My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 16
ReplyPrint
Author  (Read 13693 times)
khushi4pari
Guest
«Reply #45 on: December 21, 2009, 03:10:48 PM »
Reply with quote
Jinke aangan mein ameeri kaa shajar lagta hai
Unkaa har aib zamaane ko hunar lagtaa hai
Chaand taare mere qadmon mein bichhe jaate hain
Ye buzurgon ki duaaon kaa asar lagta hai
Maa’n mujhe dekh ke naaraaz na ho jaaye kahin
Sar pe aanchal nahin hotaa hai to dar lagtaa hai
(---NM---)


Its really very nice....thxxx for sharing
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #46 on: December 28, 2009, 11:13:19 AM »
Reply with quote
Yehi Wafaa ka silaa hai to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
(---NM---)

Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #47 on: December 29, 2009, 08:32:21 AM »
Reply with quote
Woww very nice this is one of my fav...ye mere paas hai main share karne hi wali thi ke aap ne kar di thxxxxx
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #48 on: December 29, 2009, 09:51:00 AM »
Reply with quote
Share Khushi ne ki ya Riyaz ne ki koi farq nahi
Hamne padha,sarahaya,payi khushi ye koi baat hai... Applause Applause Applause
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #49 on: December 29, 2009, 02:26:48 PM »
Reply with quote
        ~ Kuch log sitam karne ko tayyar bethe hai~

Kuch log sitam karney ko tayyar bethey hai
Hum  magar unpe dil haar bethey hai

Is kashmakash me hum se pehchaaney nahi jaatey
Kahan dushman hai aur kahan dost yaar bethey hai

Ishq ko aag ka darya hee samajh leejiye huzoor
koi is paar bethe hai to, koi us paar bethe hai

Kon kehta hai ke is sheher me saarey hain bewafa
Hamarey samney do chaar wafadaar bhi bethey hai

Kal tak jeen ke intezaar me hum the
Aaj wahi log humare intezaar me bethey hai

Duniya say rooth jaaney ki khuwaahish hai hamari
Kya karu is khuwaahish pe kuch pehrey daar bethey hai!!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #50 on: December 29, 2009, 03:38:09 PM »
Reply with quote
toooooooo gud poems by all....parjii bahut hi khoob choice hai apki...Applause Applause
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #51 on: December 29, 2009, 08:54:16 PM »
Reply with quote
Thxxx alotttt sweety love4
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #52 on: December 29, 2009, 11:49:35 PM »
Reply with quote
        ~ Kuch log sitam karne ko tayyar bethe hai~

Kuch log sitam karney ko tayyar bethey hai
Hum  magar unpe dil haar bethey hai

Is kashmakash me hum se pehchaaney nahi jaatey
Kahan dushman hai aur kahan dost yaar bethey hai

Ishq ko aag ka darya hee samajh leejiye huzoor
koi is paar bethe hai to, koi us paar bethe hai

Kon kehta hai ke is sheher me saarey hain bewafa
Hamarey samney do chaar wafadaar bhi bethey hai

Kal tak jeen ke intezaar me hum the
Aaj wahi log humare intezaar me bethey hai

Duniya say rooth jaaney ki khuwaahish hai hamari
Kya karu is khuwaahish pe kuch pehrey daar bethey hai!!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--


Bahut umda sharing hai Khushi Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #53 on: December 30, 2009, 06:01:24 AM »
Reply with quote
Kuch log sitam karne ko...., this is very nice poem Khushi Ji. Bahut achhi choice hai aapki. Thanks for sharing. Main "Waseem" Barelvi Sahab ki ek behad achhi ghazal share karta hun.

Main is ummeed pe dooba ke too bachaa legaa
Ab iske baad mera imtihaan kyaa legaa
Ye ek mela hai, waadaa kisi se kyaa legaa
Dhalegaa din to har ek apnaa raastaa legaa
Main bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaaungaa
Koi chiraagh nahin hun jo phir jalaa legaa
Kalejaa chaahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be-amal hai wo badlaa kisi se kyaa legaa
Hazaar tod ke aa jaaun us se rishtaa “Waseem”
Main jaantaa hun wo jab chaahega bulaa legaa

"Waseem" Barelvi

Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #54 on: December 30, 2009, 08:14:23 AM »
Reply with quote
Thxxx aap ko meri pasand achi lagi...aap ki choice bhi bohat achi hai very nice sharing thxxxxx
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #55 on: December 30, 2009, 08:16:52 AM »
Reply with quote
Bahut umda sharing hai Khushi Ji

Thxxx alotttt
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #56 on: December 30, 2009, 12:01:54 PM »
Reply with quote
Good sharing Riyaz-bhai...

Kuch log sitam karne ko...., this is very nice poem Khushi Ji. Bahut achhi choice hai aapki. Thanks for sharing. Main "Waseem" Barelvi Sahab ki ek behad achhi ghazal share karta hun.

Main is ummeed pe dooba ke too bachaa legaa
Ab iske baad mera imtihaan kyaa legaa
Ye ek mela hai, waadaa kisi se kyaa legaa
Dhalegaa din to har ek apnaa raastaa legaa
Main bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaaungaa
Koi chiraagh nahin hun jo phir jalaa legaa
Kalejaa chaahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be-amal hai wo badlaa kisi se kyaa legaa
Hazaar tod ke aa jaaun us se rishtaa “Waseem”
Main jaantaa hun wo jab chaahega bulaa legaa

"Waseem" Barelvi


Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #57 on: December 30, 2009, 02:26:36 PM »
Reply with quote
      ~ Khuwaab Mere~

     Jo Meri Aankho se Khuwaab Dekhoge
To Ek Bhi Shab Na So Sakoge
 
  Ke Laakh Chaho Naa Hans Sakoge
Hazaar Chaho Na Ro Sakoge
 
  Ke Khuwaab Kiya Hain Azaab Hain Yeh
Mere Dukho Ki Kitaab Hain Yeh
 
  Refaqatein In Me Chhut aati Hain
Muhabbatein In Me Rooth aati Hai
 
  Pheerti Hain In Me Wehshatein Si
Aziyetein In Me Aajati  Hain
 
  Inhi K Darr Se Hain Kheeza Me Jazbe
Inhi Se Shakhein Si Toot aati Hain
 
  Ghumo Ki Bandish Hain Khuwaab Mere
Dukho Ki Baarish Hain Khuwaab Mere
 
  Ubal Raha Hai Dukho Ka Lawa
Raahe Aatish Hain Khuwaab Mere
 
  Khayaal Sare Jhulas Gaye Hain
Sulagti Khuwahish Me Khuwaab Mere!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #58 on: December 30, 2009, 04:01:01 PM »
Reply with quote
Nice sharing Khushi-di...... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

In sab se alag hain khuwaab mere
Pahado ki goad se nikalte nirjhar hai

Waadiyon me khilte rang-birange phool hain
Nanhe bachcho ki bholi-bholi muskaan hain

Alhaadd jawani ki mast angadayee hain wo
Masoom chehro k ruksaar ki shabnam hain vo

Mere sapne bahut haseen hain pyarri sakhi
Meri rag-rag mai sancharit amrit hain Khushi-di




     ~ Khuwaab Mere~

     Jo Meri Aankho se Khuwaab Dekhoge
To Ek Bhi Shab Na So Sakoge
  
  Ke Laakh Chaho Naa Hans Sakoge
Hazaar Chaho Na Ro Sakoge
  
  Ke Khuwaab Kiya Hain Azaab Hain Yeh
Mere Dukho Ki Kitaab Hain Yeh
  
  Refaqatein In Me Chhut aati Hain
Muhabbatein In Me Rooth aati Hai
  
  Pheerti Hain In Me Wehshatein Si
Aziyetein In Me Aajati  Hain
  
  Inhi K Darr Se Hain Kheeza Me Jazbe
Inhi Se Shakhein Si Toot aati Hain
  
  Ghumo Ki Bandish Hain Khuwaab Mere
Dukho Ki Baarish Hain Khuwaab Mere
  
  Ubal Raha Hai Dukho Ka Lawa
Raahe Aatish Hain Khuwaab Mere
  
  Khayaal Sare Jhulas Gaye Hain
Sulagti Khuwahish Me Khuwaab Mere!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #59 on: December 31, 2009, 07:30:08 AM »
Reply with quote
Nice and beautiful poem Khushi Ji. Thanks for sharing.
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:38:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer