Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13
ReplyPrint
Author  (Read 8851 times)
malli
Guest
«Reply #165 on: February 10, 2010, 01:54:39 PM »
Reply with quote

piyar ka pehla khat liKhne me waqt to lagta hai
naye parindon ko orne me waqt to lagta hai

jiSm ki baat nahi thi on K dil tak jana tha
lambi doori tay karne me waqt to lagta hai

gaanth agar par jaye to phir rishte ho ya dori
laakh karen koshish kholne me waqt to lagta hai

hum ne ilaaj e zakhm e dil to dhond liya lekin
gehre zakhmon ko bharne me waqt to lagta hai
Logged
malli
Guest
«Reply #166 on: February 10, 2010, 01:55:27 PM »
Reply with quote
Mere lye tou hurf e dua hogaya wo shahks
Sare dukhon ki jese dawa hogaya wo shahks

Main asman pay tha tou zameen ki kashish tha wo
Utra zameen pay to hawa hogaya wo shahks

Main uska hath dekh raha tha k daf'atan
simta, simat k rang e hina hogaya wo shahks

phirta hai le k aankh ka kashkoul dar badar
Dil ka bhram luta to gada hogaya wo shaks

Yun bhi nahi k pass ho wo mere ham nafas
Ye bhi ghalat k mujh se juda hogaya wo shahks

Parhta main namz samjh ker usay Rasheed
Phir yun hua k mujh se Qaza hogaya wo shahks
Logged
malli
Guest
«Reply #167 on: February 10, 2010, 01:56:54 PM »
Reply with quote
Ek pal bhi chain say guzra ho tu qasam le lo
Siwaye yaadon ke koyi or sahara ho tu qasam le lo

Pehle tu baat or thi jo tum pe haq jatatay thay
Ab khud par bhi koyi haq humara ho tu qasam le lo

Tum hi nay kaha tha k tumharay labon par mera hi naam aaye
Os ke baad jo liya ho naam kisi ka tu qasam le lo
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #168 on: February 10, 2010, 01:59:59 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Malli Ji
Logged
malli
Guest
«Reply #169 on: February 10, 2010, 02:01:00 PM »
Reply with quote
Jab meri yaad sataaye toh mujhe khat likhnaa
Tum ko jab neend naa aaye toh mujhe khat likhnaa

Neele pedon ki ghani chhaanv mein hansta saawan
Pyaasi dharti mein samaane ko tarasta saawan
Raat bhar chhat pe lagataar barasta saawan
Dil mein jab aag lagaye toh mujhe khat likhnaa

Jab phadak uthe kisi shaakh pe patta koi
Gudgudaye tumhein beeta hua lamhaa koi
Jab meri yaad ka bechain safina koi
Jee ko rah rah ke jalaye toh mujhe khat likhnaa

Jab nigaahon ke liye koi nazara naa rahe
Chaand chhip jaaye gagan par koi sahara naa rahe
Log ho jaayein paraye toh mujhe khat likhnaa
Logged
malli
Guest
«Reply #170 on: February 10, 2010, 02:02:40 PM »
Reply with quote
wah wah pyari behna Kya Kehne
Bahut Hi Achha Intikhab Hai

Keep It Up....


Khush Rahiye...

~Shihab~


haha... shukriya... aap aaye bhai mere, accha laga. Kuch humne likha b hai dhoondo aur apna bi likh ke jawab do... tongue3
Logged
malli
Guest
«Reply #171 on: February 10, 2010, 02:04:02 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Malli Ji

Thanks Rishi ji
Logged
malli
Guest
«Reply #172 on: February 18, 2010, 01:50:31 PM »
Reply with quote
Wah Wasi Shah sb ka kya kehna... bahut bahut khoob. And thanks for coming dear Majid brother
Logged
malli
Guest
«Reply #173 on: February 18, 2010, 01:54:30 PM »
Reply with quote
Kuch is tarah vo meri zindagi mein aaya tha
Mera hote huye bi vo ek saaya tha

Hawa mein udne ki dhun ne ye din dikhaya tha
Udaan meri thi lekin safar paraya tha

Mai apne wade pe kayam na reh saki verna
Vo todi dhur hi jaakar to laut aaya tha

Na ab vo ghar hai na us ghar ke log yaad mujhe
Na jaane usne kahan se mujhe churaya tha..


कुछ इस तरह वो मेरी ज़िन्दगी मे आया था
मेरा होते हुए भी वो एक साया था
हवा मे उड़ने की धुन ने ये दिन दिखाया था
उडान मेरी थी लेकिन सफ़र पराया था
मैं अपने वादे पे कायम ना रह सकी वरना
वो थोडी दूर ही जा कर तो लोट आया था
ना अब वो घर हैं ना उस घर के लोग याद मुझे
ना जाने उसने कहाँ से मुझे च्रुराया था...

Logged
malli
Guest
«Reply #174 on: February 18, 2010, 01:55:14 PM »
Reply with quote
धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो
ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो

वो सितारा है चमकने दो यूँ ही आँखों में
क्या ज़रूरी है उसे जिस्म बनाकर देखो

पत्थरों में भी ज़ुबां होती है दिल होते हैं
अपने घर के दरोदीवार सजा कर देखो

फ़ासला नज़रों का धोखा भी तो हो सकता है
वो मिले या न मिले हाथ बढ़ा कर देखो
Logged
malli
Guest
«Reply #175 on: February 18, 2010, 01:59:10 PM »
Reply with quote
Main aaj mohabbat ka agaaz karu...
Chand Alfaaz se shuruat karu,
Akela ho chuka hun main,
Ab kabhi na aisi baat karu,
Khelti rahi jo khel kismat,
Main uske saath khela karu,
Chand Alfaaz se shuruat karu,
Main aaj mohabbat ka agaaz karu....

Zaruri nahi woh bhi chahe mujhe,
Jise hardam main chaha karu,
Kasam na khayi thi usne kabhi,
Tu kare pyaar gar main bhi karu,
Annsu aajate hai labon tak,
Haste haste unhe piya karu,
Chand Alfaaz se shuruat karu,
Main aaj mohabbat ka agaaz karu....

Bhulne ki koshish nahi karta use,
Par use yaad bhi na kiya karu,
Dil se judi hai meri woh is kadar,
Yeh baat kisi se na kaha karu,
Keh diya hum bhula chuke use,
Dil hi dil ab bhi us se pyaar karu,
Chand Alfaaz se shuruat karu,
Main aaj mohabbat ka agaaz karu...
Logged
malli
Guest
«Reply #176 on: February 25, 2010, 02:04:41 AM »
Reply with quote
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....
Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati,
Bahut udas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati
Dosti kro to dhoka mat dena......
Dost ko ansuon ka tohfa mat dena.....
Dil se roye koi tumhe yaad kr k....
Aisa moka zindagi may kisi ko mat dena
huda salamat rakhe unko
joh humse Nafrat karte hai,
Pyar na sahi, Nafrat hi sahi, Kuchh toh hai,
joh sirf Humse karte hain
Dil kabhi na lagana humesha dard hipaoge!
Biti baate yaad karke rote hijaoge.
Karne hi hai to gaheri karo DOSTI!
Humesha ummid se dugna hi paoge!!!
baat karna na koi dil ko dukhanae wali
tot jai na kasam sath nibhanae wali
zindagi tujh se bicher kar bhi guzar jai gi
Logged
malli
Guest
«Reply #177 on: February 25, 2010, 02:06:57 AM »
Reply with quote
Woh to deewana tha mujhe tanha chhod gaya,
Khud na ruk saka to Apna saaya chhod gaya,

Dukh nahin Gham is baat ka hai,
Aankho se ker ke waada baaton se tod gaya
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #178 on: February 25, 2010, 02:32:56 AM »
Reply with quote
Wah bahut achi poems share ki aapne Malli ji and Shihab ji.also lovely creation.really touching lines. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #179 on: March 12, 2010, 06:47:06 AM »
Reply with quote
Ab hai Khushii Khushii me.n na Gam hai malaal me.n

ab hai Khushii Khushii me.n na Gam hai malaal me.n
duniyaa se kho gayaa huu.N tumhaare Khayaal me.n

mujh ko na apanaa hosh na duniyaa kaa hosh hai
mast hoke baiThaa huu.N tumhaare Khayaal me.n

taaro.n se puuchh lo merii rudaad-e-zindagii
raato.n ko jaagataa huu.N tumhaare Khayaal me.n

[rudaad = story]

duniyaa ko ilm kyaa hai zamaane ko kyaa Khabar
duniyaa bhulaa chukaa huu.N tumhaare Khayaal me.n

[ilm = knowledge]

duniyaa kha.Dii hai muntazir-e-naGmaa-e-alam
'Behzad' chup kha.De hai.n kisii ke Khayaal me.n

[muntazir = waiting]

                   N/M

Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:42:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer