Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13
ReplyPrint
Author  (Read 8856 times)
Roja
Guest
«Reply #135 on: October 17, 2009, 08:28:49 AM »
Reply with quote
Rehnewalon Se Nahi,
Jaanewalon Se Pucho
Ki Zindgi Kya Cheez Hoti Hai.

Panewalon Se Nahi,
Khonewalon se Pucho
Ki Izzat Kya Cheez Hoti hai.

Amiron Ko Kya Dekthe Ho,
Zara Garibon Se Pucho
Ki Daulat Kya Cheez Hoti Hai,

Arre Jiss Ne Dil Diya Hai Usse Nahi,
Jiska Dil Toota Hai Usse Pucho
Ki Mohabbat Kya Cheez Hoti Ha
Logged
Roja
Guest
«Reply #136 on: October 18, 2009, 04:34:27 PM »
Reply with quote
Dum Labon Par Hai Agar
Ab Bhi Nahi Aaoge

Laash Paaoge Meri
Mujhko Nahi Paaoge

Behtar Yahi Hoga Mujhse
Mera Haal na Poocho

Mera Haal Sunoge
Tum To Tadap Jaaoge

 tearyeyed
Logged
Roja
Guest
«Reply #137 on: October 19, 2009, 02:43:18 PM »
Reply with quote
Khud ko mujh se juda kiya us ne
Jo na karna tha wo kiya us ne

Yaad karne se bhi na yaad aaun
Aisa mujh ko bhula diya us ne

Main to bas waqt ki zaroorat hoon
Mujh ko aakhir bata diya us ne

Apne hathon se khud he likh ke mujhe Jaan
Janey phir kyun mita diya us ne
Logged
Roja
Guest
«Reply #138 on: October 19, 2009, 02:44:40 PM »
Reply with quote
Mohhabat Ka gum hota bahut Hai,
Ke ab Ye Lafz Bhi Ruswa bahut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kya Bataun?
Gali Kochon Mein sannata bahut Hai,

Na milne Ki qasam Kha Ke Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bahut Hai,

Ye Aankhein Aur Kya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bahut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hain Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,

Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bahut hai

Logged
Roja
Guest
«Reply #139 on: October 19, 2009, 02:48:32 PM »
Reply with quote
Tum mujhe chahoge ek din dekhna
Haan chale aaoge ek din dekhna

Yu karo mat mere jazbon se mazak
Warna pachtaoge ek din dekhna

Soch lo ye berukhi acchi nahi hai
Khud ko tarpaoge ek din dekhna

Mere chehre ki jhalak ke liye
Tum taras jaoge ek din dekhna
 
Logged
Roja
Guest
«Reply #140 on: October 23, 2009, 01:17:51 PM »
Reply with quote
Sabne pehana tha bade shauk se kaagaz ka libaas
Jis kadar log the baarish mein nahaane wale

Yu hi tum na hume aas dilaao…
Katl ho jate hai, zanzeer hilaane wale…

Kisko hogi yahan taufeek-e-anaa mere baad…
Kuch to socho mujhe sooli pe chadhaane wale…

Marr gaye hum to ye kabr pe likhaa jaayega…
So gaye aap zamaane ko jagaane wale…

Dar-o-deewaar pe hasrat si barasti hai
Jaane kis desh gaye pyaar nibhaane wale


 tearyeyed
Logged
Roja
Guest
«Reply #141 on: October 23, 2009, 01:25:35 PM »
Reply with quote
Wafa ko aazmana chahiye tha humara dil dukhana chahiye tha
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha

Humari khwaahish ek ghar ki thi, usse sara zamaana chahiye tha
Meri aankhein kaha nam huyi thi, samundar sa bahana chahiye tha

Jaha par pahuchna mai chahti hu, waha pe pahuch jana chahiye tha
Humara zakham purana bahut hai, charagar bhi purana chahiye tha

Mujhse pehle wo kisi aur ka tha magar kuch shayrana chahiye tha
Chalo mana ye choti baat hai per tumhe sab kuch batana chahiye tha

Tera bhi shaher me koi nahi tha mujhe bhi ek thikana chahiye tha
Ke kis ko kis tarah se bhoolte hain tumhe mujhko sikhana chahiye tha

Aisa lagta hai lahoo mein humko kalam ko bhi dubana chahiye tha
Ab mere saath raah ke tanz na kar, tujhe jana tha jana chahiye tha

Kya bus maine hi ki hai bewafaai?, jo bhi sach hai batana chahiye tha
Meri barbadi pe wo chahta hai, mujhe bhi muskurana chahiye tha
Logged
Sammual
Guest
«Reply #142 on: October 23, 2009, 01:41:14 PM »
Reply with quote
Wow All Are SuperB Keep Postin. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #143 on: October 23, 2009, 03:04:32 PM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achchi Collection Hai Roja Sis,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #144 on: October 24, 2009, 03:16:18 PM »
Reply with quote
Thank you vey much Sam and Azeem brother
Logged
Roja
Guest
«Reply #145 on: October 24, 2009, 03:19:45 PM »
Reply with quote
Dard hame na zakhmo ka na dawaon ka hai
Bekarari is dil ko bas teri Duwaon ka hai

Jawab to teri khamoshi ne de diya
Gila to ab bhi mujhe teri baaton ka hai

Tu gaya yun ke mujhe bhool hi gaya
Intezaar shayad tujhe inhi bahano ka hai

Tanha khud ko mai kaise khelaun
Harpal phera jo teri yaado ka hai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #146 on: October 25, 2009, 12:51:48 PM »
Reply with quote
Kaise jiyen ge dard k mare tere bagair
Ab koun de ga dil ko sahare tere bagair

Tanhaiyon ki aag mere aas paas hay
Koy naheen jo pouche nazar kyun udas hay
Lagte hain phool mujhay sharare tere bagair

Tere hi dam se ghar ki faza khushguwar thi
Dar_o_diwar pe noor tha harso bahar thi
Benoor hain yeh sare nazare tere bagair

Har din hay soguwaar
Hr ek raat gham ki raat hay

Katte hain raat din teri yadoon k sath sath
Aansu bane hain gham k sitare tere bagair
Logged
Roja
Guest
«Reply #147 on: October 25, 2009, 12:56:02 PM »
Reply with quote
Eik naye moor pe le aye hain hallat mujhay
Har qadam par mili ashkoon ki yeh barsaat mujhay

Duoor hoti gayen khushiyaan dard bharte gaye dil k
Aaj phir pichli yadoon se ro rahi hoon galy mil k

Yaad ane lagi bhuli huy har baat mujhay
Gham se kab jaan chuty gi kab khushi raas aye gi

In sawaloon se ghabra k mout hi paas aye gi
Meri mehromiyaan phirti hain liye sath mujhay
Logged
Roja
Guest
«Reply #148 on: October 25, 2009, 01:06:20 PM »
Reply with quote
chand khwabon k ata kar k ujale mujhko
kar diya waqtne duniya k hawale mujhko

jinko suraj bhi meri chaukhat se mila karta tha
aaj wo khairaat main dete hain ujaale mujhko

main hoon kamzor magar itna bhi kamzor nahi
toot jaye na kahin todne wale mujhko

aur bhi log mere saath safar karte hain
kar na dena kisi manzil k hawale mujhko

ye meri qabr mera aakhiri maskan hai naeem
kis main dam hai jo mere ghar se nikaale mujhko
Logged
Roja
Guest
«Reply #149 on: October 25, 2009, 01:35:17 PM »
Reply with quote
Koi mera bhi to ho saath nibhanay ke liye
Mujhe maangey KHUDA se apna bananey ke liye

Mere aansoo meri palkon se churanay ke liye
Bas wohi ho mujhe seenay se laganey ke liye

Yun to hain chahnay walay bohat se dunya mein
Nahin hai koi magar saath nibhanay ke liye

Din bhar khwaab jo tootay thay samaitay humne
Phir so gaye naye khwaab sajanay ke liye

Roz ik Jehd-e-Musalsal mein lagi rehti hoon
Meri saanson ki rawaani to faqat dhoka hai

Haan main zinda hoon magar sirf dikhanay ke liye......
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:57:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 27 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer