riyaz106
Guest
|
«Reply #120 on: January 24, 2010, 01:53:13 PM » |
|
Behad khubsoorat poems share ki hain Khushi ji and Shihab Ji. Bahut achhi lagi ye ghazlein. Ummeed hai aage bhi aap isi level ki creatons share karte rahenge. Thanks.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #121 on: January 24, 2010, 02:20:50 PM » |
|
Mujhse raghbat hai to phir mujhse chhupata kya hai Aankh se aankh mila jhenp saa jaata kya hai Maine dekhi hai teri mast nigahi ki adaa Raqs-e-paimaana mere dil ko lubhaata kya hai Ye to maana ke teri shaam suhaani guzri Baat aghyaar ki hai mujhko sunaata kya hai Ranj-o-gham, jor-o-sitam, dil shikni, dil sozi Apne ahsaan bhala mujhko jataata kya hai Main jo rutha hun to rutha hi mujhe rehne do Jhutey wadon se meri jaan manaata kya hai Too har ek bazm ki ronaq, main kahin ka bhi nahi Kisko maloom tera mera naata kya hai Ab wo pehle se ta-alluq to nahin lekin Dekh kar mujhko tere zehn mein aata kya hai Mere ghar ke dar-o-deewar bhi kehte hain yahi Bhoola bhatka kabhi aaja tera jaata kya hai
POET : RAJ KUMAR 'QAIS'
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khushi4pari
Guest
|
|
«Reply #122 on: January 24, 2010, 09:38:43 PM » |
|
Bohat khooooob very nice thxxxx for sharing...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khushi4pari
Guest
|
|
«Reply #123 on: January 24, 2010, 09:44:40 PM » |
|
Behad khubsoorat poems share ki hain Khushi ji and Shihab Ji. Bahut achhi lagi ye ghazlein. Ummeed hai aage bhi aap isi level ki creatons share karte rahenge. Thanks.
Thxx alottttt...insha Allah koshish to yehi rahegi ke achi sharing ki jaaye once again thxx
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khushi4pari
Guest
|
|
«Reply #124 on: January 24, 2010, 09:45:55 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #126 on: January 25, 2010, 08:49:11 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #127 on: January 25, 2010, 02:03:06 PM » |
|
Kyon Mohabbat me Gham ke mele hei…
Kyon moohabbat me gham ke mele hei Gham ke badal bade ghanere hei
Koi apna nhi he dunia me Bab se yadon ke tere ghere hei
Har ghadi dil me dard hota he Har ghadi this se jigar hoti hei
Jab se mana he tujh ko apna sanam Har dhadh kan pe hak te ra hota he
Tum to ban bethe haye par desi Band aankhon se deed hoti he
Tum rho dur chahe pas sanam Meri har sans te ri ho ti he
Dil tujhe bhul ta nhi pal bhar Daa ge dil haye kit ne ghre hei
Tum bhi kya yad ham ko kar te ho Jis tar han ham tum ko yad kar te hei
Zind ji bhar kren ge tujh se wfa Tum bhi kya is tar han ni bhao ge
Dil to bas ab duwa ye kar ta he Tum chale ao bichai palke hei
Mere par desi ab to aja tu Dil ki sun le sda aankh ye chal ke hei..
Apna khyal rkhna Hameeda ameer j Bibbo
|
|
|
Logged
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #128 on: January 25, 2010, 02:05:58 PM » |
|
Kyon Ishq Ko Duniya Me Banaya He Khudaya..
Kyon ishq ko duniya me banaya he khudaya Hansto mohabbat ne rulaya he dhudaya
Ek pal ko chen milta nahi pyar me kabhi Ye kesi bebasi he mere khudaya
Ku aaj ro rhei hei tere pyar me sanam Tu bhej de mere pas uska dhudaya
Kya pyar me mil te hei sbhi ko u hi gam Ye kesa rog he jo lagaya he khudaya
Aankho mei jab nhi tha koi chehra bsa huwa Kitne the din wo achche mere khudaya
Ham chahei bhi lakh us ko bhulana magar Is dil pe nhi he zoor mere khudaya
Marna bhi chahe ham to nik le nhi he dam Mashuk ke bina mera . bibboka , khudaya …
Apna Khyal Rakhna
Allah Hafiz Hameeda Bibbo Ameer
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #130 on: January 25, 2010, 05:39:01 PM » |
|
Bahut hi umdah poem hai Koyal Ji. Thanks for posting here. Ek baat to batayen ye Hameeda Bibbo Ameer kaun hain. Ye aapka naam hai ya is poem ki writer ka.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #131 on: January 25, 2010, 05:50:20 PM » |
|
der lagi aane mein tum ko shukr hai phir bhi aaye to aas ne dil kaa saath na chhoda vaise ham ghabaraaye to
shafaq dhanak mahtaab ghataayen taare nagme bijli phool us daaman mein kyaa kyaa kuchh hai wo daaman haath mein aaye to
chaahat ke badale mein ham to bech dein apani marzi tak koi mile to dil kaa gaahak koi hamein apanaaye to
kyon ye mehr angez tabassum mudd-e-nazar jab kuchh bhi nahin haaye koi anjaan agar is dhoke mein aa jaaye to
suni sunaai baat nahin hai apane upar beetii hai phuul nikalte hain sholon se chaahat aag lagaaye to
jhoot hai sab taarikh hameshaa apane ko dohraati hai achhaa meraa Khwaab-e-jawaani thodaa saa doharaaye to
nadani aur majaburi mein yaaro kuchh to farq karo ek bebas insaan kare kyaa Toot ke dil aa jaaye to
(NM)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #132 on: January 25, 2010, 06:09:27 PM » |
|
thanks khushiji..... Wah bohat khoob very nice koyal ji thxx for sharing..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khushi4pari
Guest
|
|
«Reply #133 on: January 25, 2010, 06:13:48 PM » |
|
der lagi aane mein tum ko shukr hai phir bhi aaye to aas ne dil kaa saath na chhoda vaise ham ghabaraaye to
shafaq dhanak mahtaab ghataayen taare nagme bijli phool us daaman mein kyaa kyaa kuchh hai wo daaman haath mein aaye to
chaahat ke badale mein ham to bech dein apani marzi tak koi mile to dil kaa gaahak koi hamein apanaaye to
kyon ye mehr angez tabassum mudd-e-nazar jab kuchh bhi nahin haaye koi anjaan agar is dhoke mein aa jaaye to
suni sunaai baat nahin hai apane upar beetii hai phuul nikalte hain sholon se chaahat aag lagaaye to
jhoot hai sab taarikh hameshaa apane ko dohraati hai achhaa meraa Khwaab-e-jawaani thodaa saa doharaaye to
nadani aur majaburi mein yaaro kuchh to farq karo ek bebas insaan kare kyaa Toot ke dil aa jaaye to
(NM)
Very nice thx for sharing
|
|
|
Logged
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #134 on: January 25, 2010, 06:15:19 PM » |
|
Thanks Riyaz-bhai...... Bahut hi umdah poem hai Koyal Ji. Thanks for posting here. Ek baat to batayen ye Hameeda Bibbo Ameer kaun hain. Ye aapka naam hai ya is poem ki writer ka.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|