Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 8765 times)
Roja
Guest
«Reply #90 on: September 15, 2009, 02:57:30 AM »
Reply with quote
Gar Us Mein Tha Bhi Koi Nuks Achha Lagta Tha,
Kuch Is Tarah Mujhe Wo Shakhs Achha Lagta Tha,

Bas Ek Din Mujhe Dekha Tha Aankh Bhar Usne,
Phir Aaine Ko Mera Aks Achha Lagta Tha,

Wo Aankhon Aankhon Mein Is Pyar Se Phirati Thi,
Kitab-E-Gam Ka Har Ek Dars Achha Lagta Tha,

Kalam-E-Yaar Ki Talkhee Se Sochte Hi Na The,
Kharam-E-Yaar Ka Wo Raakhs Achha Lagta Tha,

Chura Gaya Hai Gaya Waqt Zaiqe Warna,
Hawaon Ka Bhi Lims Achha Lagta Tha…
Logged
Roja
Guest
«Reply #91 on: September 15, 2009, 02:58:02 AM »
Reply with quote
Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,

K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?

Gali Kochon Mein sannata bohut Hai,

Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,

Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,

Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,

Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,

Shayid mujhe Rona bohut hai.
Logged
Roja
Guest
«Reply #92 on: September 15, 2009, 02:59:19 AM »
Reply with quote
Yeh kya ke her Dam kisi ki Minnatein karna
Kya is hi ko kehte hain Mohabbatein karna

Jo apni Qismat mai hai milega wohi
Kis baat pe hai RAB se Shikayate karna

Yeh Pagal-pan nahi to aur kya hai phir
Zameen ke hokar Aasman se Baghawatein karna

Boht kar chuka hai logon, Pyaar yeh Dil
Ab koi sikhaye isko bhi Nafratein karna

Pehle Yaad karna usse phir Rote rahna
Jaane kab chorrega Dil, yeh Harkatein karna
Logged
Talat
Guest
«Reply #93 on: September 15, 2009, 11:46:55 AM »
Reply with quote
Beautiful sharing Roja dear
Logged
Roja
Guest
«Reply #94 on: September 16, 2009, 08:19:46 AM »
Reply with quote
Beautiful sharing Roja dear

Thank you very much dear Talat  Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #95 on: September 16, 2009, 08:20:55 AM »
Reply with quote
Kuch na kuch to zaroor hona hai
Saamnaa aaj un se hona hai

Todo phenko rakho, karo kuch bhi
Dil humara hai kya khilona hai

Zindagi aur maut ka matlab
Tum ko paana hai tumko khona hai

Itna darna bhi kya hai duniya se
Jo bhi hona hai woh to hona hai

Uth ke mehfil se mat chale jaana
Tumse roshan yeh kona kona hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #96 on: September 16, 2009, 08:22:48 AM »
Reply with quote
Khushnaseeb hain hum ki mile aap mujhe
Tanha zindagi ki safar mein mila saathi anmol mujhe

Gum ke badalon ne kabhi gher rakha tha mujhe
Ab badalon ko cheer ke bhi suraj deti hai roshni mujhe

Ae dost kismat mein mere iss se pehle itni khushi kabhi na thi
Aap ne saath humara deke dard ko bhulana sikha diya mujhe

Hum to rote the uski yaad mein
Dost aap ne aansuon ko peena sikha diya mujhe

Uss dhokebaaz ne to maar hi dala tha humein
Dosti ki taqat se jeena sikhaya aap ne mujhe
Logged
Roja
Guest
«Reply #97 on: September 16, 2009, 08:35:46 AM »
Reply with quote
Kabhi kabhi kyu hum un logon ko galat maan lete hai
Jinka koyi kasoor nahi hota

Aur kabhi kabhi kyu hum unhi se dhuriyan bana lete hai,
Jinhe kabhi hum apna mante they..

Kabhi kabhi kyu hum unhi se nazer bhi nahi mila paate
Jinki nazron mein kabhi hum apne aapko dekha karte they

Aur kabhi kabhi kyu hum unse milna bhi nahi chahte,
Jinse kabhi hum milne ke bahane tashte rehte the..

Kabhi kabhi kyu hum apne dil ka dard unhe bata nahi paate
Jinke dil mein kabhi hum rehte they

Aur Kabhi kabhi kyu hum itna Pattar Dil ho jaate hai,
Ki kisi ka dil usee Pattar Dil se tod dete hai..


Logged
Roja
Guest
«Reply #98 on: September 17, 2009, 04:48:26 PM »
Reply with quote
Ek hi baar jee bhar ke saza kyun nahi dete?

Gar harf-e-khata hoon to mita kyun nahi dete?

Saaya hoon to phir saath rakhne ka sabab kya?

Patthar hoon to raste se hata kyun nahi dete?

Rehzan hoon to phir shauq se looto meri duniya

Rehbar hoon to ghar ka pata kyun nahi dete
Logged
Roja
Guest
«Reply #99 on: September 17, 2009, 04:49:16 PM »
Reply with quote
Anderon Main Koi.................Diya Na Jalta
Hum Gum Ki Chadar Uoar Kar Yon Hi Soye Rehte

Ansoon K Moti Paro Kar Yonhi Mala Buna Karte
Aik Wo Shakas Kash Humain Na Milta Hota

Jis K Hone Ka Ehsaas Dhnak Jiasa
Chand Ki Thndak Jiasa Baraf Ki Narmi Jiasa

Aik Wo Shakas Kash Humain Na Milta Hota
Mizaaj Jis Ka Samandar Jiasa Shoq Sharara Jaisa
Our Kuch Harjai Sa
Aik Wo Shakas Kash Humain Na Milta Hota

AaJ Jab Wo Pass Hai To Ajab Anoka Ehsaas Hai
Kal Sath Na Ho Ga To Kya Ho Ga?
Aik Wo Shakas Kash Humain Na Milta Hota
Logged
Roja
Guest
«Reply #100 on: September 17, 2009, 04:50:10 PM »
Reply with quote
Ghame zindagi bata day kay mera kasoor kya ha
Jisay toot kar tha cha ha WO hi dor ho gaya ha

Yeh jo chahatoon kay rishton mein darar aa gaee ha
Isay kaisay pur karon mein kay kathin yeh fasla ha

WO rifaqatoon ka mousam meray haath mein nahin hain
Yeh hijar ka sard mousam meray dard ka gawah ha

Jo mohabbaton mein khaee wo hay *** kuch ajb si
Jo judaeeon nay bakhsha wo bhi dard kuch naya ha

Mein tumhain bhula rahi hoon mujhay tum bhula bhi da lo
Yeh ha waqt ka taqaza yeh hi meri ilteja ha

Koi ashq na giray ga sar-e- aam teri khatir
Mein tanhaeeon mein ro loon mujhay itna hosla ha
Logged
Roja
Guest
«Reply #101 on: September 17, 2009, 04:52:42 PM »
Reply with quote
Milayee hai aapne nazre to, raat bhar jagna to hoga
Jab bhi do main sada aapko to aana hoga

Barsat ka mousam yaad to hoga
Waqt hona ho pal pal ke liye tarsna hoga

Mohobbat karte hai bas keh diya
Par ab to is aag me umra bhar jalna hoga

Patzad me jis tarah pero se patte girte hai
Har sapne ke bikharne ka dard mehsus karma hoga

Aapke yaado ke har pal me ham rahege
Jab bhi tanha honge hamara saath to jelna hoga

Ham na honge aapki zindagi me koi gam nahi hoga
Par ek sapne ke adhure rehne ka dard to sehna hoga

Umra bhar hamara naam aap chahe na le
Par aakhri pal tak aapko intzar to hoga

Zindagi bhar ke liye na sahi par
Sach batao ek pal ke liye to aapne hame pyar kiya hoga”
Logged
Roja
Guest
«Reply #102 on: September 18, 2009, 02:37:06 AM »
Reply with quote
Hasrat rahi hamse bhi koi pyar kare
Aakar tanhai main wo pyar ka ijhar kare

Saja lungi palko pe sitaro ki mehfil
Sapno mein sajan se jab ru-b-ru baat kare

Har gam har sitam ko bhula dungi hamdam
Mujhe chahne wala gar jo mujhe yaad kare

Sahil pe baith kar barso intezar kiya hamne
Wo kab aaye aur kashti hamari uss par kare

Bhula kar gam sabse mile sanjidgi se hum
Aur mera hi daman mere gam se inkar kare

Sajakar ashq palkon pe ye soch rahe hai
Tanha hum ab kis-kis se fariyad kare.
Logged
Roja
Guest
«Reply #103 on: September 18, 2009, 02:49:06 AM »
Reply with quote
Titliyoun ko pakarna uski aadat thi
Har ek se milna uski aadat thi,

Wo jisko tanhai se dar lagta tha
Magar tanhai mai rehna uski aadat thi,

Wo ek ansoo girne per khafa hota
Jise tanhai me rone ki aadat thi,

Hamesha mafi mangne ki garz se
Roz nayi galtiyan karna uski aadat thi,

Wo jo dil-o-jaan nichawar karta tha mujh per
Magar choti se baat per rothna uski aadat thi,

Hum uske sath chal diye ye jantey huey bi
Raah mai har ek ko chor dena uski adat thi.
Logged
Roja
Guest
«Reply #104 on: September 18, 2009, 02:58:18 AM »
Reply with quote
Ret Ki Tarah Hath,Se Nikalta Chala Gaya.
Zindagi Har Lamha, Badalta Chala Gaya.

Aziz The Mujhe Apne Ausool Lekin Na Jane Kyun,
Naye Daurr Ke Dhanche Mein Yeh Dhalts Chals Gaya.

Sehar Hone Pe Bhi Chirag Woh Bhujne Nahi Deta,
Idhar Mein, Udhar Woh Shamma Bhi Jalta Chala Gaya

Khuda Kare Tu Mujhe Bhool Jaaye
Tere Labon Pe Kabhi Na Mera Naam Aaye

Ankhon Mein Teri Ho Ashk, Aisa Na Koi Muqaam Aaye
Bana De Teri Zindagi Khushnuma,
Aisa Teri Zindagi Mein Koyi PARI aaye
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:55:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer