Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13
ReplyPrint
Author  (Read 8858 times)
Roja
Guest
«Reply #120 on: September 27, 2009, 05:52:05 AM »
Reply with quote
samajh na sake dooriyan kyun thi,
zuban per the lafz phir majbooriyon kyun thi,

dilon ki baat agar chaye haqiqat hoti hai,
hamare darmiyan woh khamoshiyan kyun thi,

boone the humne bhi kuch reshmi dhaagon ke khwaab,
humare hisse mein woh kaali dooriyan kyun thi,

idhar honthon per azab si joombish,
udhar kuch raaz dil ke talon mein,

samajh nake na sargoshiyan hawaon ki,
humare hisse mein sehra ki andhiyan kyun thi,

tumhe gurez meri chand baaton se,
main bhi parwaz ki thi hamil,

pahoonch ke mill ke patthar per sochta hoon,
safar tanha tou phir woh dooriyan kyun thi…
Logged
Roja
Guest
«Reply #121 on: September 27, 2009, 05:53:14 AM »
Reply with quote
Intezaar to karein ke jab vo aaye bhi
Bhool jaayein hum chhode jo mere saaye bhi

Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhege apne aur paraaye bhi

Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le
Yaadon mein aake baar-baar aazmaaye bhi

Kehta hai duniya mein chhod dega hume
Mud ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi

Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi

Shikwa bhi to kya karein hum kisi se
Khoya ik humsafar to lakhon rehnuma paaye bhi.
Logged
Roja
Guest
«Reply #122 on: September 27, 2009, 06:04:45 AM »
Reply with quote
Maine sukhe patto se poocha
Yu ped se bichad ke ji kaise rahe ho?

Usne Kaha aadat si pad gayi hai!

Tanhai raton se poocha
Itni gumsum si kyun rehti ho?

Usne kaha aadat si par gayi hai!

Maine dilse poocha Jaam me dard mila kar kyu pite ho?

To dilne kaha Yeh aadat hai jo badalte nahi!
Mai lakh chahta hu, Phir bhi yeh sudharte nahi!

Logged
Roja
Guest
«Reply #123 on: September 27, 2009, 06:06:25 AM »
Reply with quote
Mai musaffir hu,
Khushiyon ki talash me chala ja raha hu,

Ankhon me asoonwon ka toofan,
Dil me dard ka ehsaas liye,
Anjani raho mein bhatak raha hu...

Shayaad yeh soach kar ke
Dard ke us mod par kahi na kahi,
Kabhi na kabhi meri manzil mujhe mil jaye.

Main Musaffir Hoon...haan yaaron mai musaffir hoon.
Logged
Roja
Guest
«Reply #124 on: September 27, 2009, 06:09:15 AM »
Reply with quote
Dard tha dil mein jo paraya tha,
Nikal gaya dil se jo rona aaya.

Kuch umeedon pe mohobat ki thi shayad,
Jinkey tut janey pe unhein rona aaya.

Shaam ki kubsorati deykhi nahi,
Dhaltey ujaley pe kyun rona aaya.

Zamaney ki baton to dil se laga kar,
Utha pyar se bharosa jo rona aaya
Logged
Roja
Guest
«Reply #125 on: September 27, 2009, 06:42:01 AM »
Reply with quote

Kitabo ke panno ko palat kay sochta hu,
Yu palat jaye meri zindagi tho kya baat hai,

Khwabon mein roj milta ho
Jo haqikat mein aa jaaye tho kya baat hai,

Kuch matlab se kyu dhundte hai mujh ko,
Bina matlab jo aaye to kya baat hai,

Jo sarifon ke batoon mein baat na ho,
Wo koyi sharabi keh jaye tho kya baat hai,

Apne rehne tak tho khusi dunga sab ko,
Jab meri maut se khushi mil jaye tumko tho kya baat hai.
Logged
Roja
Guest
«Reply #126 on: October 11, 2009, 05:25:11 AM »
Reply with quote
Dil Uddas Rehta Hai

Bohat dino se mera dil uddas rehta hai
Main kya karoon bas ek hi shaks yaad rehta hai

Kabhi khayaal hi nahi aata ke main akeli hoon
Ab to mera dost mere saath rehta hai

Tum se baat karte hue halat ajeeb hoti hai
Mujhe to kuch bhi na hosh-o-hawaas rehta hai

Kahin tum badal na jao kahin tum mujhe bhool na jao
Na jaane kyun mujhe ab yeh khauf her waqt rehta hai

Naa jaane mere dil ko kya hogaya hai
Kyun ab yeh her waqt uddas rehta hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #127 on: October 11, 2009, 12:58:45 PM »
Reply with quote
Reza Reza Bhikhar Gayi Hu Mai ,
Aye Zindagi Tujhse Darr Gayi Hu Mai.
Kyu Nakaam Hogayi Meri Saari Duayen
Kya Koi Gunah Kar Gayi Hu Mai.
Mat Do Mujhe Jeene Ki Dua,
Chuu Kar Dekho Mar Gayi Hu Mai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #128 on: October 11, 2009, 01:00:20 PM »
Reply with quote
Gham ka SAAGAR kitna gehra hota hai
Khushya,n paane pr bhi yeh dil rota hai

Yaad mai teri jaag raha hai saari raat
Khawab mai tere woh saara din sota hai

Gham ki fasle,n kaat raha hai jaane kyoo,n
Jo hamesha beech khushi kay bota hai

Bewafaee kay jo dhabbay dil mai hai,n
Apni ashko,n se daagh e dil dhota hai

Mujh jesi hee haalat hoti hai Ahsan
Apna pyaar kisi say jab yoo,n khota hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #129 on: October 11, 2009, 01:11:05 PM »
Reply with quote
Ek amanat tujhko dee thhi kahan tu is kay qaabil thha
Pyar ka jeevan jisko sonpa woh hee pyar ka qaatil thha

Jang-e-ishq mai maat hamesha mujh hee ko mil jati thhi
Kya karun har baar mera hee pyar mere muqaabil thha

Tu samet kay apni saari khushyan mujh se bichhar gaee
Bhool gaee tu khushi mai teri dard mera bhi shaamil thha

Patthar kee maanad mujhko ek thokar maar kay chhor diya
Mai deevana mai pagla haan shayad isee qaabil thha

Sab kuch bhool kay teri yaad mai aksr gum sum rehta thha
Apne saare gham or khushyon se bilkul mai ghaafil thha

Apna saara jeevan ahsan us kay husn pay vaar diya
Uske ishq mai doob raha thha jo ishq e lahaasil thha
Logged
Roja
Guest
«Reply #130 on: October 15, 2009, 02:53:10 PM »
Reply with quote
Guzar gaya hai jo, kyun dil se jata nahi
Ret pe likhi kahaani ko, kyun samundar mitata nahi

Kayi saal hue yahan se kashtiyan guzare
Ab to barsaat ka pani bhi yahan tik pata nahi

Siyasi khel main mere Mandir-Masjid lut gaye
Badi der hui Maalik, koi Paigambar bhi aata nahi.

Mere seene ke ghaav itane to gehree na the
Jane kya baat hai ki waqt bhi inhe bhar pata nahi
Logged
Roja
Guest
«Reply #131 on: October 15, 2009, 02:54:37 PM »
Reply with quote
Yeh na socha tha ki phir tanha hongey hum,
Par tere Janey key baad phir tanha ho gaya……….

Pyar ka jo humney gharonda sajaya tha,
Sajatey hi lagta hai, jaisey bikhar gaya..
Do lafj teri jubaa sey pyaar key,
Sune hue lagta hai, jamana guzar gaya...

Poocha phool sey kyun murjha gaye ho tum,
Bola dekho pyaar ka mausam badal gaya..
Jisey dekh kar khilti thi aankhon ki kaliyan,
Roz dhoondhti hai usey, ki kidhar gaya…........
Logged
Roja
Guest
«Reply #132 on: October 15, 2009, 02:57:02 PM »
Reply with quote

Sukun mil gaya aaj muje badnaam ho kar
Tere har ek ilzaam pay yu bezubaan ho kar

Kya hua gar bulaya mujhe be-izzat karne ke liye
Khush hu mai teri mehfil me mehman ho kar

Log pad hi lenge mohabbat teri aankhoon mein
Chahe karle lakh inkar tu anjaan ho kar

Ilzaam muj par lagakar khud roye ja raha hai
Kya payega mera hamdard shar e aam ho kar

Mil to gaya suboot mujhe teri mohabbat ka
Ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar...
Logged
Roja
Guest
«Reply #133 on: October 16, 2009, 03:30:49 PM »
Reply with quote
Hosh-o-Hawas Ganwa Chukkey
Khud Se Bhi Door Ja Chukkey
Log Jo Tere Thay Kabhi
Apne Bhi Woh Naheen Rehey
Yeh Bhi Hua Ke Tere Baad
Ab Shoq-e-Safar Nheen Raha
Jin Pe Bichey Huye Thay Dil
Rastay Bhi Woh Naheen Rehey
Apna Khayal Rakhyea Ga
Logged
Roja
Guest
«Reply #134 on: October 16, 2009, 03:40:15 PM »
Reply with quote
यूँ ही उदास है दिल बेक़रार थोड़ी है
मुझे किसी का कोई इंतज़ार थोड़ी है
नज़र मिला के भी तुम से गिला करूँ कैसे
तुम्हारे दिल पे मेरा इख़्तियार थोड़ी है
मुझे भी नींद न आए उसे भी चैन न हो
हमारे बीच भला इतना प्यार थोड़ी है
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:34:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer