Wah wah Renderi aapne JaNnisar Akhtar Sahab ki behtreen ghazlon ka selection kiya hai. I am thankful to you for sharing here.
jab lage zakhm to qaatil ko duaa dee jaaye
hai yahi rasm, to yah rasm uthaa dee jaaye
tishnagi kuchh to bujhe tishna-labaan-e-Gam ki
ek nadi dard ki shahroN meN bahaa dee jaaye
(Tishnagi = pyaas) (Tishna-labaan-e-gham = Gham ke pyaase)
dil kaa wo haal huaa hai Gam-e-dauraaN ke tale
jaise ek laash chattaanoN me dabaa dee jaaye
hamne insaan ke dukh dard ka hal DhuunDh liyaa hai
kyaa buraa hai jo yah afwaah udaa dee jaaye
hamko guzri hui sadiyaaN to na pahchaanegi
aane vaale kisi lamhe ko sadaa dee jaaye
hamse puuchho ki Gazal kyaa hai, Gazal kaa fan kya
chand lafzoN meN koi aag chhupaa dee jaaye
(JaN Nisaar Akhtar)
jaaiye bethiye hukmraanoN ke beech
aap kyun aa gaye ham divaanoN ke beech
aur kyaa hai siyaasat ke baazaar mein
kuch khilone saje hain dukaanon ke beech
thaa jinheN ishq kaa hauslaa, uth gaye
tazkire rah gaye daastoN ke beech
ishq ke naam par aur to kyaa huwaa
dushmani ho gayi do gharaanoN ke beech
log baateN banaane pe aise tule
chhup gayi har haqiqat fasaanoN ke beech
kam-se-kam ham mein ye hausla to rahaa
zindagi kaaT di imtihaanoN ke beech
(JaN Nisaar Akhtar)
tuu is qadar mujhe apne qareeb lagtaa hai
tujhe alag se jo sochun, ajeeb lagtaa hai
jise na Husn se matlab na ishq se sarokaar
vo shaks mujh ko bahut bad-naseeb lagtaa hai
hudood-e-zaat se baahar nikal ke dekh zaraa
na koi Gheir, na koi raqeeb lagtaa hai
ye dosti, ye maraasim, ye chaahaten ye Khuloos
kabhi kabhi to ye sab kuch ajeeb lagtaa hai
ufaq pe door chamaktaa huvaa koi taaraa
mujhe charaagh-e-dayaar-e-habeeb lagtaa hai
(JaN Nisaar Akhtar)
zamaanaa aaj nahin Dagamagaa ke chalane kaa
sambhal bhi jaa ki abhi waqt hai sambhalane kaa
bahaar aaye chali jaaye phir chali aaye
magar ye dard kaa mausam nahin badalane kaa
ye Thik hai ki sitaaron pe ghuum aaye hain
magar kise hai saliqaa zameen pe chalane kaa
phire hain raaton ko aavaaraa ham, to dekhaa hai
gali gali me samaaN chaand ke nikalane kaa
tamaam nashaa-e-hasti tamaam kaif-e-wajood
wo ayk lamhaa tere jism ke pighalane kaa
(JaN Nisaar Akhtar)
[/size]