soudagar
Guest
|
|
|
ek aisi kahani share karne ja raha hoon jise suna to sabne hee hoga par mann kar raha tha isliye aap sabse share kar raha hoon jinhone kabhi na suna na padha ho isko to jarur gour farmayega
isse badh ke koi sheh bhi komal nahi maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi MAA KA DIL ....MAA KA DIL
maa ke bhaktjanoO thaam ke dil sunoo maa ke dil ki kahaani sunata hoon main peeda dukh se ghiri aasuon se bhari sachchi mamata ke darshan krata hoon main... dukhiya ek naari thi bhagya ki maari thi sukh devi tha naam par sukh na mila uske sindoor ko bindiya ke noor ko haaye zaalim muqadar ne cheen tha liya ek noor-e-nazar pyaara lakthe jigar uski mamta ki chaao mein palta raha ma ki ungli pakad chalke idhar udhar kabhi girta kabhi woh sambhalta rha maa ko rehta tha darr koi lage na nazar.. kaala gaal pe teeka lagati thi woh hoke bas pyaar ke mircho ko waar ke jalte chulhe mein nis din girati thi woh use aankhon se karti woh ojhal nahi..-2 maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi
kapde see see ke woh aansu pee pee ke woh apne bete pe khushiya lootati rahi abLa kee bebasi karke maatha kashi bhukHi khud reh ke usko khiltai rahi-2 din guzarte rahe ro ro ke kat te rahe kabhi bacche ko gum na tha karne diya chaahe lachaar thi dukh se do chaar thi saaya dukho ka uspe naa padne diya mann mein tha hausla tha kal ko hoke bada mere kadmo pe khushiyaan bicha dega yeh achche din aayenge duur gum jaayenge mere kaanto ko kaliyaan bana dega yeh ambe maiyaa ke darr uska karne shukra saath bete ke ek din jaaungi main ghar mein aaye bahu pariyon si hubahu maang mannat bhawani se aayungi main duur mujhse meri ab toh mazil nahi-2 maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi..... deke mata dulaar jaag kar beshumaar roz sapne hi sapne sanjoti rahi kabhi mooh chhomti usko le jhumti chaahe parde mein nis din hi roti rahi tara aakhon ka wo maa ko pyara tha jo waqt ke sath ek din bada ho gayaa maa ke balidan ki koi qadar na rahee buri sangat ki daldal mein wo kho gayaa aibon se ghir gaya is qadar gir gaya galiyan tak tha maa ko sunane lagaa mehanton ka jo dhan ek chandal ban behayaee se wo tha lutaane lagaa maiyaa roti rahi aahein bharati rahi haye socha tha kya aur kya ho gayaa sapna tuta hai kyun bhagya futa hai kyun kyun bhalaaiyon ka badla bura ho gayaa chaha jo tha hua usko hasil nahee maa ke dil jaisa dunia mein koi dil nahee..............continue......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #1 on: November 05, 2012, 03:11:52 PM » |
|
very heart touching
|
|
|
Logged
|
|
|
|
soudagar
Guest
|
|
«Reply #2 on: November 05, 2012, 03:40:32 PM » |
|
Wo durachari ban ho gaya badchalan Fas gaya galat ladki ke premjaal mein Jitna chilaati maa usko samjhati maa Utna jyada duba thaw o janjaal mein Roj ladki se mil uska kehta tha dil Tujhse shadi rachane ko jee chahta Tujhe dulhan bana doli mein bitha Ghar apne le jaane ko jee chahta Tere sar ki kasam mere pyare sanam Tere bin mujhse ab to jiya jaye naa Tum kaho jo karun tujpe jaan vaar doon Par judai ka vish yeh piya jayee naa Ladki ne kaha gar mujhse waffaa Dil apni tu maa ka mujhe laa ke de Jo tu itna kare mera waada hai yeh Bade sham sejaoungi ghar mein tere Bada aasan hai kaam mushkil nahee Maa ke dil jaisa dunia mein koi dil nai Andha ho pyar mein jhuthe aietbar mein Haye le ke chhuri apne ghar aa gaya Maa ko kuch na pata hone wala hai kya Beta dhaane ko kya hai qehar aa gaya Maa ne roj ki tarah khana laa ke diya Aur sou sou duyaein thi dene lagee Laal samjho mere sadke jaoun tere Sachi mamta balaein thee laene lagi Eta shaitan tha hua haiwan thaa Jhuthi ulfat mein maa ki khushi chal gai Janam jisne diya doodh jiska piyaa Uske dil pe hi uski chhuri chal gaii Khoon maa ka piyo beta jug jug jiyo Teri harqat se maa ka mann khil gaiya Marte marte yahi maa ne aawaj diii Meri mamta ka mujhko sila mil gaya Apne qatil samjhe jo qatil nahi Maa ke dil jaisa dunia mein koi dil nahi Behayaa berahm karke aisa karam Bhaaga ladki ke ghar tha chala jar aha Jo tha waada kiya wo nibha ha diya Apni maqaqari par thaw o itra rha Chalte chalet tabhi usko thkar lagi Aur dharti pe muh ke bal wo gir gaya Hathon se fisal gaya wo maa ka dil Itna maa ki duaon ka fal gir gayaa Bola maa ka dil mere laal sambhal Koi teri wafaa mein khot to nahee Tera hoye re bhala mujhe sach sach bta Kahin tujhko lagi koi chot to nahee Mere dil ko utha dil se dil ko laga Is dil mein bada pyar tere liyee Dil hardum mera deta dil se duaa Dil yeh qurbaan sou b aar tere liye Maa rahm dil hai tujh jaisi sangdil nahi Maa ke dil jaisa dunia mein koi dil nahee ..........continue
|
|
|
Logged
|
|
|
|
soudagar
Guest
|
|
«Reply #3 on: November 05, 2012, 03:51:30 PM » |
|
leke thoda sa dum beaqal besharam dil maa ka utha ke chala wo gaya khukhaar wo pashu daal maa ka lahu karna wo roshan chahe wafa ka diyaa premika ke wo ghar fakr se pahuch kar bola maa ka dil laya meri jaan is jahan mein kahin koi mujhs sa nahi maine kar liya pass yeh imtihan pagalpan dekhkar boli wo chikhkar are wehsi darinde yeh kya kar diya dharti phat jayegi prlaya aa jayegi tune mamta ko jag mein tabaah kar diya tere jaise agar huye aur bhi bashar maa beton ko degi janam na kabhi rona aata mujhe lakh laant tujhe mere ghar se zalim tu nikal ja abhi tu mere pyar ke ab to qabil nahiii maa ke dil jaisa dunia mein koi dil nahi
uski fatkar se laanton ki maar se sar peet ke kalanki wo rone laga maine kya kar diya khoon maa ka kiya apne kiye pe sharmshar hone lagaa maa ka dil dekhkar mathe ko tekkar bola he janni maiya mujhe maaf kar main hoon papi bada sar jhukaye khada ho sake to yeh chola mera saaf kar ab main jaon kahan muh chhupaon kahan maine khud ko gunahon mein gark kar liya tu to nirdosh maa tujhsa koi kahan maine jeewan yeh apna nark kar liyaa jo kiya sochkar balon ko nochkar wo zameen pe tha sar ko patakne laga log dhikkar the pathar bhi maarte wo pagal ho darr darr bhatkane laga sabhi kehte yeh maafi ke qabil nahee maa ke dil jaisa dunia mein koi dil nahi bediyon mein jakad police le gai pakad mout saamne khadi dekh wo darr gaya khouf itna badha jo wo seh na sakkaa pagalkhane mein ro ro ke wo marr gaya
maa ke bhakto suno isse kuch sabak lo dil bhule se maa ka kabhi dukhana nahii yeh samjh lo sabhi maa ne jo aah bhari lok parlok phir kahin bhi thikana nahi ambe maa ke bhawan pichhe rakhna qadam pehle ghar baithi maa ke charan chum lo uski aashish le mamta chunri tale sachi jannat ke karke darsh jhum lo ghar mein bhukhi hai maa bahar langar laga aise insaan kabhi bakshe jaate nahee maa ko peeda se bhar jake daatee ke ghar sherowali ka wo pyaar paate nahi maa sa nirdosh guru koi qamil nahee maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi
isse badhke koi sheh bhi komal nahee maa ke dil jaisa dunia mein koi dil nahee
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gaytri gupta
Guest
|
|
«Reply #4 on: November 05, 2012, 05:38:52 PM » |
|
v v nice n v v heart touching....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
masoom shahjada
Guest
|
|
«Reply #6 on: November 06, 2012, 01:46:54 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
soudagar
Guest
|
|
«Reply #7 on: November 06, 2012, 02:38:01 AM » |
|
Aarish bhai maine to ise sirf yoindia par likha hai waise to yeh mata rani ki bahut zabardast bhenton mein se ek hai jise balbir nirdoshi ne likha hai aur narender chanchal ne gaya.............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aarish
Guest
|
|
«Reply #8 on: November 06, 2012, 03:15:16 AM » |
|
Aarish bhai maine to ise sirf yoindia par likha hai waise to yeh mata rani ki bahut zabardast bhenton mein se ek hai jise balbir nirdoshi ne likha hai aur narender chanchal ne gaya.............
oK but maine pehle nahin suni , but phir bhi umda nazm hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
aqsh
Guest
|
|
«Reply #9 on: November 06, 2012, 03:26:27 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nandbahu
Mashhur Shayar
Rau: 122
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553 Member Since: Sep 2011
|
|
«Reply #10 on: November 06, 2012, 04:05:56 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sanjeev kash
Guest
|
|
«Reply #11 on: November 06, 2012, 04:09:18 AM » |
|
Bahut Khub Karan Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sakshi makwana
Guest
|
|
«Reply #12 on: May 01, 2013, 11:47:14 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Kaushal Maurya
Guest
|
|
«Reply #13 on: September 25, 2014, 03:55:03 PM » |
|
sach kaha bhai
maa ke dil jaisa dunia
Main Koi Dil Nahin
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|