aabaad hu main,barbaad hu main

by Prateek Mardia on January 10, 2009, 09:12:03 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4150 times)
Prateek Mardia
Guest
Reply with quote

Kabhi  khud se he aabaad hu main
Kabhi  khud se he barbaad hu main
Kuch khwaishey haasil hui pur
Armaano ki taadad hu main.!


Kabhi dil ki baatein ansuni ki
Kabhi dimaag ko kiya kinaara
Jaddozehad ke bane pulindey
Mun-mastishk ka vivaad hu main!


Kabhi kuch bhooli bisri daastaan hu main
Kabhi kuch yaadon ka makaan hu main
Yeh silsiley thumtey nahi hai
Kuch dardon ki buniyaad hu main !


 Kabhi waqt aur kismat se  ki ladaai
Kabhi jholi mein aayi khushiyaa bhee gavaai
Zindgi ke chalaavey dekhe saare
Ub maut ki fariyaad hu main.!


Kabhi khud se he aabaad hu main
Kabhi khud se he barbaad hu main!


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mujhe khud ko tere ishq main aabaad kerna hai by muneeb in Shayri-E-Dard
(Kyun Main na sahe kaha na) shairi ka bara main plz. read by muneeb in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Main nashay main hoon by Syed Imran in Ghazals
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Main tha, main hu, main rahunga(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shairi - E - Zindagi
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: January 10, 2009, 09:43:20 PM »
Reply with quote
Good one Prateek Ji
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #2 on: January 10, 2009, 09:47:07 PM »
Reply with quote

Kabhi  khud se he aabaad hu main
Kabhi  khud se he barbaad hu main
Kuch khwaishey haasil hui pur
Armaano ki taadad hu main.!


Kabhi dil ki baatein ansuni ki
Kabhi dimaag ko kiya kinaara
Jaddozehad ke bane pulindey
Mun-mastishk ka vivaad hu main!


Kabhi kuch bhooli bisri daastaan hu main
Kabhi kuch yaadon ka makaan hu main
Yeh silsiley thumtey nahi hai
Kuch dardon ki buniyaad hu main !


 Kabhi waqt aur kismat se  ki ladaai
Kabhi jholi mein aayi khushiyaa bhee gavaai
Zindgi ke chalaavey dekhe saare
Ub maut ki fariyaad hu main.!


Kabhi khud se he aabaad hu main
Kabhi khud se he barbaad hu main!




bohat khoob Prateek ji... Keep it up

Saajid Hadayat
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #3 on: January 10, 2009, 10:04:35 PM »
Reply with quote
Wah Prateekji
Bahoot Khoob  Applause Applause Applause
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: January 11, 2009, 05:16:28 AM »
Reply with quote
bahut badiya prateekji.....

zindagi mein armaano ki taadad, toh kabhi nahin hoti kam,
kuch pure hote hai toh  milti hai khushi,kuch nahin pure hote toh milte hai gam.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #5 on: January 11, 2009, 06:25:27 PM »
Reply with quote
Good one Prateek Ji

Thank you Rajesh Ji

bohat khoob Prateek ji... Keep it up

Saajid Hadayat

Shukriya Saajid Ji
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: January 11, 2009, 06:29:49 PM »
Reply with quote
Wah Prateekji
Bahoot Khoob  Applause Applause Applause

taareef ka shukriya,pankshivam ji.

bahut badiya prateekji.....

zindagi mein armaano ki taadad, toh kabhi nahin hoti kam,
kuch pure hote hai toh  milti hai khushi,kuch nahin pure hote toh milte hai gam.

shukriya Cara Ji.Good lines.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: January 13, 2009, 07:36:02 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khoob Prateekji.. Applause Applause Applause Applause

Insaan Ke halaat Par Aapne Roshni Daali,Iss Kavita Ki Har ek Baat Dil Ko Chuti Hai,Kyonki Har Ek insaan Aise Daur Se Guzarta Hai..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #8 on: January 13, 2009, 07:42:10 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khoob Prateekji.. Applause Applause Applause Applause

Insaan Ke halaat Par Aapne Roshni Daali,Iss Kavita Ki Har ek Baat Dil Ko Chuti Hai,Kyonki Har Ek insaan Aise Daur Se Guzarta Hai..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley


tahe-dil se shukrguzaar,khwaish bhai aapka ki aapne is kavita ko gaur se padha.dhnyawaad.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 13, 2009, 08:08:37 PM »
Reply with quote
Shukriya Aapka Prateekji,jo aapne itni achi kavita padhne ka humein mauka diya..ek choti si Koshish meri Taraf se...

Kabhi Khud Se Abaad Hoon Main,
Kabhi Khud Se Barbaad Hoon Main,
Jis Ka Koi Hal Nahi,
Aisi Bhi Kya Fasaad Hoon Main!!

Kabhi Chalta Raha Din-Raat Khushiyon Ki Talaash Mein,
Kabhi Bhatakta Raha Dar-Badar,Kuch Paane Ki aas Mein,
Jo Kabhi Bhuj Na Paayi "Khwaish"
Kuch Aisi Pyaas Hoon Main...

Manzil ki Talaash Mein Jo Nikle the,
Par Hauslo Ne Raahon Mein Hi Dam Tod Diye,
Apni Hi Bebasi Par Jo Sharminda Hue,
Unn Ansuon Ka Sailaab Hoon Main...

Jis Ke har Akshar pe,
Majbooriyon Ka Basera Hai,
Jis Ke Har Panhe Par,
Ghamo Ka Dhera Hai.
Ek Aisi Kitaab Hoon Main...

Zindagi Ke Har Imtehaan Se Darta Raha,
Apni Hi Nakaamyabi Se Ladta Raha,
Jaam Aata Bhi Tha, To Sookh Jaata,
Farsh Pe Pada,
Khaali Glass Hoon Main..

Kabhi Khud se Abaad Hoon Main,
Kabhi Khud Se Barbaad Hoon Main...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #10 on: January 13, 2009, 08:40:05 PM »
Reply with quote
...good one Prateek and you rock Khwaish...keep it up...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: January 13, 2009, 09:23:52 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai Prateek ji and Khwaish ji, app dono ne he kamaal ka likha hai... bahoot khoob!!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #12 on: January 14, 2009, 03:18:05 PM »
Reply with quote
Shukriya Aapka Prateekji,jo aapne itni achi kavita padhne ka humein mauka diya..ek choti si Koshish meri Taraf se...

Kabhi Khud Se Abaad Hoon Main,
Kabhi Khud Se Barbaad Hoon Main,
Jis Ka Koi Hal Nahi,
Aisi Bhi Kya Fasaad Hoon Main!!

Kabhi Chalta Raha Din-Raat Khushiyon Ki Talaash Mein,
Kabhi Bhatakta Raha Dar-Badar,Kuch Paane Ki aas Mein,
Jo Kabhi Bhuj Na Paayi "Khwaish"
Kuch Aisi Pyaas Hoon Main...

Manzil ki Talaash Mein Jo Nikle the,
Par Hauslo Ne Raahon Mein Hi Dam Tod Diye,
Apni Hi Bebasi Par Jo Sharminda Hue,
Unn Ansuon Ka Sailaab Hoon Main...

Jis Ke har Akshar pe,
Majbooriyon Ka Basera Hai,
Jis Ke Har Panhe Par,
Ghamo Ka Dhera Hai.
Ek Aisi Kitaab Hoon Main...

Zindagi Ke Har Imtehaan Se Darta Raha,
Apni Hi Nakaamyabi Se Ladta Raha,
Jaam Aata Bhi Tha, To Sookh Jaata,
Farsh Pe Pada,
Khaali Glass Hoon Main..

Kabhi Khud se Abaad Hoon Main,
Kabhi Khud Se Barbaad Hoon Main...


Aapke yahan likhne se yeh panna bhee khoobsurat bun gaya,khwaish bhai.bahut khoob.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #13 on: January 14, 2009, 03:23:07 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai Prateek ji and Khwaish ji, app dono ne he kamaal ka likha hai... bahoot khoob!!!

shukriya Pooja ji, khwaish ji to sada hi kamaal ka likhte hai,unhi se seekh seekha kar kabhi kabhi cheshta kar leta hu mai bhee..
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: January 14, 2009, 04:25:00 PM »
Reply with quote
Wah wah Prateek Mardia ji bahut khoob  Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:11:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer