angel4u
Guest
|
|
|
Guzarte Lamhon Mujhe Batao Ke Zindagi Ka Usool Kya Hai, Tamam Chizein Agar HaQeeQat Mein Ek Hi Hai, To Phool Kyon Hai, Babool Kya Hai,
Jo Meri Aankhon Ke Daayre Mein, Hazar Rangon Mein Muntashir Hai, Har Ek Manzar, Har Ek Aahat, Har Ek Raste Ka Humsafar Hai, Kahin Samundar Sa Mahu'w-E-Herat, Kahin Hawaon Sa Bekhabar Hai, Kahin Bayaban Misaal-E-Khali, Meri Hi Khwahish Ka AQs-Gar Hai, To Phir Batao Siwaye Khwahish Ke Mere Haathon Mein Kya Hunar Hai, Gharon Se Niklo To Soch Lena Ke Begharika Hasool Kya Hai, Dilon Ki Tamanna Mat Girao Ke Khwahishon Ka Yehi To Ghar Hai,
Tamaam Haathon Mein Aayine Hai To Kaun Kisse Chupa Hua Hai, Agar Sada Ka Wajood Kaano Se Munsalik Hai, To Kaun Khushbu Mein Bolta Hai, Agar Samundar Ki Had Hai Saahil, To Kaun Aankhon Mein Phailta Hai, Tamaam Cheezein Agar Yehi Hai, To Kaun Chizon Se Maawara Hai, Kise Khabar Hai Badalti Rutone Purane Patton Se Kya Kaha Hai, Ye Kaun Baadal Se Jaa Ke Puchhe Ke Itne Mausam Kahan Raha Hai, Jo Aaj Dekha Hai Kal Na Hoga, Koi Bhi Lamha Atal Na Hoga,
Meri Nigahon Ke Aayinon Mein Ajeeb Manzar Jhalak Rahe Hai, Kahin Ujlaon Pe Teergi Hai, Kahin Andhere Chamak Rahe Hai, Kahin Shagoofon Mein Roshni Hai, Kahin Dariche Mehek Rahe Hai, Kahin Pe Sadiyan Ruki Khadi Hai, Kahin Zamane Bhatak Rahe Hai, Safar Hai Kaisa Ke Mere Paanv Bagair Cahlne Ke Thak Rahe Hai,
Khamosh Pedon, Tumhare Saaye Mein Kitni Naslone Dam Liya Hai, Mujhe Batao Ke Motaron Ke Dhuwen Se Pehle Jo Gard Udti Thi, Uske Parde Se Aane Wale Musafiron Mein Kamal Kya Tha, Mujhe Batao Ke Mujhse Pehle Gaye Huo Ka Jamal Kya Tha, Tumhari Aankhein To Chand Suraj Ki Ibtidaon Se Aashna Hai, Mujhe Batao Ke Pehel Suraj Ka Haal Kya Tha, Tumhare Shaano Pe Chandni Ki Taveel Zulfein Bikhar Ke Mehkein, To Aasman Ko Malaal Kya Tha, Tumhare Qadmon Mein Sar Jhukate Udaas Raste Ki Bandagi Mein, Sawal Kya Tha, Hawayein Pehli Baar Chali To Tumhare Dil Mein Khayal Kya Tha, Tumhari Shakhone Kin Ghataon Ki Bekarari Se Naam Liya Hai,
Guzarte Lamhon, Mujhe Batao Zameen Kiski Talash Mein Hai, Sitaare Kya Cheez Dhundte Hai, Wo Kya Taahai'ur Tha Jis Mein Ab Tak Pahad Gumsum Khade Hue Hai, Samundaron Ka Jamaal Kya Hai Ke Sard Chashmein Tadap Rahe Hai, Badalti Ruton Ka Payaam Kya Hai Ke Ped Uljhan Mein Pad Gaye Hai...
NM
|