ABHI MAT ROIYE JANAAB. . . . . . .JAGAN KISHAN

by Jagan Kishan on April 15, 2012, 07:05:52 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1339 times)
Jagan Kishan
Guest
Reply with quote
Guzar gaya din vasl ka, shaam e hijar bhi to hui hai
Laakh bhulaai jo yaad wahi, pur asar bhi to hui hai

Neend khulte ye jaana, kuchh ganwaaya to nahi lekin
Khalish tute khwab ki, mehmaan e jigar bhi to hui hai

Bade naa ummeed se hoke, shab tak pahunche the
Ab chain se naa sahi , phir ek sahar bhi to hui hai

Jo nahi mila usi se munaasabat kyun hai mujhe
Jo mila usi mein apni, guzar basar bhi to hui hai

Aabadi e mulk mein, huzoor ne meri gintee kar li
Abhi jee raha hun, ye mujhe khabar bhi to hui hai

Abhi mat roiye janaab, marhoom ke liye, theheriye
Ek taarikh nauhaagari ki, muqarrar bhi to hui hai

Kisi bezar ko chand muharen, mayassar bhi to hui hai
Usi ke gurde se Raees ki, lambi umar bhi to hui hai

Kaat li gayi hai jeb aapki 'Jagan', jaane bhi dijiye
Koi len den hi puraani, aaj baraabar bhi to hui hai

Vasl= milan, Hijar= viyog, pur asar= asar kaarak, khalish= peeda, Nauhaagari= mare hue insaan ke peechhe vilaap karna , marhoom= dead person , munaasabat= sambandh,nisbat , shab= raat , sahar= subah, muqarrar=tay , bezar=gareeb, gurda=kidney , mayassar=available , muhar=coin
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuchh sikhiye janaab. by munna in SMS , mobile & JOKES
Kyaa baat hai janaab? by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
HAAZIR HAI JANAAB.!! by qalb in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Dekhiye Janaab by pankajwfs in Miscellaneous Shayri
Yun to Saahib..... . . . . . .Jagan Kishan by Jagan Kishan in Shairi - E - Zindagi
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #1 on: April 15, 2012, 08:08:08 PM »
Reply with quote
Bahut khoob!!!
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #2 on: April 15, 2012, 09:30:47 PM »
Reply with quote
Bhut saandar
Logged
khujli
Guest
«Reply #3 on: April 16, 2012, 05:28:24 AM »
Reply with quote
Guzar gaya din vasl ka, shaam e hijar bhi to hui hai
Laakh bhulaai jo yaad wahi, pur asar bhi to hui hai

Neend khulte ye jaana, kuchh ganwaaya to nahi lekin
Khalish tute khwab ki, mehmaan e jigar bhi to hui hai

Bade naa ummeed se hoke, shab tak pahunche the
Ab chain se naa sahi , phir ek sahar bhi to hui hai

Jo nahi mila usi se munaasabat kyun hai mujhe
Jo mila usi mein apni, guzar basar bhi to hui hai

Aabadi e mulk mein, huzoor ne meri gintee kar li
Abhi jee raha hun, ye mujhe khabar bhi to hui hai

Abhi mat roiye janaab, marhoom ke liye, theheriye
Ek taarikh nauhaagari ki, muqarrar bhi to hui hai

Kisi bezar ko chand muharen, mayassar bhi to hui hai
Usi ke gurde se Raees ki, lambi umar bhi to hui hai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kaat li gayi hai jeb aapki 'Jagan', jaane dijiye
Koi len den hi puraani, aaj baraabar bhi to hui hai


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: April 16, 2012, 06:28:59 AM »
Reply with quote
Jagan ji , bahut khubsurat ghazal kahi hai.Tah e dil se daad hazir hai.Hasan
Logged
Jagan Kishan
Guest
«Reply #5 on: April 16, 2012, 07:21:22 AM »
Reply with quote
quateelji , masoomji , qalbji , Hasanji , dollyji , saahillji , sarfiraji , sainiji, aap sab seniors ko tah e dil se shukriya ada karta hun.....mujhe afsos hai ki mai yoindia ko jyada time nahi de pa raha hu, kyunki peshe se doctor hone ki waja se pura din apne clinic me vyast rehta hu.....aur aap sab ki kain utkrusht rachnaae padhne ka mauka bhi nahi milta hai.....lekin mai koshish karunga aap logo se hamesha jude rahne ki....God bless u all .
Logged
dolly
Guest
«Reply #6 on: April 16, 2012, 07:23:44 AM »
Reply with quote
essence is very good...words tough lage...meaning pprovide karein to it vl b helpful....Usual Smile...bahut khoob....
Logged
Jagan Kishan
Guest
«Reply #7 on: April 16, 2012, 08:00:20 AM »
Reply with quote
why not dollyji ! I ve just added the meanings
Logged
Anahita
Guest
«Reply #8 on: April 16, 2012, 09:22:01 AM »
Reply with quote
 bahut khoob Kishan saheb
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: April 16, 2012, 10:14:13 AM »
Reply with quote

Aadaab Jagan Sahaab!


Behad achchi kalaam kahi hai aapne janab... kafi umda aur dilfareb
ashaar kahe haiN... Sabhi ashaar behad khoob rahe...


Humari dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile
Likhate rahiye... aate rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile


Guzar gaya din vasl ka, shaam e hijar bhi to hui hai
Laakh bhulaai jo yaad wahi, pur asar bhi to hui hai

Neend khulte ye jaana, kuchh ganwaaya to nahi lekin
Khalish tute khwab ki, mehmaan e jigar bhi to hui hai

Jo nahi mila usi se munaasabat kyun hai mujhe
Jo mila usi mein apni, guzar basar bhi to hui hai

Kisi bezar ko chand muharen, mayassar bhi to hui hai
Usi ke gurde se Raees ki, lambi umar bhi to hui hai

Kaat li gayi hai jeb aapki 'Jagan', jaane bhi dijiye
Koi len den hi puraani, aaj baraabar bhi to hui hai

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #10 on: April 16, 2012, 04:50:26 PM »
Reply with quote
is behtreen ghazal par hazaaron daad
Logged
sbechain
Guest
«Reply #11 on: April 16, 2012, 06:14:34 PM »
Reply with quote
Guzar gaya din vasl ka, shaam e hijar bhi to hui hai
Laakh bhulaai jo yaad wahi, pur asar bhi to hui hai

Neend khulte ye jaana, kuchh ganwaaya to nahi lekin
Khalish tute khwab ki, mehmaan e jigar bhi to hui hai

Bade naa ummeed se hoke, shab tak pahunche the
Ab chain se naa sahi , phir ek sahar bhi to hui hai

Jo nahi mila usi se munaasabat kyun hai mujhe
Jo mila usi mein apni, guzar basar bhi to hui hai

Aabadi e mulk mein, huzoor ne meri gintee kar li
Abhi jee raha hun, ye mujhe khabar bhi to hui hai

Abhi mat roiye janaab, marhoom ke liye, theheriye
Ek taarikh nauhaagari ki, muqarrar bhi to hui hai

Kisi bezar ko chand muharen, mayassar bhi to hui hai
Usi ke gurde se Raees ki, lambi umar bhi to hui hai

Kaat li gayi hai jeb aapki 'Jagan', jaane bhi dijiye
Koi len den hi puraani, aaj baraabar bhi to hui hai

Vasl= milan, Hijar= viyog, pur asar= asar kaarak, khalish= peeda, Nauhaagari= mare hue insaan ke peechhe vilaap karna , marhoom= dead person , munaasabat= sambandh,nisbat , shab= raat , sahar= subah, muqarrar=tay , bezar=gareeb, gurda=kidney , mayassar=available , muhar=coin

bahut khoobsurat ghazal jagan sahab. yaqeen maane mujhe ek ek sher pe comments karne ka dil kar rahaa hai per chunki main aap se waakif nahin hoon isliye ye jurrat nahin kar rahi hoon.
....!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
injured.warrior
Guest
«Reply #12 on: April 16, 2012, 06:29:36 PM »
Reply with quote
bahut khhob zanab   hazaran daad hazir kabool kare.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 khush rahe salaamat rahe..likhte rahe..
Logged
Jagan Kishan
Guest
«Reply #13 on: April 17, 2012, 01:27:36 PM »
Reply with quote
Shukriya anahitaji , sainiji , parwaazji , shebaji and warrior sahab
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 11:29:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer