Phir Kisi Yaad Ne Shab Bhar Hai Jagaya Mujh Ko ........

by -Kashish- on January 06, 2010, 10:05:33 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1442 times)
-Kashish-
Guest
Reply with quote
Phir Kisi Yaad Ne Shab Bhar Hai Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hai Mohabat Ne Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram Hai Na Raat Ko Hai Chain Kabhi
Jaaney Kis Khaak Say Qudrat Ne Banaya Mujh Ko

Dukh To Ye Hai Ke Zamaney Mein Miley Gair Sabhi
Jo Mila Hai Wo Mila Ban Ke Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mairey Roney Ko
Ghar Ki Deewaron Ne Seenay Say Lagaya Mujh Ko

Yoon To Umeed-e-Wafa Tum Say Nahin Hai Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Ne Jalaya Mujh Ko

Wo Diya Hoon Jo Mohabat Ne Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Aandhi Ne Sar-e-Shaam Bujhaya Mujh Ko
 
{NM}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mujh ko paana hai to phir mujh main utar kar dekho by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
PHir Kisi Yaad Ne by roomaharis in Shayri-E-Dard
har kisi yad nay har raat bhar hay jagaya mujh ko by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
SHAB BHAR DEKH LENE DOH HAMEY ...... (Jasbir Singh) by jasbirsingh in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kal shab bhar by sanchit in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: January 06, 2010, 10:37:11 AM »
Reply with quote
Behad khubsoorat ghazal aapne share ki Kashish Ji. Badi pyari creation hai. Thanks for sharing.

Phir Kisi Yaad Ne Shab Bhar Hai Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hai Mohabat Ne Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram Hai Na Raat Ko Hai Chain Kabhi
Jaaney Kis Khaak Say Qudrat Ne Banaya Mujh Ko

Dukh To Ye Hai Ke Zamaney Mein Miley Gair Sabhi
Jo Mila Hai Wo Mila Ban Ke Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mairey Roney Ko
Ghar Ki Deewaron Ne Seenay Say Lagaya Mujh Ko

Yoon To Umeed-e-Wafa Tum Say Nahin Hai Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Ne Jalaya Mujh Ko

Wo Diya Hoon Jo Mohabat Ne Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Aandhi Ne Sar-e-Shaam Bujhaya Mujh Ko
 
{NM}


Isi mizaaj ka mera ek sher arz hai:

Dil mein ik yaad phir se machalne lagi
Zindagi aaj phir haath malne lagi.
Logged
diya786
Guest
«Reply #2 on: January 06, 2010, 10:57:18 AM »
Reply with quote
Shukriya Riyaz Sahab
khoob likha hai aapne bhi Applause Applause Applause
aapki lines ke jawaab mein kuch koshish kar rahi hoon likne ki

Teri yaad mere dil ko itni azeez hai
ki jaise yaad nahin meri dhadkan hai
Nahin hai tu paas mere ae mere habib
tu hi kyun ban gaya mera reqeeb hai...
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: January 06, 2010, 11:46:57 AM »
Reply with quote
Shukriya Riyaz Sahab
khoob likha hai aapne bhi Applause Applause Applause
aapki lines ke jawaab mein kuch koshish kar rahi hoon likne ki

Teri yaad mere dil ko itni azeez hai
ki jaise yaad nahin meri dhadkan hai
Nahin hai tu paas mere ae mere habib
tu hi kyun ban gaya mera reqeeb hai...


Wah wah... kya khoob lines hain. Sudafreen. Kuchh lines share karta hun:

Yaaden Hain Kuch Aisi Tere Naam Se Wabasta
Har Subha Hai Jaise Har Sham Se Wabasta

Bas Tere Tasavvur Se Fursat Hi Nahi Milti
Rahti Hain Teri Yaaden Har Sans Se Wabasta

Lakhon Hain Tamannain Par Ye Dua Hai
Bus Naam Rahe Mera Tere Naam Se Wabasta
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #4 on: January 06, 2010, 12:22:33 PM »
Reply with quote
Nice Kashish Ji And Nice Response RIyaz JI
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #5 on: January 06, 2010, 12:49:51 PM »
Reply with quote
very nicely done...
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: January 06, 2010, 03:53:16 PM »
Reply with quote
NICE SHARING KASHISH JI Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: January 06, 2010, 09:21:54 PM »
Reply with quote
Wonderful sharing Kashish Ji
N  nice response Riyaz Ji
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: January 07, 2010, 03:45:42 AM »
Reply with quote
Very nice sharing Kashish ji.lovely lines by Riyaz ji, icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:04:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer