A ! NAZAR SE NAZAR MILAAO NA

by waquif ansari on July 16, 2010, 11:50:17 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2212 times)
waquif ansari
Guest
«Reply #15 on: July 22, 2010, 10:47:45 AM »
Reply with quote
Dear madhuwesh Ji! Aapki khoobsurat alfaazoN ka behud shukriya.

(Waquif Ansari)

Wah wah W,ansari ji bahut baddiya.lovely lines by Pandey ji. icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
shambhu singh
Guest
«Reply #16 on: July 23, 2010, 08:26:40 PM »
Reply with quote
Dear madhuwesh Ji! Aapki khoobsurat alfaazoN ka behud shukriya.

(Waquif Ansari)

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #17 on: August 07, 2010, 11:57:41 AM »
Reply with quote
A ! nazar se nazar milaao na
Tirchhi nazroN se gul khilaao na

Tum ko apna bana liya hum ne
Tum bhi apna hameiN banaao na

Door tak haath thaam kar mera
Ishq ki rasm kuchh nibhaao na

Dekho taRpeNge raat bhar yooNhi
Is qadar zulm dil pe Dhaao na

Aa gaye ho hamaari khwaboN meiN
Zindagi meiN chale bhi aao na

Ab mulaaqaat phir kahaN hogi
Chupke chupke mujhe bataao na

Door kyuN ho hamaari nazroN se
Aao WAQUIF qareeb aao na


KYAA KHOOB BEHTREEN ANDAAZ-E - GHUZARISH AUR BEHTREEN PESHKASH W.A SB..........KAISE LIKEIN NAZM KUCH TAREEQA HUMEIN BHI BATAO NAA....!!
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #18 on: August 09, 2010, 10:18:16 AM »
Reply with quote
Janab Shihab Saheb!Tasleemaat!
Aap ne jis andaaz se ghazal ki paziraayee ki aur hausla baRhaya is ke liye banda aapka shukriya ada karna farz samajhta hai. Isi tarah apni nawazisoN se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)

Wah Wah Waquif Saheb Kya Kehne
Sach Mein Koi Jawaab Nahi Aapka.
Behad Hi Khoobsurat Peshkash Hai
Aagaz Se Lekar Anjaam Tak Behtareen
Bahut Bahut Hi Khub Janaab..

Hazaron Dad...Kabul Karen...!

ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe Ameen


~Shihab~

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #19 on: August 16, 2010, 09:13:46 AM »
Reply with quote
Janab Nazar Ghouri Saheb! Adab-o-Tasleemaat!
Takheer k liye maazrat chaahta hooN. Ramzaan Mubaarak Ho. Aap ne jis andaaz se ghazal ki hauslaafzaayee ki hai uske liye aapka bahut bahut shukriya. Isi tarah se apni nawaazison se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)

bahot bahot khoob wah wah waquif sb...riyaz sb ki baat se mein bhi ittefaq dikhata hoon yehi ke aap ka yeh andaaz pehli baar dekhne ko mila..hazaro daad
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #20 on: August 16, 2010, 09:20:08 AM »
Reply with quote
Janab Khamosh Aawaaz Ji! Aadab-o-Tasleemaat!

Jis andaaz se aapne ghazal ki taareef ki hai woh aapke shukhanwari ka haseen namoona hai. Kamaal k andaaz-o-bayaan rakhte haiN janab aap. Aap ne himmatafzaayee ki bandah iske liye aapka shukrguzar hai. Isi tarah apni nawaazisoN se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)

KYAA KHOOB BEHTREEN ANDAAZ-E - GHUZARISH AUR BEHTREEN PESHKASH W.A SB..........KAISE LIKEIN NAZM KUCH TAREEQA HUMEIN BHI BATAO NAA....!!
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #21 on: August 25, 2010, 09:14:28 AM »
Reply with quote
Dear Shambhu Singh Ji! Adab!

Aapka bhi behad shukriya ada karna apna farz samajhta hooN. Thank you again.

(Waquif Ansari)


Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #22 on: September 04, 2010, 12:19:29 PM »
Reply with quote
Janab Khamosh Aawaaz Saheb! Adab!

Aap ne ye bhi likha hai k nazm kaise kahi jaaye. Aazaad nazm likhna to aasaan hai haaN magar wo nazm jo bahr mein kahi jaati hai us waqt tak aasaan nahiN hai jab tak k bahr ka ilm na ho aur maashaaAllah aap to qaadir haiN. Aap aazaad ho ya bahr waali nazm aap likh sakte hain.

(Waquif Ansari)

Quote from: khamosh_aawaaz...KAISE LIKEIN NAZM KUCH TAREEQA HUMEIN BHI BATAO NAA....!!
[/quote
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #23 on: January 10, 2011, 06:59:49 PM »
Reply with quote
Wah wah mere bhai yu laga ghazal me koi meetha sa geet sama gaya ho.....jis andaaz me maine padha hai bas samajh lijiye maza aa gaya.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #24 on: April 27, 2011, 08:47:53 AM »
Reply with quote
A ! nazar se nazar milaao na
Tirchhi nazroN se gul khilaao na

Tum ko apna bana liya hum ne
Tum bhi apna hameiN banaao na

Door tak haath thaam kar mera
Ishq ki rasm kuchh nibhaao na

Dekho taRpeNge raat bhar yooNhi
Is qadar zulm dil pe Dhaao na

Aa gaye ho hamaari khwaboN meiN
Zindagi meiN chale bhi aao na

Ab mulaaqaat phir kahaN hogi
Chupke chupke mujhe bataao na

Door kyuN ho hamaari nazroN se
Aao WAQUIF qareeb aao na


bahut hi naazuk aur khoobsurat alfaaz se saji ye ghazal. daad qabul karein waquif sahab
Logged
manjum
Guest
«Reply #25 on: April 27, 2011, 09:27:09 AM »
Reply with quote
wah wah.... waquifji...

bahut badiya ghazal hai...
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #26 on: April 28, 2011, 08:04:05 AM »
Reply with quote
A ! nazar se nazar milaao na
Tirchhi nazroN se gul khilaao na

Tum ko apna bana liya hum ne
Tum bhi apna hameiN banaao na

Door tak haath thaam kar mera
Ishq ki rasm kuchh nibhaao na

Dekho taRpeNge raat bhar yooNhi
Is qadar zulm dil pe Dhaao na

Aa gaye ho hamaari khwaboN meiN
Zindagi meiN chale bhi aao na

Ab mulaaqaat phir kahaN hogi
Chupke chupke mujhe bataao na

Door kyuN ho hamaari nazroN se
Aao WAQUIF qareeb aao na


bahut umda bahut pyara
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 13, 2025, 08:23:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer