first time before you friends.

by ufaq on May 05, 2012, 11:09:47 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 936 times)
ufaq
Guest
Reply with quote
mere ghar tune diya to kab jalaaya beraham.
koi jugnoo hi wahaan par jagmagaaya beraham.

raah mushqil thee hamaari aur mushqil ho gayi,
waqte rukhsat aankh hi tu bhar jo laaya beraham.

phir wahi aahen suni aur phir wahi aansu dikhe,
kya milaa tujhko jo mera dil dukhaaya beraham.

ret par shabnam giraakar sochta hu baat ye,
is bedardee se hi tune sab bhulaaya beraham.

zikr tera ho kabhi to aankh bhar aaye meri,
dekhne walo ne tujhko na bataaya beraham.

aik sapne ke sahaare kat rahi thee zindagi,
neem-shab kyun neend se mujhko jagaaya beraham.

kya kahu main kyun kahu aur kyun sunu main kya sunu,
baat koi ho bahas ko keench laaya beraham.

aate-jaate sabne thokar barhaan khaai magar,
raah se pathhar kisi ne na hataaya beraham.

sham se phir haay dil maayus apna hai ufaq
sham se phir haay koi yaad aaya beraham.
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #1 on: May 05, 2012, 11:18:09 AM »

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahut hi khubsurat gazal se agaz kiya hai apne ufaq ji dheroN daad aur mubarakbaad qabool karein.

Meri taraf se pehla rau bhi lijiye
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: May 05, 2012, 11:29:22 AM »
Reply with quote
mere ghar tune diya to kab jalaaya beraham.
koi jugnoo hi wahaan par jagmagaaya beraham.

raah mushqil thee hamaari aur mushqil ho gayi,
waqte rukhsat aankh hi tu bhar jo laaya beraham.

phir wahi aahen suni aur phir wahi aansu dikhe,
kya milaa tujhko jo mera dil dukhaaya beraham.

ret par shabnam giraakar sochta hu baat ye,
is bedardee se hi tune sab bhulaaya beraham.

zikr tera ho kabhi to aankh bhar aaye meri,
dekhne walo ne tujhko na bataaya beraham.

aik sapne ke sahaare kat rahi thee zindagi,
neem-shab kyun neend se mujhko jagaaya beraham.

kya kahu main kyun kahu aur kyun sunu main kya sunu,
baat koi ho bahas ko keench laaya beraham.

aate-jaate sabne thokar barhaan khaai magar,
raah se pathhar kisi ne na hataaya beraham.

sham se phir haay dil maayus apna hai ufaq
sham se phir haay koi yaad aaya beraham.

 Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Kohinoor
Guest
«Reply #3 on: May 05, 2012, 11:34:56 AM »
Reply with quote
*~*~*~SWAGATAM JI~*~*~*
!
Pehli hi post kafi asardaar rhi hai...
Very good..
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2012, 01:47:33 PM »
Reply with quote
Lajawab
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #5 on: May 05, 2012, 02:02:00 PM »
Reply with quote
waah waah waah welcome
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #6 on: May 05, 2012, 03:10:32 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: May 06, 2012, 02:45:04 AM »
Reply with quote
Ufaq sahab--
sabse pehle to aapka hardik swagat hai Yoindia Shayariadab par Usual Smile
janaab aapne kamaal ki ghazal share kari hai--
bht khoob--

janaab ek bat puchna chahunga ki--
agar ye aapki khud ki likhi poetry hai to aap ise Share section me q post kie?
aur agr nahi hai to aapne apna naam q mention kia?

jahan tak kosis karen ki apni likhi hui shayri ko proper section me hi post karen--
aur agr dusre shayar ki poetry post karni ho tab poetry launge section me post karen aur uss shayar ka bhi naam likhe--
agar shayr ka naam malum na ho ta NM likha karen--

shukriya
khus rahen
muskurate rahen
likhte rahen
aate rahen
Logged
ufaq
Guest
«Reply #8 on: May 06, 2012, 03:31:09 AM »

aadab , janaab sirfira sahab. sabse phele to aapka shukrguzaar hu ki aapne khaaksaar ki bazm men haaziri darj ki aur is adnaa si koshish ko pasand kiya...........janaab ye ghazal to meri khud ki likhi huyi hi hai aur jahaan tak rahaa ye sawaal ki maine ise share section men kyun post kiya to muaaf kariye lekin aapne mujhe bataaya hai ki ye aik share section hai........main yahaan par nayaa hu aur mujhe ilm nahi hai ki khud ki likhi shaayri ko post karne ke liye proper section kaun sa hai?.........aage se khyaal rakhunga...........aik baar phir se bahut-2 shukria.
Logged
dolly
Guest
«Reply #9 on: May 06, 2012, 12:21:49 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoobsoorat.....bahut umda....
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #10 on: May 07, 2012, 01:57:18 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 18, 2024, 02:11:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer