iss dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahi ki

by ripan dev on May 23, 2012, 02:18:02 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 921 times)
ripan dev
Guest
Reply with quote
iss Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Had yeh ke Dharakne Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki

Tabeer Ka Aeizaaz Hua Hai Usse Hasil
Jisne Mere Khwabo“n Mein Shiraakat Bhi Nahi Ki

Ulfat To Bari Baat Hai Humse To Sar_e_Shehar
Logo“n Ne Kabhi Dhang se Nafrat Bhi Nahi Ki

Aadaab_e_Safar Ab Wo Sikhaate Hain Jinho“n Ne
Do Chaar Qadam Tay, Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki

Kya Apni Safaayi Mein Bayaan Dete Ke Humne
Na Karda Gunaahi ki Wazaahat Bhi Nahi Ki

Khaamosh Tamashaayi Ki Maanind Sar_e_Bazm
Sou Zakham Sahey Dil Pe , Shikaayet Bhi Nahi Ki

Iss Ghar Ke Sabhi Log Mujhe Chorne Aaye
Dehleez Talak Uss Ne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki

Ussne Bhi Ghulamoo Ki Saf_on Mein Humein Rakha
Iss Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki

Ajanbi
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: May 23, 2012, 05:38:02 PM »
Reply with quote
iss Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Had yeh ke Dharakne Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki

Tabeer Ka Aeizaaz Hua Hai Usse Hasil
Jisne Mere Khwabo“n Mein Shiraakat Bhi Nahi Ki

Ulfat To Bari Baat Hai Humse To Sar_e_Shehar
Logo“n Ne Kabhi Dhang se Nafrat Bhi Nahi Ki

Aadaab_e_Safar Ab Wo Sikhaate Hain Jinho“n Ne
Do Chaar Qadam Tay, Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki

Kya Apni Safaayi Mein Bayaan Dete Ke Humne
Na Karda Gunaahi ki Wazaahat Bhi Nahi Ki

Khaamosh Tamashaayi Ki Maanind Sar_e_Bazm
Sou Zakham Sahey Dil Pe , Shikaayet Bhi Nahi Ki

Iss Ghar Ke Sabhi Log Mujhe Chorne Aaye
Dehleez Talak Uss Ne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki

Ussne Bhi Ghulamoo Ki Saf_on Mein Humein Rakha
Iss Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki

Ajanbi



waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaah aur waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: May 24, 2012, 03:55:06 AM »
Reply with quote
beautiful daad aur ek rau
Logged
soudagar
Guest
«Reply #3 on: May 24, 2012, 04:48:14 PM »
Reply with quote
bahut badhiya  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ripan dev
Guest
«Reply #4 on: May 25, 2012, 01:05:17 AM »
Reply with quote
thanks soudagar
Logged
sushilbansal
Guest
«Reply #5 on: July 27, 2012, 10:44:20 PM »
Reply with quote
Bahut sundar likha hai apnay. God bless you
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:16:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer