Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 8755 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: September 02, 2009, 03:32:59 PM »
Reply with quote
Aansoo nahi thamay hain aankhon main abhi tak
Jaatay huay rota woh mujhay chod gaya tha

Armanon ki Duniya k anmol se sapnay
Pal main woh mere saamnay sab tod gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin youn hi
Besabab Duniya se meri rukh mod gaya tha

Din ki tanhayi ka gam, Raaton ki uddasi hamraah
Saaray gamon se rishta mera jod gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke ussay poochay
Yahan kis k sahaaray pe mujhay chod gaya tha
Logged
Roja
Guest
«Reply #16 on: September 02, 2009, 03:36:09 PM »
Reply with quote
Mausam ko isharon se bula kyun nahi lete ,
Rootha hai agar woh to mana kyun nahi lete.

Deewana tumhara hai koi ghair nahi hai,
Machla hai to seene se laga kyun nahi lete.

Tum jaag rahe ho mujhe achcha nahi lagta,
Chupke se meri neend chura kyun nahi lete.

Haath likh ke kabhie - aur kabhie khat ko jala kar,
Tanhaii ko rangiin bana kyun nahi lete
Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: September 02, 2009, 03:40:16 PM »
Reply with quote

Na ab wo raah hai..na ab wo hum…!!!
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum

Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam
Chalte chalte liya waqt ne yoon mod

Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum
Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish

Har jazbe se khaali jaise ab hue hum
Askhon ka samundar ufan raha hai dil main

Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam
Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte

Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !

Logged
Roja
Guest
«Reply #18 on: September 02, 2009, 03:48:10 PM »
Reply with quote
Wö Nahi Mera Magar Us Se Möhabbat Hai Tö Hai.
Ye Agar Rasmön Rivajön Se Bagawat Hai Tö Hai.

Sach Kö Main Ne Sach Kaha Jab Keh Diya Tö Keh Diya.
Ab Zamane Ki Nazar Mein Ye Himaakat Hai Tö Hai.

Döst Ban Kar Dushmanö Sa Wö Satata Hai Mujhe.
Phir Bhi Us Pathar DiL Pe Marna Apni Fitrat Hai Tö Hai.

Kab Kaha Mene K Wö MiL Jaye Mujh Kö.
Uski Bahön Mein Dum NikLe Itni Hasrat Hai Tö Hai.
Logged
Roja
Guest
«Reply #19 on: September 02, 2009, 03:51:06 PM »
Reply with quote
Ba-zid hai dil us ke bin guzara ho nahi sakta
Magar hum jante hai wo hamara ho nahi sakta

Us ke bin badi be-rang hogi zindagi apni
Us ke baad koyi bhi sahara ho nahi sakta

Us ka bhi to hoga haath meri iss tabahi mein
Faqat taqdeer ka hi khel sara ho nahi sakta
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #20 on: September 02, 2009, 05:02:10 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Roja Ji
aapne kamaal ki ghazalen post ki hain
ye ghazalen to khazana hain, kya tarif ki jaye
bas wah wah wah wah wah
Aur aapka bhi shukriya ki itni khubsurat shayari share ki
aisi hi rachnaen post karti rahiye
SARVESH RASTOGI
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #21 on: September 02, 2009, 05:33:24 PM »
Reply with quote
WO dhalti sham thi wo nadi ka kinara tha....
Janha hum mil kar karte thye pyar ki baate kabhi......

Ek din tumne kaha tha mera hath apne hath mai le kar
Kabhi na bichdenge ek dusre ke ho ke rahenge hum

Tum hi ne kaha tha tum zindgi ho humari
Ye jism hai khuda ka ghar aur sanse aur jaan hai tumhari

Ye sun kar humari ankho se ashq to bahe par
Gumne apne garam haatho se tham liye thye

Aaj fir meri ankho mai ansu hai mere humsafar
Wo hi haath jo ansu na bhane dete thye

Aaj vahi tere garam haath kitne shard ho gaye hai
Aaj vahi haath jo hamesa dusro ke liye uthte thye

Aaj ussi ko uthane ke liye dusre haatho ki jarurat ho gayi
ZINDGI KITNI BAHERNUMA HO GAYI......

WO GAYE CHOD HUME HUM TANHA HO GAYE....... tearyeyed


bahut khoob roja ji verry nice collection...ApplauseApplauseApplauseApplause  Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #22 on: September 03, 2009, 02:06:29 AM »
Reply with quote
Wow really touching and beautiful sharing Roja ji.excellent. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #23 on: September 03, 2009, 02:42:41 PM »
Reply with quote
Bohot achhe roja kuchh or umda ash'aar padhne ko mile.
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: September 04, 2009, 06:57:29 PM »
Reply with quote
bahut khoob roja ji verry nice collection...ApplauseApplauseApplauseApplause  Clapping Smiley

Thank you Geet
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #25 on: September 04, 2009, 06:59:51 PM »
Reply with quote
ur welcme ji...notworthy...:
Logged
Roja
Guest
«Reply #26 on: September 05, 2009, 04:03:52 PM »
Reply with quote

Sir jhukaney ki aadat nahi rahi
Ansoo bahaney ki aadat nahi rahi

Hum kho gaye to pachtao gay bohat
Hamari laut ke aaney ki aadat nahi rahi

Tere dar pe mohabbat ke sawali ban jatey
Lekin hath phelaney ki aadat nahi rahi

Teri yaadein humko aziz hain bohat
Magar waqt ganwaney ki aadat nahi rahi

Tum sakht dil nikley kya gila karein hum
Shikwa-e-dil lab pe laney ki aadat nahi rahi

Bad'dua bhi kya karein haq mein tumhare
Humein to dil bhi dukhaney ki aadat nahi rahi
Logged
Roja
Guest
«Reply #27 on: September 05, 2009, 04:05:31 PM »
Reply with quote
Lutf woh ishq mein paye hain ke jee janta hai
Ranj bhi aisay uthaye hain ke jee janta hai...

Jo zamane ke sitam hai woh zamana jane
Tu ne dil itne dukhaaye hain ke jee janta hai...

Muskurate hoe woh majmaa agiyar ke saath
Aaj youn bazm mein aaye hai hain ke jee janta hai...

Inhi qadmoN ne tumhare inhi qadmo ki qasam
Khaak mein itne milaye hain ke jee jaanta hai

Saadgi, bankpan, agmaaz, shararat, shokhi
Tu ne andaz woh paaye hain ke jee janta hai...

Kaaba-o-deer mein pathra gayi dono ankhein
Aisay jalwe nazar aaye hain ke jee janta hai...

Tum nahin jaante ab tak ye tumhare andaaz
Wo mere dil mein samaaye hain ke jee jaanta hai

Dosti mein teri, darparda hamare dushman
Is qadar apne paraye hain ke jee janta hai...

'Daag'-e-warafta ko hum aaj tere kooche se
Is tarah khainch ke laye hain ke jee janta hai.
Logged
Roja
Guest
«Reply #28 on: September 05, 2009, 04:08:48 PM »
Reply with quote
Tum ne dil ki baat kah di aaj ye achchha hua
Hum tumhein apna samajhte the bada dhokha hua

Jab bhi hum ne kuch kaha us ka asar ulta hua
Aap shayad bhulate hain baar-baar aisa hua

Aap ki aankhon mein ye aansu kahan se aa gaye
Hum toh deewane hain lekin aap ko ye kya hua

Ab kisi se kya kahein hum apni dastaan
Bas khuda ka shukr hai jo bhi hua achchha hua
Logged
Roja
Guest
«Reply #29 on: September 05, 2009, 04:14:24 PM »
Reply with quote
Dekh kar khuwab tumhara
Soti hi nahi ye aankhein
Bas tumko hi kayi pal
socha karti hain meri saansein
Tumse milne ki ummeed hi to hai
Jo ye mera dil dhadakta hai
Bas tumhare naam se hi to
Chalti hai meri saansein
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:45:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer