Roja
Guest
|
«Reply #30 on: September 05, 2009, 04:20:39 PM » |
|
Arre Suno
Abhi tum ishq mat karna Abhi matti se khelo tum
Tumhari umar hi kya hai Abhi to masoom ho tum
Nahi maloom abhi tum ko Ke jab yeh ishq hota hai
To insaan kitna rota hai Sitarey toot jaatey hai
Sahare choot jaatey hai Abhi tum ne nahi dekha
Ke jab saathi bichertey hai To kitna dard milta hai
Ke her furqat k mausam mein Hazaron gham ubhertey hai
Hazaron zakham miltey hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #31 on: September 05, 2009, 04:22:38 PM » |
|
Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye
Wo Mujh se phir mila hai Aaj Khawabon mai Ae Khudaya kahin Meri Neend khul na jaye
Pucha na ker sab ke Samne Meri Kahani Kabhi Tera Naam Hoton se nikal na jaye
Ji-Bhar ke dekh lo Hum ko Tum Sanam Kya pata phir Zindagi ki Shaam dhal na jaaye
Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #32 on: September 05, 2009, 04:26:54 PM » |
|
Tere qareeb rahun yaa ki door jaaun mai Hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chaahun mai
Mai janti hu wo rakhta hai chahatein kitni Magar ye baat usse kis tarah bataun mai
Jo chup raha toh samjhega badgumaan mujhe Bura bhala hi sahi kuch toh bol aaun mai
Phir iss ke baad ta'alluq mein faasle honge Mujhe sambhaal ke rakhna bichhad na jaun mai
Mohabbaton ki parakh ka yahi toh raasta hai Teri talaash mein nikalun tujhe na paun mai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #33 on: September 05, 2009, 04:28:42 PM » |
|
Apna gham bhool gaye teri jafaa bhool gaye. Ham to har baat muhabbat ke siva bhool gaye..
Ham akele hi nahi pyar ke deewaane sanam. Aap bhi nazare jhukane ki adaa bhl gaye..
Ab to socha hai ke daaman hi tera thaamenge. Haath jab hamane uthaaye hain dua bhool gaye..
Shukr samajho ya ise apani shikayat samajho. Tum ne vo dard diya hai ke dawa bhool gaye..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
jasbirsingh
Guest
|
|
«Reply #34 on: September 05, 2009, 04:30:24 PM » |
|
wah wah wah ..ROJA ji.. wah wah what superb collections ... great..
jasbir singh
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #35 on: September 05, 2009, 04:33:08 PM » |
|
Iss mein koi shiqwa naa shiqayat naa gila hai Ye bhi koi khat hai ki mohabbat se bhara hai
Kya yaad dilayenge mujhe mere sitamgar Her naqsh-e-sitam khud mere seene pe likha hai
Mujh ko meri aawaz sunayi nahin deti Kaisa ye mere jism mein ek shor macha hai
Chehre mein hai aaina ki aaine mein chehra Maloom nahi kaun kise dekh raha hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #36 on: September 05, 2009, 04:33:43 PM » |
|
wah wah wah ..ROJA ji.. wah wah what superb collections ... great..
jasbir singh
Thank you very much Jas ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
jasbirsingh
Guest
|
|
«Reply #37 on: September 05, 2009, 04:34:30 PM » |
|
Thank you very much Jas ji
oh welcome ji... tusi lagey raho sohniyoh..... keep posting .. jasbir singh
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #38 on: September 05, 2009, 04:37:04 PM » |
|
Tere pyaar meN ruswaa hokar jaayeN kahaaN diivane log jaane kyaa kyaa puuchh rahe haiN yeh jaane pahchaane log
Her lamhaa ehsaas ki sahbaa ruuh meN Dhaltii jaatii hai Ziist ka nasha kuchh kam ho to ho aayeN maikhaane log
Jaise tumheN hamne chaahaa hai kaun bhalaa yuuN chaahegaa Manaa aur bohat aayenge tumse pyaar jataane log
Aage piichhe daayeN baayeN saaye se lahraate haiN Dunyaa bhii to dasht-e-balaa hai ham hii nahiiN diivaane log
Kal maatam be-qiimat hogaa, aaj inkii tauqiir karo Dekho khuun-e-jigar se kyaa kyaa likhte haiN afsaane log.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #39 on: September 05, 2009, 04:39:21 PM » |
|
Dil Lagi thi UsSay Hum Se Muhabbat Kab Thi Mehfil-E-Gair Se Us Ko Fursaat Kab Thi
Hum Thay Muhabbat Main luTt Jane Ke QaAil Us Ke Waadu'N Main Who Haqiqat Kab Thi
Who Waqt Guzari Ke Liye Karta Tha Piyar Ki Bate'N Warna Meri Khatir UsKe Dil Main Chahat Kab Thi
Buhat Roka Lekin Nikal AaTe Hain Kam-Bakht Aa'NSu Bazm-e-Yaara'N Main Magar Rone Ki Ijazat Kab Thi
KhudAa Jane Kis Ki Yaad Main Hoya Hai Who Behaal Meray Ishq Main Us Ki Aesii HalAat Kab Thi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
SARVESH RASTOGI
Guest
|
|
«Reply #40 on: September 05, 2009, 04:39:49 PM » |
|
Bahut bahut khoob Roja Ji Kamaal ki sharing hai ye Bahut bahut shukriya itni khubsurat mehfil sajane ka
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #41 on: September 05, 2009, 04:48:10 PM » |
|
Hum tere sheher me aaye hai musafir ki tarah sirf ek baar mulaqat ka mouka de de
Meri manzil hai kahan, mera thikana hai kahan Subah tak tujhse bicharkar mujhe jaana hai kahan Sochne ke liye ek raat ka mouka de de
Apni ankhon me chupa rakha hai jugnon maine Apni palkon pe saja rakha hai aansu maine Meri aankhon ko bhi barsaat ka mouka de de
Aaj ki raat mera dard mohabbat sun le Kapkapate hue honton ki shikayat sun le Aaj is haar khayalaat ka mouka de de
Bhoolna tha toh ye ikraar kiya hi kyon tha? Bewafa tu ne mujhe pyar kiya hi kyon tha? Sirf do char sawaalaat ka mouka de de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
jasbirsingh
Guest
|
|
«Reply #42 on: September 05, 2009, 04:53:21 PM » |
|
wah wah wah roja ji... wah wah
jasbir singh
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #43 on: September 05, 2009, 04:56:20 PM » |
|
Bahut bahut khoob Roja Ji Kamaal ki sharing hai ye Bahut bahut shukriya itni khubsurat mehfil sajane ka
Bahut bahut shukriya Sarvesh Rastogi ji. Yahan jo share kiya hai sab nazm and ghazals mere dil k bahut kareeb hai. Thank you once again
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #44 on: September 05, 2009, 04:57:49 PM » |
|
wah wah wah roja ji... wah wah
jasbir singh
Thanks thanks thanks... Thank you very very much Jas ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|