nikal rahi hy rooh takleef tao hogi
cheekhna kesa chillaana kesa
saj le saja le
zara muskura le
adab rakhna hy
jaan ke nikalny main
jitni mushkil hy aaj seh le
iss tarapny main kaheen
chehraa na bigar jaay
aazaa na bikhar jaaen
sanmbhal ye jasad e khaki
abhi tao waqt hy chehra dkhaany ka
maasoom rakhna chehry ko apny
bas main rakhna aazaa ko apny
bary adab se muskuraa ker
amaanat rab ki lotaani hy
ye zindigi tao faani hy
qazaa berhaque hy aani hy
shyed ke reham aa jaay
teri maot pe rab ko
keh dy dekh ker khuda
dekho para hy kesy banda mera
merny main isske aajzee hy
kitni mushkil maot ki gharee hy
kesy khud ko sanmbhalaa hy iss ny
kesy sajj ke sanwar ke aaya hy ye
kesy karb main bhi muskuraaya hy ye
ab na sawaal hoga iss sy koi
bakhshy ga khudaa achy amal per
guzry zindigi sada achy amal per
ger rab ki nazar chahiyee
piyara amal ay bashar chahiyee
Subhan Allaah...Bada Hi PoorKaif...Khoob Imaani Lafzo se Labr'ez
Gulzaar Saahab,,har ek lafz pe subhan allaah..
aapki Ye Nazam..100% Masnavi-e-Manvi-e-Maulan Room Ki Yaad Dila Dete Hai Muje...
Ye Jo Rooh Hai,,Ye Watan-e-Asali Se TooT Gayi Hai Aur Is Duniya Me aa Gayi Hai.....Ye Jo Rishta Hai Rooh Aur Rabb Ke Bich Me,,
Wo Hazrat-e-aadam Ki Takhqik Se Pahele..Ki Jub Khuda Ne Saari Qayaamat Taq Hone Waali Rooho'n Ko Banayaa...Rab Ne Puchha Main Kuan Hun...Roohe'n Boli : Tu Hamara Rab Hai,,Rab Ka Irshaad Hua Main Rabb Hun Tumhara Roohe'n Boli : Balaa Yaane "Haa" Or Yes..
Is Duniya Me aane k baad...Muddato'n Rehne K baad Jub Maut aati Hai,,To Rooh Tadpati Hai Uski Ko Milne Me Itni der Kyon Karte Ho..Maut Se Kehti Hai..Jald Hi Karo " Muje Mera rab Bula raha hai
Barso Baad Jaise " Janam Ke Bichhde Gale'y Milte Hai " Ye Badi Mubaarq Ghadi hai....
Ye Sub Masnavi Shareef se Ma'kha'z Kiya Hai..Va-allahu a'alam..( aa'maal Bhi Dekhna Hai : Shafa'aat Me) Gulazaar Bhai..Socho..aub Rab Kaise Ise Na Bakhshe gaa..a re Rab Bina Hisaab Kitaab Bahisht Me Maqaam dega..aamin