My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16
ReplyPrint
Author  (Read 13699 times)
madhuwesh
Guest
«Reply #165 on: March 20, 2010, 11:24:52 PM »
Reply with quote
Wah very touching and beautiful poems.thanks for sharing Khushi ji and Hum Dum ji. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
hameeda
Guest
«Reply #166 on: March 21, 2010, 04:32:41 PM »
Reply with quote
slam wale kum
bibbo

mohabbat ke naghme ham garhei hei
panchchi bhi dedo chehchah rahei hei
 
jo tu sath he to safar he ye piyara
mohabbat me jina mar na ganwara
 
bhut khush he dil sanam tujh ko pake
meri aaj chahat pe rang arha he
 
mohabbat ke naghme ham garhei hei
panchchi bhi dedo cheh chah rhei hei
 
rahe sath mere na  ab ye zmaana
sanam mujhko aaj nhi ye gam he
 
tera sath he to sab he gwaara
ye dunia he fir to jannat nzaara
 
mile jo mohabbat me  gam  he piyara
tere sang he to.bibbo.marna gwara

mohabbat ke naghme ham garhei hei

apna khyal rkhna
Written by
hameeda ameer

Logged
hameeda
Guest
«Reply #167 on: March 21, 2010, 04:40:22 PM »
Reply with quote

 
slam wale kum
 
bibbo

ye rat he kitni  hseen chale ao
jlaya did roshni ki rahome chale ao
 
ye rat kitni udas tere bin chale ao
gam me bhigi palke sabnam roi sath
 
tum ko ati nhi kya yad ab chale ao
machal rha he mera dil deedar ko
 
apne deedar do hme chale  ao
pas ho dil ke fir bhi pas nhi
 
chand me bhi nazaar aye chale ao
 dharkan me  tum sanso me tum
 
meri aankhon me  palkon me tum
me jhan dekhun wha wha tum
 
ye rat he kitni  hseen chale ao
jlaya did roshni ki rahome chale ao
kitni kali he ye rat darlagta he chale ao
 
apna khyal rkhna
 Written by
hameeda ameer


Logged
hameeda
Guest
«Reply #168 on: March 21, 2010, 04:46:28 PM »
Reply with quote

slam wale kum
bibbo
 
tu nhi he to tera gham meri tanhai he
teri ek yad he jo mere dil kobhai he
ankh nam he or dil me dard ka alam
 honth si kar bhi ruswai yan uthai hei
kya gamon ko hi piyar khte he
ya taqdeete  moohabbat hi judai he
hal dil ka kuch aaj aesa he sajan
tadhapte dil ne tumhei pukara he
rooti ankho ne bhi pukara he
dil ki  dharkan tumhe bulati he
rukti sanson ne bhi pukara he
mera ye room room khta he
bhige honton ne bhi pukara he
 rat barsat ki he ajao ye ishara he
thak gaye kar ke intzaar tera
 
apna khyal rkhna
allah hafiz
 
Composed and written by
hameeda ameer
Logged
hameeda
Guest
«Reply #169 on: March 21, 2010, 04:53:08 PM »
Reply with quote
slam wale kum
bibbo

mujh ko bachpan wo yad ata he
rooz akar mujhe rulata he
meri maa jab mujhe lagati gale
abbu kandhe pe jab uthate the
meri behne mujhe satati thi
bhai mere mujhe hansate the
kitna piyara tha wo mera bachpan
kitni piyari thi wo meri sakhia
meri gudia ki jab hui shadi
meri ankhon se ashq bhte the
yad ai bidai meri   mujh meri
ghar ke sab ro rhe the jab mere
bebas hoke  mei  bhi roithi
apne babul ka chodkar angna
jab praye des  me ayi chodkar apne babula angna
 sare the log mujh se anjane
ro rhi aankh yad kar ke wo  din  
dil  mera  bhi tadhaf rha he yha
meri maa ab bhi  aaj  rotti he  
na me un ki rhi na apni hun
ab to bas zindgi me hei yade
or me hun meri tan hai he
meri bachpan ki sirf yadei hei
 apna bachpan yad jab bhi karo
bibbo ki...ye nazm padhke rolena

apna khyal rkhna
Written by
hameeda ameer
Logged
hameeda
Guest
«Reply #170 on: March 21, 2010, 04:58:01 PM »
Reply with quote
slam wale kum
bibbo


teri dunia me mohabbat ka nishan milta nhi

har koi he mattlabi insan niyat milti nhi

qun garibon par hi ati hei sari afattei

pese walon ne kharidi pese se  har shushi

koi bhi dunia mei ab sachchai  nhi puchta

har tarraf pese ke liye bikk rhe iman hei

maa  bhn beti sbhi pese se dil ko toolte

har taraf pese ka jese ho rha byoopar he

har koi rishta pese pe hi akar ruk gaya

mujhko ab teri ye dunia achchi lagti nhi

aaj ki biwi bhi phle benk belens dekhti

piyar kitna bhi karo yusko samjh atanhi

kesi dunian hogai kesa zamana hogaya

dil nhi lagta mera kesa jhan ye hogaya

kisko sam jhei apna koi bhi apna nhi

in sbhi ke bich dam gut tahe dil lagta nhi

aese jine se to bhtar lagti aj moot he

teri dunia me bohabbat ka nishanmilta nhi

apna khyal rkhna
allah hafiz
 Written by
hameeda ameer
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #171 on: March 22, 2010, 12:04:02 PM »
Reply with quote
Very nice poetry written by you...Hameeda Ameerji.... Applause Applause Applause
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #172 on: March 22, 2010, 10:12:44 PM »
Reply with quote
Very nice hameeda ji thxxx jo aap ne yahan apna waqt diya..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #173 on: March 23, 2010, 03:51:35 AM »
Reply with quote
Very nice ones Hameeda Ji
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #174 on: April 01, 2010, 10:10:29 PM »
Reply with quote
                **Apni Mohabbat Ke Liye**

Jaane Kyun Main Aaj Bhi Dua Karti Hoon Unki Khushi Ke Liye
Aey Kaash Woh Lauta De Mere Woh Sab Beete Din Meri Khushi Ke Liye
  
Kya Soch Kar Unhone Badal Li Apni Raahein  
Koi Jaakar Bataye Unhe Koi Marr Raha Hai Srif Unke Liye
  
The Aur Bhi Raaste Saath Nibhaane Ke Liye  
Kyun Unhone Chune Raaste Sirf Judai Ke Liye
  
Woh Hote Rahe Dheere Dheere Mujhse Dur
Kareeb Maine Jitna Aana Chaaha
 
Unhone Ek Raah Bhi Khuli Na Rakhi
Apni Waapsi Ke Liye  

 Maana Ke Meri Kismat ne Kiya Mujhe Dur Unse
 Kya Unhone Sach Me Koshish Ki Thi Mujhe Paane Liye !!!

Ab Bhi Hain Mere Dil Me Jazbaat Na Jaane Kis Tarah
Acha Hi Kiya Tha Maine Apni Mohabbat Ke Liye... tearyeyed tearyeyed

-- NOT MINE--

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #175 on: April 02, 2010, 11:13:13 AM »
Reply with quote
Nice sharing KHUSHI-DI.....
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #176 on: April 02, 2010, 11:17:31 AM »
Reply with quote
 Sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista

jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista

sawal-e-vasl pe unko uduu ka khauf hai itna
dabe hoToN se dete haiN jawab aahistaa-aahista

hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista

baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse
huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista

sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do
kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista


--SUNG BY jAGJIT SINGH---written by...Ameer Meenai
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #177 on: April 02, 2010, 11:20:19 AM »
Reply with quote
Kaun kehta hai mohabbat ki zubaaN hoti hai
ye hakikat to nigaahoN se bayaaN hoti hai

wo naa aaye to sataati hai khalish si dil ko
wo jo aaye to khalish aur jawaan hoti hai

rooh ko shaad kare dil ko jo purnoor kare
har nazaare ki ye tanweer kahaN hoti hai

zabt-e-sailaab-e-mohaabt ko kahan tak roke
dil meiN baat ho aankhoN se ayaaN hoti hai

zindagi ek sulagti si chitaa hai 'saahir'
shola banti hai na ye buJh ke dhuwaN hoti hai   


-----BY Saahir----Sahir Hoshiyarpuri
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #178 on: April 02, 2010, 09:42:20 PM »
Reply with quote
Nice sharing KHUSHI-DI.....

Thxx alot dear
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #179 on: April 02, 2010, 09:44:08 PM »
Reply with quote
Kaun kehta hai mohabbat ki zubaaN hoti hai
ye hakikat to nigaahoN se bayaaN hoti hai

wo naa aaye to sataati hai khalish si dil ko
wo jo aaye to khalish aur jawaan hoti hai

rooh ko shaad kare dil ko jo purnoor kare
har nazaare ki ye tanweer kahaN hoti hai

zabt-e-sailaab-e-mohaabt ko kahan tak roke
dil meiN baat ho aankhoN se ayaaN hoti hai

zindagi ek sulagti si chitaa hai 'saahir'
shola banti hai na ye buJh ke dhuwaN hoti hai   


-----BY Saahir----Sahir Hoshiyarpuri


Bohat khood dear very nice...thxx for sharing
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:46:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer