My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16
ReplyPrint
Author  (Read 13408 times)
poppoetry
Guest
«Reply #195 on: April 12, 2010, 03:17:14 PM »
Reply with quote
Waah kya khoob mehfil lag rahi hai yha.......khushi ji , bbl ji , sahihab ji , riyaz ji , koyal......toooooo goooooood sharing.......aap sab ki choice bahut nirali hai.......mja aa gaya padhkar.....ek se badhkar ek......superb......
 hello2
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #196 on: April 12, 2010, 08:27:15 PM »
Reply with quote
Very nice Shihab ji...thxx for sharing..
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #197 on: April 12, 2010, 08:27:49 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Khushi-di.....


ur welcome dear
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #198 on: April 12, 2010, 08:28:48 PM »
Reply with quote
Very touching poems thanks for sharing Koyal ji,Shihab ji,Khushi ji,Geet ji,sabhi ke choice bahut achi hai. icon_thumleft Applause Applause Applause

Thxx alottt Madhu ji
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #199 on: April 12, 2010, 08:33:14 PM »
Reply with quote
Sabhi ne bhot behtreen, lajwab sharing ki hai  Koyal ji,Shihab ji,Khushi ji,Geet ji,sabhi ki pasand bahot aala darje ki hai. Aap sabhi ne yahan share kiya aur dusre ki pasand padhne ka mauqa mila, sabka shukriya. Meri pasand ki ek ghazal hazir hai:

Raat Din Hijr Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai

Jis Ka Ji Chahey Humian Tod Ke Tukdey Kardey
Is Qadar Narm Tabiyat Bhhi Nahi Rakhni Hai

Ik Do Saal Ke Rishton Se Hamain Kiya Haasil
Ek Din, Ik Pal Ki Rafaaqat Bhi Nahi Rakhni Hai

Jisse Bichrain To Sambhalney Mein Zamane Lag Jaein
Aisey Logon Se Murawwat Bhi Nahi Rakhni Hai

Kya Ajab Haal Hai Chahat Ke Talabgaron Ka
Shauq Biknay Ka Hai, Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai

-----NM------


Bohat shukriya jo aap ko meri choice pasand aayi...aap ne bhi behad umda sharing ki hai..thxx alot for sharing
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #200 on: April 12, 2010, 08:36:12 PM »
Reply with quote
Waah kya khoob mehfil lag rahi hai yha.......khushi ji , bbl ji , sahihab ji , riyaz ji , koyal......toooooo goooooood sharing.......aap sab ki choice bahut nirali hai.......mja aa gaya padhkar.....ek se badhkar ek......superb......
 hello2

Thxxx so muchhh Nikhaar ji
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #201 on: April 14, 2010, 12:58:23 PM »
Reply with quote
Thanks Madhu-di.....

Very touching poems thanks for sharing Koyal ji,Shihab ji,Khushi ji,Geet ji,sabhi ke choice bahut achi hai. icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #202 on: April 15, 2010, 09:40:01 PM »
Reply with quote
        **Kaash wo ek shaam Mujhe udhaar de**

Kaash... unhe  jab kabhi mile fursate, mere dil se bojh utar de
Main bohat dino se udaas hoon, mujhe koi shaam wo udhar de

Mujhe apne khayalo me wo basa le,mujhe apne pyaar se saja de
Mujhey apne rang me rang de, mere sarey zang wo utar de

Kisi aur ko mere haal se gharz hai na koi waasta
Main bikhar gayi hoon samait le, main biger gayi hoon  wo sanwar de

Meri wehshaton ko barha diya hai judaiyon ke azaab ne
Mere dil pe haath rakhe zara, meri dharkno ko wo qarar de

Unhe subha kaisi lagi kahe,,,,, meri khawahisho ke diyar ki
Jo bhali lagi to yahin rahe, issey chaahato se wo nikhar de

Wahan ghar me kon hai muntazir ke ho fikar dair sawair ki
Badi mukhtasir si yeh raat hai, issi chaandni me wo guzar de

Koi baat karni hai chaand se, kisi shaakhsar ki aut me
Mujhey raaste me yahin kahin kisi kunj-e-gul me wo utar de...!!

--NOT MINE--
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #203 on: April 16, 2010, 01:52:50 PM »
Reply with quote
Wonderful sharing....EK SHAAM UDHAAR..... Applause Applause Applause Applause Applause

        **Kaash wo ek shaam Mujhe udhaar de**

Kaash... unhe  jab kabhi mile fursate, mere dil se bojh utar de
Main bohat dino se udaas hoon, mujhe koi shaam wo udhar de

Mujhe apne khayalo me wo basa le,mujhe apne pyaar se saja de
Mujhey apne rang me rang de, mere sarey zang wo utar de

Kisi aur ko mere haal se gharz hai na koi waasta
Main bikhar gayi hoon samait le, main biger gayi hoon  wo sanwar de

Meri wehshaton ko barha diya hai judaiyon ke azaab ne
Mere dil pe haath rakhe zara, meri dharkno ko wo qarar de

Unhe subha kaisi lagi kahe,,,,, meri khawahisho ke diyar ki
Jo bhali lagi to yahin rahe, issey chaahato se wo nikhar de

Wahan ghar me kon hai muntazir ke ho fikar dair sawair ki
Badi mukhtasir si yeh raat hai, issi chaandni me wo guzar de

Koi baat karni hai chaand se, kisi shaakhsar ki aut me
Mujhey raaste me yahin kahin kisi kunj-e-gul me wo utar de...!!

--NOT MINE--

Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #204 on: April 16, 2010, 03:25:03 PM »
Reply with quote
Thxxx soooo much dear
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #205 on: April 16, 2010, 03:50:06 PM »
Reply with quote
wah wah .. Khushi saheba ,, apki pasand ka to jawab hi nahi .. dil khush ho gaya padke ..allah apko hamesha khush rakhe..


Qadeertoopchi


Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #206 on: April 16, 2010, 08:13:12 PM »
Reply with quote
Bohat shukriya Shihab ji...aap ne bhi bohat achi sharing ki hai..thxxx for this wonderfull sharing...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #207 on: April 16, 2010, 08:14:49 PM »
Reply with quote
wah wah .. Khushi saheba ,, apki pasand ka to jawab hi nahi .. dil khush ho gaya padke ..allah apko hamesha khush rakhe..


Qadeertoopchi




Bohat bohat shukriya Junaid ji...Allah aap ko bhi hamesha khush rakhe aamin...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #208 on: April 17, 2010, 12:06:38 PM »
Reply with quote
nice sharing Shihab-bhai......
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #209 on: April 17, 2010, 12:09:24 PM »
Reply with quote
kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai

ke zindagii terii zulfoN kii narm chaaNv meN
guzarne paatii to shaadaab ho bhii saktii thii
ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai
terii nazar kii shuaaoN meN kho bhii saktii thii

ajab na thaa ke maiN begaanaa-e-alam ho kar
tere jamaal kii raanaaiiyoN meN kho rahataa
teraa gudaaz badan terii niim-baaz aaNkheN
inhiiN hasiin fasaanoN meN mahv ho rahtaa

pukaartii mujhe jab talKhiyaaN zamaane kii
tere laboN se halaavat ke ghuuNT pii letaa
hayaat chiikhtii phirtii barhanaa-sar, aur mai.n
ghanerii zulfoN ke saaye meN chhup ke jii letaa

magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahiiN, teraa Gham, terii justujuu bhii nahiiN
guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise
ise kisii ke sahaare kii aarzuu bhii nahiiN

zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa huuN gale
guzar rahaa huuN kuchh anjaanii raah-gaahoN se
muhiib saaye merii simt baRhte aate haiN
hayaat-o-maut ke pur-haul KhaarzaaroN se

na ko’ii jaadaa-o-manzil na roshnii kaa suraaG
bhaTak rahii hai KhaalaaoN meN zindagii merii
inhiiN KhalaaoN meN rah jaauuNgaa kabhii khokar
maiN jaantaa huuN merii ham-nafas magar yuuN hii

kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai

Sahir Ludhianvi
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:25:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer