Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 8762 times)
Roja
Guest
«Reply #75 on: September 10, 2009, 03:12:08 PM »
Reply with quote


Zara si raat dhal jaye to shayad neend aa jaye
Zara sa dil behal jaye to shayad neend aa jaye

Abhi to qurb hai bechani hai aur beqarari hai
Tabiyat kuch sambhal jaye to shayad neend aa jaye

Abhi to naram jhonkon mein chupe hain teer yaadon ke
Hawa ka rukh badal jaye to shayad neend aa jaye

Ye hansta muskurata qafla chand aur taaron ka
Zara aagy nikal jaye to shayad neend aa jaye

Ye toofan ansuon ka jo ubhar aaya hai palkon tak
Kisi surat se tal jaye to shayad neend aa jaye.....
Logged
Roja
Guest
«Reply #76 on: September 10, 2009, 03:14:15 PM »
Reply with quote
Khuli jo aankhen to wo tha na wo jamana tha,
Dehekti aag thi, tanhai thi, fasana tha,

ghumon ne baant liya yun mujhe aapas me,
Ki jaise mai koi loota hua khajana tha,

Ye kya ki chand kadmo me hi thak ke baith gaye,
Tumhe to saath mera door tak nibhana tha,

Mujhe jo mere lahoo me doobo ke gujra hai,
Wo koi gair nahi yaar ek purana tha,

Khud apne haath se usko kat diya,
Ki jis darakht ki tehni pe apna aashiyana tha.
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #77 on: September 10, 2009, 04:02:46 PM »
Reply with quote


u knw roja ji merri ek frend hai bahut sweet hai uska real name tou kuch aur hai but main use ANGEL bulati hu..ye naam merre liye bahut special hai aur merre dil k kareeb bhi isliye main poori koshish karungi k angel ji k threads ko bheed mein naa khone du...take care...
Logged
Roja
Guest
«Reply #78 on: September 11, 2009, 03:01:09 AM »
Reply with quote
Badla Jo Waqt To Gehri
Mohabbat Badal Gayi

Sooraj Dala To Saaye Ki
Surat Badal Gayi

Ek Waqt Taq Hum Unki
Zarurat Bane Rahe

Fir Yu Hua Ki Unki
Zarurat Badal Gayi
 tearyeyed

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #79 on: September 11, 2009, 03:05:53 AM »
Reply with quote
Bahut khoob ,beautiful collection Roja ji. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #80 on: September 11, 2009, 06:46:06 PM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob roja behen, ek se badh kar ek kalaam hai.. or ye akheeri shear:


Ek Waqt Tak Hum Unki zarurat Bane Rahe
Fir Yu Hua Ki Unki zarurat Badal Gayi


Lajawaab.. Bemisaal hai.. mujhe aysa laga kisi ne meri puri kahani likh di ho.. bohot achhe roja..
Logged
Roja
Guest
«Reply #81 on: September 15, 2009, 02:43:41 AM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob roja behen, ek se badh kar ek kalaam hai.. or ye akheeri shear:

Lajawaab.. Bemisaal hai.. mujhe aysa laga kisi ne meri puri kahani likh di ho.. bohot achhe roja..

Shukriya bhai....

Abhi mai yahi chahungi k aap mere her shayari... mere apne aur mera collections sab pado aur comment karo. Kya yeh possible hai?  sad5
Logged
Roja
Guest
«Reply #82 on: September 15, 2009, 02:45:46 AM »
Reply with quote
Rasta b katan, dhoop mein shidat bi buhut thi.
Saye se magar us ko muhabbat bi buhut thi.

Kheme na koe mere musafir ke jalae,
Zakhmi tha buhut, paoon musafit bi buhut thi.

Barish ki Duaoon mein nami ank ki mil jae...
Jazbe ki kabi itni rafaqat bi buhut thi.

Kuch to tere mousam hi mujhe raas kam aye
Aur kuch meri matti mein bagawat bi buhut thi.

Pholon ka bikarna to muqadar hi tha lekin....
Kuch is mein hawaoon ki siyasat bi buhut thi.

Is tarq-e-rafaqat pe pareshan to hu lekin
Ab tak k tere sath pe hairat bi buhut thi

 tearyeyed
Logged
Roja
Guest
«Reply #83 on: September 15, 2009, 02:49:27 AM »
Reply with quote
Muhabbat Ka Asar Hoga,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna
Who Badle Ga Chalan Apna,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

TasaLli bhi Usay Dena Ye Mumkin Hai Mai Laut Aaon
Magar Ye bhi Usay Kehna,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Tumhara Tha,Tumhara Hoon,Tumhara Hi Rahoon Ga Mai
Mere Baray Main Is Darja Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Muhabbat Ka Bharam Toota Hai,Ab Chup Chup ke Rote Ho
Tumhe Mai Ne Kaha Tha Na,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Bacha Le Ga Tujhe Sehra Ki Tapti Dhoop Se Kaun
Kisi Ki Yaad Ka Saya?Ghalat Fehmi Main Mat Rehna
Logged
Roja
Guest
«Reply #84 on: September 15, 2009, 02:50:20 AM »
Reply with quote
Ab dekh ke Jee ghabrata hai, Sawan ki suhani raton ko
Piya chorh gaye, dil torh gaye, Ab aag lage barsaton ko

Ae jan e muhabat, jan e ghazal, Aao to tumhari nazar karein
Ankhon mein sajaye bethe hain hum pyar bhari soghaton ko

Yoon pyar ki qasmein kha kha kar kyun jhooti tasali dete ho?
Bas rehne do hum jaan gaye sarkar tumhari baaton ko

Maska hua anchal shanon pe, yeh zulf ki latt uljhi uljhi
Ankhon ki khumar kehti hai rehte ho kahin tum raaton ko

Zulfon ko hawa mein lehrana, hans hans ke tumhara bal khana
Andaz hain sab dil lene ko, hum jaan gaye in bhaaton ko

Be-dard haseenon ki khatir kyun hotay ho bad-naam Fana
Safak sitamgar kya samjhein hum dil walon ki baaton ko
Logged
Roja
Guest
«Reply #85 on: September 15, 2009, 02:51:23 AM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob roja behen, ek se badh kar ek kalaam hai.. or ye akheeri shear:

Lajawaab.. Bemisaal hai.. mujhe aysa laga kisi ne meri puri kahani likh di ho.. bohot achhe roja..

Ghar chorney lagey toh koi yaad aaa gaya
Ansoo nikal parey toh koi yaad aa gaya

Ghar ko baananey wala toh koi matti mein so gaya
Hisey jo batt gaey toh koi yaad aa gaya

Jin k liey thukraa diya wohi
Thukraa kar chal diey toh koi yaad aa gaya

Din bhar toh ous ki yaad sey ghafil rehey magar
Jalney lagey diey toh koi yaad aa gaya

Ab ous k shehar janey ka sochey bi kis tarhaa
Jab paaoon cut gaey toh koi yaad aa gaya

Ous ne bi toh kiey thay magar nibhaey nehi
Wadey kabi kiey toh koi yaad aa gaya


 sad7
Logged
Roja
Guest
«Reply #86 on: September 15, 2009, 02:52:23 AM »
Reply with quote
Koii dhundla sa ik chehra meri ankhon main rehta hai
koi bhatka sa ik JuGnO mere khawabon main rehta hai

ik manoos si awaz mujhay sonay nahin deti
koii uljha sa ik jumla meri yadon main rehta hai

hay kis k shabnami anchal ki khushboo ab talak mujh main
koii ehsaas mehka sa meri sansoon main rehta hai

mujhay khud per nahin qabo na main kuch bol sakta hon
asar yeh kis k lafzon ka meri baton main rehta hai

december ki khunak ratain mujhay bechain rakhti hain
lamas ka aik haath ab tak meri sochon main rehta hai

hay dil bhi muztarib, ehsaas bhi, sochon ki uljhan bhi
yeh kis ki ankh ka ansoo meri ankhon main rehta hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #87 on: September 15, 2009, 02:54:05 AM »
Reply with quote
Tumhare Na Hone Se Kuch Nahin Badla..
Yeh Suraj bhi Wahi Se Nikalta Hai.
Aasman pe Taare Bhi Chamakte Hai.
Aur Chand Ki Chandni Bhi Hoti Hai.

Hawa Bhi Chalti Hai .
Dariya Bhi Behti Hai .
Phool Bhi Khilte Hai.
In Main Khusboo Bhi Hoti Hai..

Lekhin..

Najane Kyun Tumhare Na Hone Se
Har Cheez Andhori Si Lagti Hai..

Har Suba.
Sham Si Lagti Hai.
Har Muskaam Udass Si Lagti Hai.
Har Mehfil Anjaan Si Lagti Hai.
Har Dharkan Be-jan Si Lagti Hai.

Sach To yeh Hai.
Ke Sari Duniya Veeraan Si Lagti Hai
Tumhare Na Hone Se Aisa Lagta Hai ?
Logged
Roja
Guest
«Reply #88 on: September 15, 2009, 02:54:39 AM »
Reply with quote
Beetay Huye Dion Ko Bhulaya Nahi Jata
Jo Ro Rahay Hom Unko Rulaya Nahi Jata

Hasnay Walon Ko Rulana Aasan Hai Lekin
Ronay Walon Ko Kabhi Hasaya Nahi Jata

Apno Or Gheron Ko Bhulana Asaan Hai Lekin
Dil Todnay Walay Ko Bhulaya Nahi Jata

Murjhaye Huye Pholon Ko Khilaya Nahi jaata
Patjhar May Kabhi Phool Talaasha Nahi Jata

Do Dilon Ko Alag Karna To Asaan Hai logon Leki
Bichray Huye Dilon Ko Koi Milane Nahi Ata

Beetay Huye Dion Ko Bhulaya Nahi Jata
Jo Ro Rahay Hon Unko Rulaya Nahi Jata
Logged
Roja
Guest
«Reply #89 on: September 15, 2009, 02:55:11 AM »
Reply with quote
Phir Us Kay Jatay Hii Yeh Dil SunSaan hO Kar Reh Gya
Acha Bhala Ik Shehar Tha Veraan hO Kar Reh Gya

Har NaQsh Batal hO Gya Ab Kay Dyaar e Hijr Mein
Ik Zakhm gUzray WaQt Ki PehChan hO Kar Reh Gya

rUt Nay Meray CharOn Traf KheenChay Hisaar e Baam o Dar
Yeh Shehar Phir Meray Liye Zandaan hO Kar Reh Gya

kUch Din mUjhey Aawaz Dii lOgon Nay Us Kay Naam Say
Phir Shehar Bhar Mein wO Merii PehChaan hO Kar Reh Gya

Ik Khwaab hO Kar Reh Gaien gUlShan Say Apni NiSbatien
Dil Raiza Raiza KaanCh Ka gUl-Daan hO Kar Reh Gya

Har Sa'at e Aaraam e Dil Har Lamha TaSkeen e jAan
BiChaRay hOye Ik Shakhs Ka Paimaan hO Kar Reh Gya

Khwahish tO Thii mUjhay TaSheer e Mehar o Maah Kii
Lekin Fqat Main Sahib e Dewaan hO Kar Reh Gya
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:34:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer