My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 16
ReplyPrint
Author  (Read 13056 times)
riyaz106
Guest
«Reply #60 on: December 31, 2009, 07:35:20 AM »
Reply with quote
In Faaslo Ki Fikr Main kyon Karun Bhala
Bohut Door Reh Kar Bhi Mere Pass Hai Koi

Is Soch Main Dooba Hai Bohut Dair Se Mera Dil
Kya Us Ka Dil Mein Bhi Aisa Ehsas Hai Koi

Uski Nazron Se Hai Bana Meri Sanso Ka Tasalsul
Is Tarha Meri Zindagi Ki Aas Hai Koi

Usko Jo Pucha Hai To Bas Itna Hi Jaan Lo
Bohut Khas Bohut Khas Bohut Khas Hai Koi

"Mohsin" Jo Ja Rahay Ho To Ye Bhi Usay Kehna
Uski Bina Is Sheher Mai Udas Hai Koi

Poet : Mohsin
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #61 on: December 31, 2009, 08:52:50 AM »
Reply with quote
Wah wah bohat khoooooob behad umda poetry hai thxxx for sharing...and once again thxxx jo aap ko meri sharing pasand aayi...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #62 on: December 31, 2009, 11:56:11 AM »
Reply with quote
Nice sharing Khushi-di...... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

In sab se alag hain khuwaab mere
Pahado ki goad se nikalte nirjhar hai

Waadiyon me khilte rang-birange phool hain
Nanhe bachcho ki bholi-bholi muskaan hain

Alhaadd jawani ki mast angadayee hain wo
Masoom chehro k ruksaar ki shabnam hain vo

Mere sapne bahut haseen hain pyarri sakhi
Meri rag-rag mai sancharit amrit hain Khushi-di





Thxxxx dear...Masha Allah aap ke khuwaab bohat pyaare hai very sweet lines from u thxxxx.. love4 Applause Applause
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #63 on: December 31, 2009, 12:02:52 PM »
Reply with quote
Zarre nawazi ka shukriya Khushi-di....Aapko meri lines pasand aayee meri mehnat safal hui...


Thxxxx dear...Masha Allah aap ke khuwaab bohat pyaare hai very sweet lines from u thxxxx.. love4 Applause Applause
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #64 on: December 31, 2009, 12:16:45 PM »
Reply with quote
Ur welcome dear Aap sach me bohat acha likhti hai hamesha isliye pasand to aana hi hai naa...
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #65 on: December 31, 2009, 12:28:14 PM »
Reply with quote
Baday Masoom Jazbon Se
Wo Apnay Shokh Haathon Par
Wafa Ki Surkh Mehndi Se
Ussi Ka Naam Likhti Hai
Jisay Wo Pyar Karti Hai
Magar Wo Na Samaj Ladki
Abhi Tak Ye Nahi Samjhi
Ye Sapne Toot Jaayen To
Bohat Barbaad Karte Hain
Ye Ujlay Rang Haathon Par
Kabhi Thehra Nahi Karte
Muhabbat To Haqiqat Hai
Koi Sapna Nahi Hota
Kisi Ka Naam Likhne Se
Koi Apna Nahi Hota
(--NM--)
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #66 on: December 31, 2009, 12:32:18 PM »
Reply with quote
Wowwwwww awsome thxxxxxx for sharing
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #67 on: December 31, 2009, 12:56:18 PM »
Reply with quote
  ~Jab se woh nahi hai~

Jab se woh nahi hai pass apne
tab se unka ghum hi to sarmaya tha

Kab humne aisa socha tha
bin unke kaise din guzrege

Jane se pehle itna to socha hota
piche reh jane wale kaise unhe bhulege

Har ankh thi num us din har dil bhi roya tha
kaise unhone apne chahne walo ko tarpaya tha

Woh soch ke mujhe bataye aey bewafa
kis mushkil me sath na unhone mujhe  paya tha

Phir kaise chora sath mera unhone
kyun mujh ko khuwaabo me bhi rulaaya tha

Jane se pehle ek baar to kuch kaha hota
kaise unhone saare waado ko toda tha!!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #68 on: January 02, 2010, 07:47:09 AM »
Reply with quote
~Na Umeedain Kisi Se Rakhte To Acha Hota~

Na Umeedain Kisi Se Rakhte To Acha Hota
Etbaar Na Kisi Pe Karte To Acha Hota

Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Girane Ka
Sahara Na Kisi Ko samjhte To Acha Hota

Yaqeen apni Kamyabi ka kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer k Muqabil Na Hote To Acha Hota

Sochte They Etbaar Andha Hota Hai
Na Khuwaab Jagte Me Daikhte To Acha Hota

Na Chahte Woh Kisi Ko Na Koi Unhe Poojta
Na ache Kisi Ko Lagte To acha Hota

Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost
Na Mohabbat Kisi Se Karte To Acha Hota!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #69 on: January 02, 2010, 01:45:32 PM »
Reply with quote
Nice sharing Khushi ji.
Bahut dard bhari poem hai.
Thanks for sharing.
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #70 on: January 03, 2010, 07:00:58 PM »
Reply with quote
ur welcome ji and thxxx alot for appreciating my sharing
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #71 on: January 04, 2010, 06:36:47 AM »
Reply with quote
Kar Na Tu Dunia-E-Gham Ke Hawaley Mujh Ko   
Mein Tabassum Hun Tu Honthon Pe Saja Ley Mujh Ko

Tu Mila Hai To Yehi Khof Laga Rehta Hai
Mera Milna Kisi Uljhan Mein Na Daley Tujh Ko

Is Yaqeen Par Hi Andheron Mein Safar Jari Hai
Mil Hi Jayeinge Kisi Roz Ujaley Mujh Ko

Teri Nafrat Ne To Majboor Kia Jeene Par
Ab Tera Pyar Kahin Maar Na Daley Mujh Ko

Be Niyazi Ka Ye Andaz Nahi Kuchh “Mohsin”
Baat To Tab Hai Ke Tu Dil Se Nikaley Mujh Ko

Poet : Mohsin
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #72 on: January 04, 2010, 08:18:14 AM »
Reply with quote
Wah wah wah bohat umda awsome wonderfull thx for sharing
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #73 on: January 04, 2010, 08:19:31 AM »
Reply with quote
Nice sharings Riyaz And Khushi Ji
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #74 on: January 04, 2010, 11:16:50 AM »
Reply with quote
Thxxxxx
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:38:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer