My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 16
ReplyPrint
Author  (Read 13063 times)
khushi4pari
Guest
«Reply #15 on: December 09, 2009, 08:00:56 PM »
Reply with quote
Thxx sooooo much dear geet love4
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #16 on: December 09, 2009, 08:30:01 PM »
Reply with quote
~Badal Gaye Hain~

Is raat ki tanhaayo ke
Sab rang badal gaye hain
 
Chaand nikla hai waise hi
Andhere badal gaye hain
 
Jin k bharose thi khushiya
Wo dost juda ho gaye hain
 
Manzile to ab bhi wohi hain
Par Shayad Kuch raste bhul gaye hain
 
Jinpe kiya tha bharosa hum ne
Wo ab humse bichar gaye hain
 
Dekhe the kabhi jo hum ne
Wo khuwab saare toot gaye hain
 
Jo bane the kabhi humsafar
Aaj wo hi hume akela chor gaye hain
 
Is tootey huye dil k saare
Jazbaat badal gaye hain
 
Naa badlay kabhi hum
Naa badlay hamare khayalat
 
Bas rona hai yahi ke
Kuch log badal gaye hain... tearyeyed tearyeyed


--NOT MINE--
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #17 on: December 09, 2009, 08:34:24 PM »
Reply with quote
Nice sharing Khusi Ji
Bahut umda peshkash hai

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #18 on: December 09, 2009, 08:38:15 PM »
Reply with quote
Rona kya khusi Ji yahi haqiqat hai
Insaan bahut jald badal jaate hain

ek geet yaad a gayee, kuch punktiyan likh raha hoon

Dekh tere sa.nsaar kii haalat kyaa ho ga_ii bhagavaan
Kitanaa badal gayaa inasaan kitanaa badal gayaa inasaan
Suuraj na badalaa chaa.nd na badalaa naa badalaa re aasamaan
Kitanaa badal gayaa inasaan kitanaa badal gayaa inasaan
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #19 on: December 09, 2009, 08:42:43 PM »
Reply with quote
Thxxx alottt for appreciate my choice...song kafi acha hai aur sach bhi hai lekin ye bhi sach hai ke haqiqat hi rulati hai...khair once again thxxxx....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: December 10, 2009, 11:40:35 AM »
Reply with quote
Madhuwesh Ji and Khushi Ji, zahe-naseeb ke aapko meri sharing pasand aai. Khushi ji aapki sharing behad shandaar hai. Is ummeed ke saath ke aapko pasand aayegi, ek aur ghazal share karta hun:

Apne har har lafz ka khud aaina ho jaaunga         
Us ko chhota kah ke main kaise badaa ho jaaungaa
Tum giraane mein lage the,tum ne sochaa hi nahin
Main giraa to maslaa ban kar khadaa ho jaaugaa
Mujh ko chalne do, akelaa hai abhi meraa safar
Raastaa rokaa gayaa to qaafila ho jaaungaa
Saari duniya ki nazar mein hai meraa ahd-e-wafaa
Ek tere kahne se kya main bewafaa ho jaaoongaa
(---NM---)
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #21 on: December 10, 2009, 02:40:27 PM »
Reply with quote
Bohat bohat shukriya riyaz ji meri sharing ko pasand karne ke liye...aur aap ki sharing ke to kya kehne wah its wonderfull behad umda ghazal hai...thxx for sharing
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #22 on: December 11, 2009, 06:47:29 AM »
Reply with quote
~Is Zamanese Na Hum Koi Gilaa Rakhege~


Is Zamanase Na Hum Koi Gilaa Rakhege
Dil Lagayege To Na Shart-E-Wafa Rakhege


Na Dikhayege Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Kisi ko
Dard Uthega Magar Dil Ko Daba Rakhege


Jaan De Dege Agar Ek Ishaara Kar De Woh
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhege


Sab Hata Dege Unki Raah Ki Rukawat Eay Dost
Ghar Ke Darwaze Ko Har Waqt Khula Rakhege


Unki Har Baat Ko Bhoolese Na Bhoolege Kabhi
Unki Yaado Ko Bhi Seenese Laga Rakhege


Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Unke Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Me Jala Rakhege !!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #23 on: December 11, 2009, 10:24:43 AM »
Reply with quote
Khushi Ji aapne itni achhi achhi ghazlen kahan se jama ki hain.kuchh hamein bhi bata do. Behad khoobsurat ghazal hai. To lijiye ek ghazal aur share karta hun:

Hansane ki batein rulane ki batein
Bahut yaad aain zamane ki batein
Darakhton se puchhe sitam aandhion ke
Parindon se kee aashiyane ki batein
Mere paas mere liye kya bachega
Agar bhool jaaun bhulane ki batein
Badi khubsoorat meri zindagi hai
Faqiron ki duniya khazane ki batein.
(---NM---)
Thanks.
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #24 on: December 11, 2009, 02:56:37 PM »
Reply with quote
Wah behad achi ghazal share ki hai aap ne its really very nice thxxx for sharing....maine sab poetrys net se hi lee hai....
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #25 on: December 12, 2009, 10:13:32 AM »
Reply with quote
                   ~Ab kya karna~

Ghayal kiya jab apno ne,to gairon se gila kya karna
Uthaaye hai khanjer jab apno ne, tho zindagi ki tamanna kya karna
 
 Dil tha ek kanch ka ghar ,so aakhir wo bhi toot gaya
Kismat me likhey hain jab gum ,to khuda se gila kya karna
 
 Tarasti rahi zindagi bhar jin sachey rishton ke liye
Jab unho ne hi thukra diya, to gairon se tawaqo kya karna
 
Jis ko samjha tha apna, jis ko banaya tha apna raazdaan
Usii ne jab dil thod diya, to gair ko apna kar kya karna
 
 Muskurana jo bhool gaye hont to kya hua
Ghum ko bana liya hai apna, to muskura ke ab kya karna... tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #26 on: December 14, 2009, 10:37:36 AM »
Reply with quote
Pari Ji bahut achhi poem aapne share ki hai. Waise aap har poem bahut chun chun kar share karti hain.Thanks for sharing. Meri is sharing par bhi ghaur farmayen,ummed hai sabko pasand ayegi.

Aghaaz to hota hai anjaam nahin hota
Jab meri kahani mein wo naam nahi hota
Jab zulf ki kaalikh mein ghul jaaye koi rahi
Badnaam sahi lekin gumnaam nahin hotaa
Hans hans ke java’n dil ke ham kyon na chune tukde
Har shakhs ki qismat mein inaam nahin hota
Din Dube hain yaa Dubi baaraat liye kashti
saahil pe magar koi kohraam nahiN hotaa
(By Meena Kumari)
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #27 on: December 14, 2009, 03:32:03 PM »
Reply with quote
Bohat achi sharing ki hai aap ne its really very nice...aap bhi waise chun chun ke hi share karte hai haan...very nice thxxxxx for sahring....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #28 on: December 16, 2009, 04:16:26 AM »
Reply with quote
जाते जाते वो मुझे अच्छी िनशानी दे गया
उम्र भर दोहराऊँगा ऎसी कहानी दे गया
उस से मै कुछ पा सकूँ ऎसी कहाँ उम्मीद थी
गम भी शायद वो बराए-मेहरबानी दे गया
सब हवाऍ ले गया मेरे समन्दर की कोई
ऒर मुझको एक कश्ती बादबानी दे गया
खैर मै प्यासा रहा पर उसने इतना तो िकया
मेरी पलको की कतारो को वो पानी दे गया.
(---NM---)
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #29 on: December 16, 2009, 06:06:12 PM »
Reply with quote
Ye jagjit singh ki best ghazals me se ek hai very nice sharing thxxxxxx......
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:56:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer