Kabhi-kabhi lagta hai............
yun hi bewajah si beet rahi hai zindagi...........
jaise ek hi dhuri, ek hi samye ke pahiye par bina raftar si beh rahi hai zindagi.......
Har mahine ki pehli tarikh aate hi tum kehte ho.........
jo samaan lana hai usko list bana do.......
kaun si "daal" kitne "chawal" aur kitna "aata" lana hai yeh bata do.......
kis ki is mahine kya jarurt hai yeh bhi batla do.........
bas isi tarah mahine dar mahine beet rahi hai zindagi............
in sab se yeh gher toh bhara bhara lagta hai.......
par na jane kyu koi "man ka kona" reeta sa lagta hai.........
Aao,......is baar kuch nayi si list banaye........
is nayi list ke saaman se apni uljhati si zindagi ko kuch sulajaye.....
is nayi list ke saaman mein sabse pehle.......
ek tukda aasman ka lana......
jis mein ham fir se dur dur tak pyar ki ek nayi udaan bhar sake......
lana ek dhup ka tukda........
jiski garmi se ham dono apni thandi hoti "bhawanao" ko garma sake.......
ek tukda tazzi hawa ka bhi lana.........
jis se ham apni pradusheet hoti saanso ko fir se mehka sake.........
aur suno, ho sake toh thode se rang indra-dhanush ke le aana......
jis se ham apni badrang hoti zindagi ko naye rang de sake.......
Janti hun....."tum kahoge ki in sab cheego se ghar nahi chalta......."
Aasman ka tukda .........Tan nahi dhakata......
Dhup ki garmi se.........pat nahi bharta.......
Aur tazi hawa......woh kaha ab milti hai..........?
Indra-dhanush ke rang bhi ab dikhate hai kam.........
Par dekho koshish karke ek baar toh yeh sab jarur lana.....
Taki bewajah ubati . ek hi dhuri par ghumati is zindagi ko.......
fir se ek naya rang, ek madhur sangeet ki laye de sake.............
------------
ranjana
bhut hi aacha likha hai ranjana ji its superb... chaliye hum bhi dekhe yadi kuch likh paaye.
zindgi yu hi bewajah si beet rahi hai,
aaj kuch rang khusi ke laau kahn se mein,
khusi ke numainde to her jagah so rahe hai,
isiliye aapni zinde ke sare rang kho rahe hai.
dikh nhi raha hai aasman ka wo tookda,
jahan pyaar se udna chahta hu.
aati nhi ab wo dhoop,
jissey mein aapne riston ko bharna chahta hu.
nhi hai wo mahool jis sey bhed bhao bita saku.
bech du khud ko agartumhare kiye chand sansse
taji hawa ke laa saku.
main bhi to in parisithi mein jakad gaya hu.
sach poocho to parwaar mein ab mar gaya hu.
bas sirf jee raha hu jeene ke liye.........
per mahol badlega her gul khikhilaye.
ek baar phir se aisa waqt to aayega.