To Phir Dekho
Meri Aankhon Mein Dekho!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #996 on: March 27, 2007, 05:57:18 PM »

Sanam Ne Chashm Ko Jis Raah Ka Intezaar Diya,
Hum Aise The Ke Ye Jeewan Wahin Guzar Diya,

Gayi Wo Umr Magar Tees Na Gayi Dilse,
Diya Jo Zakhm Wafa Ne So Yaadgaar Diya,

Jigar Ke Waaste Paida Sharaab Kar Daali,
Khuda Ne Dil Ko Na Koi Bhi Gam-Gusaar Diya,

Jahan Kisiko Lagaya Hai Apne Seene Se,
Usi Ne Taak Ke Khanjar Wahin Utaar Diya,

Bhale Hi Chhod Diya Raaste Mein Yaaron Ne,
Hamari Zaat Ka Aakhir Koi Aitbaar Diya,

Dhula Dhula Sa Ye Chehra, Ye Surkh Si Aankhein,
Tumhare Gam Ne Hamein Aur Bhi Nikhaar Diya,

Mere Badan Pe Ye Aankhein Kuch Aisi Lagti Hai,
Kisi Ki Qabr Pe Jaise Ho Sogwaar Diya,

Dilon Se Khelna Aadat Badi Kharab Thi,
Kisi Ne Khel Ke Tumse Tumhe Sudhaar Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #997 on: March 27, 2007, 06:05:18 PM »

Wo Mujhse Puchh Raha Tha Batao Kaisa Laga,
Tum Agle Zakhmo Ko Chhodo Ye Ghaav Kaisa Laga,

Ajab Sawal Kiya Aandhiyon Ne Patton Se,
Shajar Se Toot Kar Girna Batao Kaisa Laga,

Tum Isko Chhodo Zara Apne Dilse Ye Puchho,
Kaha Jo Usne Mujhe Bhool Jao Batao Kaisa Laga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #998 on: March 27, 2007, 06:09:02 PM »

Yun Na Mil Mujhse Kafa Ho Jaise,
Saath Chal Mauj-Saba Ho Jaise,

Log Yun Dekh Kar Hans Dete Hai,
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise,

Maut Bhi Aayi To Is Naaz Ke Saath,
Mujh Par Ehsaan Kiya Ho Jaise,

Hichkiyan Raat Bhar Aati Rahein,
Tune Phir Yaad Kiya Ho Jaise,

Aise Anjaan Bane Baithe Ho,
Tum Ko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise,

Zindagi Beet Rahi Hai Sanam,
Ek Bejurm Saza Ho Jaise...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #999 on: March 27, 2007, 06:12:39 PM »

Hum Bhi Shikasta Dil Hai Pareshan Tum Bhi Ho,
Andar Se Reza Reza Meri Jaan Tum Bhi Ho,

Hum Bhi Hai Ek Ujde Hue Shaher Ki Tarah,
Aankhein Bata Rahi Hai Ke Weeran Tum Bhi Ho,

Darpayish Hai Hamein Bhi Kadi Dhoop Ka Safar,
Saaye Ki Aarzu Mein Pareshan Tum Bhi Ho,

Hum Bhi Khizaan Ki Shaam Ka Aangan Hai, Becharag,
Belein Hai Jis Ki Zard, Wo Daalan Tum Bhi Ho,

Jaise Kisi Khayal Ka Saya Hai Do Wajood,
Hum Bhi Agar Qayas Hai, Imkaan Tum Bhi Ho,

Mil Jayein Hum To Kaisa Suhana Safar Kate,
Ghayal Hai Hum Bhi, Sokhta Saaman Tum Bhi Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1000 on: March 27, 2007, 06:16:55 PM »

Agar Jo Dilki Sunoge To Haar Jaoge,
Hum Jaisa Pyaar Phir Kahan Paoge,

Jaan Dene Ki Baat To Har Koi Karta Hai,
Zindagi Banane Wala Kahanse Laoge,

Jo Ek Nazar Dekhoge Tum Hamein,
Tu Har Taraf Sirf Hum Hi Ko Paaoge,

YaQeen Apni Mohabbat Par Itna Hai Mujhe,
Meri Chahat Ko Dekhoge To Laut Aaoge,

Meri Aankhon Ke Samundar Mein Doob Gaye Agar Jo,
Kahin Jaana Bhi Chahoge Tu Na Jaa Paoge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1001 on: March 27, 2007, 06:18:24 PM »

Mujhko Ab Tak Tere Aane Ka Woh Manzar Yaad Hai,
Dil Pe Mere Nazar Se Khanjar Chalna Yaad Hai,

Main Teri Yaadon Ko Dil Mein Le Ke Phirta Hoon,
Maazi Ka Guzra Zamana Tujhko Bhi Kuch Yaad Hai,

Chilchilati Dhoop Mein Wo Surkh Jode Ki Chamak,
Aatishein Kirno Ka Rukhsaaron Pe Aana Yaad Hai,

Alwida Hote Hue Nazron Se Dete Kya Payaam,
Wo Tere Nazuk Labon Ka Kapkapana Yaad Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1002 on: March 27, 2007, 06:22:13 PM »

Jab Tum Chale Jaoge,
To Yaad Mujhe Tum Aaoge,

Chehre Pe Udaasi Chhayegi,
Aankhon Mein Aansu Aayenge,

Gam Saare Bhool Jaungi,
Sirf Ek Khayal Reh Jayega,

Tum Wapas Kab Aaoge,

Aur Mujhko Kitna Tadpaoge,
Tum Yaad Mujhe Aaoge,

Haathon Ko Jab Main Dekhungi,
To Pyaar Dekhayi Dega,

Raaton Ko Jab Main Soungi,
Khwabon Mein Sirf Tum Aaoge,

Main Rahungi Mar Jaungi,
Bas Ek Khayal Reh Jayei,

Tum Wapis Kab Aaoge,
Aur Mujhko Kitna Tadpaoge,
Tum Yaad Mujhe Aaoge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1003 on: March 27, 2007, 06:24:11 PM »

Har Khushi Mein Koi Kami Si Hai,
Hansti Aankhon Mein Bhi Nami Si Hai,

Din Mein Chupchap Sar Jhukaye Tha,
Raat Ki Nabz Bhi Thami Si Hai,

Kisko Samjhayein Kiski Baat Nahi,
Zehen Aur Dil Mein Phir Thani Si Hai,

Khwab Tha Ya Gubaar Tha Koi,
Gard In Palkon Pe Jami Si Hai,

Keh Gaye Hum Kisse Dil Ki Baat,
Shaher Mein Ek Sansani Si Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1004 on: March 27, 2007, 06:26:49 PM »

Wo Kya De Kisiko Dua Zindagi Ki,
Jise Mil Rahi Ho Saza Zindagi Ki,

Ke Sun Kar Jise Nam Na Ho Meri Aankhein,
Koi Baat Aisi Bata Zindagi Ki,

Aamir Aaj Wo Shakhs Bhi Mar Gaya Hai,
Jo Karta Tha Baatein Sada Zindagi Ki...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 63 64 65 66 [67] 68 69 70 71 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 12:49:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer