My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 16
ReplyPrint
Author  (Read 13703 times)
riyaz106
Guest
«Reply #90 on: January 14, 2010, 06:04:08 AM »
Reply with quote

Faqat Aik Tum Mere Hotay Mera Sara Jahan Hota
Meri Jannat Meri Duniya Yeh Mera Ashiyan Hota

Bhatakta Yun Na Phirta Main Akaily Gham Ki Galion Mien
Koi Manzil Meri Hoti Koi Nam-O-Nishan Hota

Mujhe Ab Yaad Aati Hain Teri Chahat Bhari Batein
Meri Duniya Sanwar Jati Ager Tu Meherban Hota

(--NM--)
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #91 on: January 14, 2010, 06:49:44 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat kavita hai,thanks for sharing Riyaz ji. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #92 on: January 14, 2010, 08:01:25 AM »
Reply with quote
Bhahut pyari nazm share ki aapne Khushi Ji. Bahut pasand aai. Thanks for sharing.

Thxxxxx alottttttt...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #93 on: January 14, 2010, 08:02:09 AM »
Reply with quote
Nice sharing Khushi Ji

Thxxx so much
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #94 on: January 14, 2010, 08:03:37 AM »
Reply with quote
Faqat Aik Tum Mere Hotay Mera Sara Jahan Hota
Meri Jannat Meri Duniya Yeh Mera Ashiyan Hota

Bhatakta Yun Na Phirta Main Akaily Gham Ki Galion Mien
Koi Manzil Meri Hoti Koi Nam-O-Nishan Hota

Mujhe Ab Yaad Aati Hain Teri Chahat Bhari Batein
Meri Duniya Sanwar Jati Ager Tu Meherban Hota

(--NM--)


Wah bohat achi sharing ki hai aap ne really its awsome...thxxx for sharing
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #95 on: January 14, 2010, 10:42:26 AM »
Reply with quote
Dastak

WoH sunkar thak chu-kay meri baateiN
oob chu-kay gin-kar meri aaNsooN ki booN-day
poochh-tay haiN iss chhoti si baat peH kya rona
sochooN maiN yeH dil , dil hai ya khilona

Jaanti hooN kam unka pyaar bhi nahiN hai
phir bhi iss dil peH mera akHtiyar nahiN hai
jis waqt nikal gayaa me-ray wishwaas ka janazaa
baNd kar liya mai-nay iss dil ka darwaaza

Phir bhi yeH dastak mu-jahy kar de-tay beqaabu
naH chaah-tay hu-ay bhi darwaaza maiN kholooN
muskuraooN unhi ka chehraa nihaarooN
unn saNg haNs looN phir baiTh keH ro looN

ZakHm haraa hai abhi bharaa to nahiN hai
chaain ka baadal man ko ghiraa bhi nahiN hai
ai-say meiN yeH dastak mu-jahy kar deti haiN durbal (weak)
nafrat ki aaNdhi meiN yeH dil huaa bekal

Har baar ThaanooN yeH aaNsooN kaa hai daldal
dukh sukh kay iss jaNg meiN naH hona mu-jhay shaamil
ab phir darwaaza dil ka naH kholooN
iss baar mil-nay peH pah-lay naH bolooN

Iss baar to pakka iraadaa hai mera
meri kaali raatoN ka aik ujjwal saweraa
naH rahegaa baaNs naH bajegi baaNsoori
ap-nay armaanoN peH kHood chalaa looN maiN chhoori

Apnaa maana hai tabhi to yeH diqqat hai
wahi bhool jaaooN to phir kiss-ki himmat hai
woH kuchh bhi kar laiN unki hai niji (personal) baat
usmaiN dakHal dooN meri kya auqaat

It-nay maiN soonai day rahaa hai khaT khaT
shak nahiN kuchh yeH unka hai dastak
paRh-nay waaloN zaraa Thahro maiN aayi
unko manaa kay bas ik pal meiN aayi.

By : Sujatha.Subramanian Software Engineer,
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #96 on: January 14, 2010, 10:48:26 AM »
Reply with quote
Wah wah KOYAL ji aapne bade kammal ki nazm share ki hai. Bahut achhi lagi ye nazm aur aapki pasand ki daad deta hun. Sharing ke liye shukriya. Ummeed hai aap aage bhi isi tarah achhi achhi creatiions share karti rahengi.
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #97 on: January 14, 2010, 12:34:32 PM »
Reply with quote
Aawara
by Majaz

Shahar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon
Jagmagati jaagati sarko peh aawara phrioon
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroon
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon


Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
Maire seene par magar chalati hui shamsheer si
Ai gham-e-dil kya karoon ai wahshat-e-dil kya karoon


Yeh roophali chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
Jaise soofi ka tasavvur jaise aashique ka khayaal
Aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon


Raat hans hans kar yeh kahati hai keh maikhane mein chal
Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane mein chal
Yeh nahin mumkin to phir ai dost veerane mein chal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon


Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan
Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan
Barh rahi hai god phailai hue ruswaian
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon


Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin
Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon


Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon


Muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
Saikaron Changez-O-Naadir  hain nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon


Barh ke is indarsabha ka saz-o-saman phoonk doon
Is ka gulshan phoonk doon us ka shabistan phoonk doon
Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan Phoonk doon
Ai gham-e-dil kya kaoon, ai wahshat-e-dil kya karoon. [1937]
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #98 on: January 14, 2010, 05:02:43 PM »
Reply with quote
Majaz sahab mere fav.  shayar hain. Koyal ji unki ye nazm share karne ka bahut shukriya. In fact aapki pasand bahut unchi hai. Ummeed hai isi tarah aap high standard ki poetry is thread mein share karti rahengi. Khushi ji ne isi maqsad se ye thread shuru ki thi. Mai bhi apna yogdaan deta rahunga. Thanks
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #99 on: January 15, 2010, 09:23:49 AM »
Reply with quote
madhur swapan
Madhur swapn haiN wahi woh tum jin me aate ho,
Behoshi meiN sahi pyar to kar jaate ho.
Har shikwey, har giley kaa uttar paas tumhaarey,
Hairaani se taak rahe haiN chaand sitarey.
Shahad meri neendoN meiN priyatam ghol rahey ho,
Mun ko chhoo leta hai, jo kuchh bol rahe ho.
Un barsoN ki batoN ka anmol khazaana,
Liye yuheeN aksar merey sapnoN me aana.
Iss zariye se har ek uljhan chhaant sakeNgey,
Jo kuchh lamhey baaqi haiN woh baant sakeNgey.
Iss zariye se hum tum phir badnaam na hoNgey,
Duniya bhar ke hum tum par ilzaam na hoNgey.
Aoge to yeh bhi ek ehsaan rahega,
Nah aaye to yeh bhi ek armaan rahega.
Aas lagayee neendoN ko be aas na karna,
Meri in tajveezoN par parihaas na karna.

> > Harmohan Singh

madhur= meetha (sweet)
swapn= kHwaab
uttar= jawab (answer)
priyatam= mahboob
mun= dil
chhant= alaihada karna (to sort out)
tajveez= (suggestion)
parihaas= mazaaq urHana(to laugh about something)
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #100 on: January 18, 2010, 08:49:14 PM »
Reply with quote
Wah wah koyal ji bohat khoob sharing ki hai aap ne thxxxx for all this sharing
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #101 on: January 18, 2010, 09:02:04 PM »
Reply with quote
            ** HAR BAAT PE RONA AAYA**           

Hum ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tume kis baat pe ronaa aayaa

Kaise mar mar ke guzaarii hai UNHE kyaa malum
raat bhar taaro bharii raat pe ronaa aayaa

Kitne betaab the rim jhim me piiyenge lekin
aayi barsaat to barsaat pe ronaa aayaa

Kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir
sab ko apanii hii kisii baat pe ronaa aayaa

Humne ye din to qayaamat kii tarah guzare hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa... tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #102 on: January 19, 2010, 12:14:25 PM »
Reply with quote
Wah wah Khushi jI bahut shandaar ghazal aapne share ki. Bahut achhi lagi.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #103 on: January 19, 2010, 12:15:25 PM »
Reply with quote
Zara Udass Hoon Lekin Zara Masroor Bhi Hoon
Tumharay Pas Hoon Shayad,Shayad Door Bhi Hoon

Yon Pathrilay Raston Pay Chalna Shauq Nahi Mera
Kuch Maamla Chahat Ka Hai Kuch Majboor Bhi Hoon

Muhabbat Ho Gai Tum Se Bus Itni Hai Khata Meri
Mana Ke Mujrim Hoon Magar Beqasoor Bhi Hoon

(--NM--)

Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #104 on: January 19, 2010, 03:23:02 PM »
Reply with quote
Wah wah Khushi jI bahut shandaar ghazal aapne share ki. Bahut achhi lagi.

Bohat bohat shukriya...
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:12:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer