My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 16
ReplyPrint
Author  (Read 13001 times)
riyaz106
Guest
«Reply #75 on: January 04, 2010, 12:23:50 PM »
Reply with quote
Thank you very much Rajesh Ji.
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #76 on: January 04, 2010, 02:18:25 PM »
Reply with quote
           ~~Main Aur Meri Tanhayi~~

Rehtey hain saath saath main aur meri tanhayi
Kartey hain raaz ki baat main aur meri tanhayi

Din to guzar hi jata hai logo ki bheed me
Kartey hain basar raat main aur meri tanhayi

Saanson ka kya bharosa kab chor jaye saath
Lekin rahege hamesha saath main aur meri tanhayi

Aaye na kisi ko yaad kabhi bhul kar bhi hum
Karte hain magar kisi ko yaad main aur meri tanhayi

Aa ke paas kyon dur ho gaye sab hum se
Karte hain phir kisi ki talash main aur meri tanhayi

Socha tha WOH rahege saath hamesha humare
Lekin reh gaye phir  tanha main aur meri tanhayi!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #77 on: January 05, 2010, 05:18:01 AM »
Reply with quote
Nice and painful ghazal Khushi Ji. Thanks for sharing.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #78 on: January 05, 2010, 05:27:52 AM »
Reply with quote
Ye Soch Kar Ki Teri Jabin Par Na Bal Pade
Bas Door Hi Se Dekh Liyaa Aur Chal Pade

Dil Mein Phir ik Kasak Si Uthi Muddaton Ke Baad
Ik Umr Ke Rukey Hue Aansuu Nikal Pade

Seene Mein Beqaraar Hain Murdaa Muhabbatein
Mumkin Hai Ye Chiragh Kabhi Khud Hi Jal Pade

Ae Dil Tujhe Badalati Hui Rut Se Kyaa Mila
Paudhon Mein Phool Aur Darakhton Mein Phal Pade

`Shehzad` Dil Ko Zabt Kaa Yaaraa Nahin Rahaa
Niklaa Jo Mahataab Samandar Uchhal Pade

Poet : Shehzad

Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #79 on: January 05, 2010, 02:36:44 PM »
Reply with quote
Nice and painful ghazal Khushi Ji. Thanks for sharing.

Thxxxx alotttt...aap ki ghazal bhi bohat achi hai thxxx for sharing
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #80 on: January 08, 2010, 11:21:28 PM »
Reply with quote
***JAANE KYUN***

Jaane kyu?
dil ki har ek dhadkan se
mujhe aaj bhee yeh aawaz hai aati…
ke….
Koi takta hai meri raah
sarey shaam ke baad

jaane kyu?
Har raat ki khamoshiyo me
Mujhe aisa lagta hai jaise
Ke…
Koi pukarta hai mujhe
Dil ki gehaariyo ke saath

Jaane kyu?
Chaandani raat me aksar
mujhe aisa lagta hai
Ke…
Taaro ki mehfil ka har ek taara
Takta hai mujhe
Bohat pyaar ke saath

Jaane kyu.. Jaane kyu?

--NOT MINE--
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #81 on: January 09, 2010, 04:12:46 PM »
Reply with quote
nice sharing,,,,....khushi-di....
***JAANE KYUN***

Jaane kyu?
dil ki har ek dhadkan se
mujhe aaj bhee yeh aawaz hai aati…
ke….
Koi takta hai meri raah
sarey shaam ke baad

jaane kyu?
Har raat ki khamoshiyo me
Mujhe aisa lagta hai jaise
Ke…
Koi pukarta hai mujhe
Dil ki gehaariyo ke saath

Jaane kyu?
Chaandani raat me aksar
mujhe aisa lagta hai
Ke…
Taaro ki mehfil ka har ek taara
Takta hai mujhe
Bohat pyaar ke saath

Jaane kyu.. Jaane kyu?

--NOT MINE--

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #82 on: January 09, 2010, 04:37:15 PM »
Reply with quote
Wah Khushi Ji badi umdah creation aapne share ki hai. Sharing ke liye shukriya. Ghulam Ali ki ek ghazal ki kuchh lines mujhe yaad aati hain:

JAB TASAVVUR MERA CHUPKE SE TUJHE CHHU AAYE
APNI HAR SAANS SE MUJHKO TERI KHUSHBU AAYE
JAB KABHI GARDISH-E-DAURA.N NE SATAYA MUJHKO
MERI JAANIB TERE PHAILE HUE BAAZU AAYE
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #83 on: January 09, 2010, 05:44:41 PM »
Reply with quote
===AB YAAD DILAYE KON USE===

Ab Yaad Dilaye Kon Usay,
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Giya

Wo Sard Hawayen Ab Bhi Hain,
Rangeen Fizayen Ab Bhi Hain
Wo Beegi Beegi Pani Ki,
Pur-Shor Sadayen Ab Bhi Hain

Hum Ab Bhi Udhar Ko Jatay Hain
Jab Wo Nahi Hote Sath Mere
Hote Hain Khaali Hath Mere

Pur-Shor Sadayen Pochti Hain
Wo Sard Hawayen Pochti Hain
Wo Kahan Gaya Hai Dost Tera
Wo Kahan Gaya Hai Meet Tera

Kya Phir Zamana Jeet Gaya
Ab Yaad Dilaye Kon Usay

(==NM==)
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #84 on: January 09, 2010, 07:21:22 PM »
Reply with quote
Wah Khushi Ji badi umdah creation aapne share ki hai. Sharing ke liye shukriya. Ghulam Ali ki ek ghazal ki kuchh lines mujhe yaad aati hain:

JAB TASAVVUR MERA CHUPKE SE TUJHE CHHU AAYE
APNI HAR SAANS SE MUJHKO TERI KHUSHBU AAYE
JAB KABHI GARDISH-E-DAURA.N NE SATAYA MUJHKO
MERI JAANIB TERE PHAILE HUE BAAZU AAYE


Bohat bohat shukriya jo aap ko meri sharing pasand aayi...and thxx for this ghazal its nice
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #85 on: January 09, 2010, 07:22:28 PM »
Reply with quote
===AB YAAD DILAYE KON USE===

Ab Yaad Dilaye Kon Usay,
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Giya

Wo Sard Hawayen Ab Bhi Hain,
Rangeen Fizayen Ab Bhi Hain
Wo Beegi Beegi Pani Ki,
Pur-Shor Sadayen Ab Bhi Hain

Hum Ab Bhi Udhar Ko Jatay Hain
Jab Wo Nahi Hote Sath Mere
Hote Hain Khaali Hath Mere

Pur-Shor Sadayen Pochti Hain
Wo Sard Hawayen Pochti Hain
Wo Kahan Gaya Hai Dost Tera
Wo Kahan Gaya Hai Meet Tera

Kya Phir Zamana Jeet Gaya
Ab Yaad Dilaye Kon Usay

(==NM==)


Wah wah wah its wonderfull very touchy...thxxx for sharing
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #86 on: January 09, 2010, 07:23:09 PM »
Reply with quote
nice sharing,,,,....khushi-di....

Thxxx dear
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #87 on: January 13, 2010, 09:34:21 PM »
Reply with quote
     **Dil Ki Chokhat Pe**
 
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Unke laut aane ka imkaan saja rakha hai
 
Saans tak bhi nahin lete hain unhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai
Rooth jaate hai woh.. to kuch aur pyaare lagte hai
Hum ne yah soch ke hi unko khafa rakha hai

Woh jise rota hua chhorr gaye the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahi deta yeh kisi tor mujhe
Unki yaado ne jo toofaan utha rakha hai
 
 Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaye ga zaroor
Ek isi ummeed pe darwaaza khula rakha hai
Unke jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankho me bassa rakha hai

 Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai.... tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #88 on: January 13, 2010, 09:57:46 PM »
Reply with quote
Nice sharing Khushi Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #89 on: January 14, 2010, 06:02:02 AM »
Reply with quote
Bhahut pyari nazm share ki aapne Khushi Ji. Bahut pasand aai. Thanks for sharing.
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:54:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer