दरिया हूँ मैं इक आग का जो कि मुद्दतों से बुझा नहीं |
जो समझ सके मेरे दर्द को कोई आज तक तो मिला नहीं ||
वो गुनाह करके बचे रहे मुझे बिन किये ही सज़ा मिली |
वो अजीब सा इजलास था जहाँ मुद्दई को सुना नहीं ||
किया एक तरफ़ा ही फ़ैसला मुझे छोड़ कर वो चले गए |
क्यूँ ख़फ़ा हुए क्या ख़ता हुई मुझे आज तक भी पता नहीं ||
ग़म-ए-आशिक़ी ने मिटा दिया जो वजूद कुछ था बचा हुआ |
मैं वो सूखता हुआ पेड़ हूँ किसी ने भी पानी दिया नहीं ||
ये चराग़ कैसे जलाऊं मैं नहीं जानता मैं ये इल्म-ओ-फ़न |
मैं तो तीरगीमें पला बड़ा मुझे रोशनी का पता नहीं ||
वो मुझे लिखें मैं उन्हें लिखूं कभी ख़त लिखा था ये सोच कर |
मेरी उम्र सारी निकल गई वो जवाब उसने दिया नहीं ||
जो मिला उसी में मैं ख़ुश रहा मैं ख़ुदा का शुक्रगुज़ार हूँ |
मेरे काम सब ही निबट रहे कोई काम भी तो रुका नहीं ||
मुझे डस रहीं वो आज भी मेरी गुर्बतें एक सांप सी |
मैं अना पे अपनी अड़ा रहा कभी उनके आगे झुका नहीं ||
मेरी धडकनों पे वो छा गई किसी ख़ूबरू रूह की तरह |
नहीं नाम का नहीं शहर का मुझे आज‘सैनी' पता नहीं ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Dariyaa hooN maiN ik aag kaa jo ki muddatoN se bujhaa naheeN.
Jo samajh sake mere dard ko koi aaj tak to milaa naheeN.
Vo gunaah karke bache rahe mujhe bin kiye hee sazaa milee.
Vo ajeeb saa ijlaas thaa jahaaN muddai ko sunaa naheeN.
Kiyaa ek tarfaa hee faislaa mujhe chhod kar vo chale gaye.
KyooN khafaa hue kyaa khataa hui mujhe aaj tak bhee pataa naheeN.
Gham-e-aashiqee ne mitaa diyaa jo vajood kuchh thaa bachaa huaa.
MaiN vo sookhtaa hua ped hooN kisee ne bhee paanee diyaa naheeN.
Ye chraagh kaise jalaaooN maiN naheeN jaantaa maiN ye ilm-o-fan.
MaiN to teergee meN palaa badaa mujhe roshnee kaa pataa naheeN.
Vo mujhe likheN maiN unhe likhooN kabhee khat likhaa thaa ye soch kar.
Meree umr saaree nikal gai vo jawaab usne diyaa naheeN.
Jo milaa usee meN maiN khush rahaa maiN khudaa kaa shukrguzaar hooN.
Mere kaam sab hee nibat rahe koi kaam bhee to rukaa naheeN.
Mujhe das raheeN vo aaj bhee meree gurbateN ek saanp see.
MaiN anaa pe apnee adaa rahaa kabhee unke aage jhukaa naheeN.
Meree dhadkanoN pe vo chhaa gai kisee khoobroo rooh kee tarah.
NaheeN naam kaa naheeN shahr kaa mujhe aaj ‘saini’ pataa naheeN.
Dr.Surendra Saini
Bahut achchye aur Dil ko chhooney waaley bol, badhaai Dr saini.
Ek Rubai is ghazal ke liye......
Dawaa duaa se jo milati hai, aser karati hai,
Shammaa parwaney pe,jalati hai, aser karati hai,
youn tau kahaney ke liye baat ko kahatey hain sabhi,
Baat jab dil se nikalati hai , aser karati hai.