Ajeeb sa khayal - Shikha

by Shikha sanghvi on March 31, 2016, 12:42:48 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 792 times)
Shikha sanghvi
Yoindian Shayar
******

Rau: 25
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
7 days, 14 hours and 15 minutes.

Shayari likhna or padhna humari hobby hai

Posts: 2266
Member Since: Jan 2015


View Profile WWW
Reply with quote
Aaj dil ne socha ki kuch alag sa likha jaaye..but I am sure ki aap sabko ye pasand aayegi.

 

Dil mai aaj ajeeb sa khayal hai aaya,

Zindagi ko jaise najdik se hai jaana.

 

Zindagi mai kya khoya or kya paya,

sab kuch jaise chhut sa gaya.

 

Ek pal mai hai milna or bichhad jaana,

Unki yaado se dil ko bahelana.

 

Dil ne chaha kuch aisa kar jaana,

Ki  duniya se jaane ke baad bhi logo ki yaado mai rahena.

 

bahot socha samja par or kuch na dikhai diya,

Tab jaakar humne alfazo se apne pyar ko sajaya.

 

Zindagi ki bhid bhari duniya mai

Apne likhe huye alfazo ko hai jinda rakhna.

 

Shikha
Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013


View Profile
«Reply #1 on: March 31, 2016, 01:58:09 PM »
Reply with quote
Shikha jee yon to main shayar nahin hoon par thodi bahot dilchaspi shayari se rakhta hoon
Aap se request hai ke kuch radeef khafie ka lehaaz rakhye

Aap hi ke ashaar ko betarteeb kia hai main ne, par ye bhi durust nahi hain

Dil mai aaj ajeeb sa khayal hai aaya
Jaesa ke hamne zindagi nazdik se paya

Sab chhut sa gaya ho jaese duniya mai
Hamne ye zindagi se nahi kuch paya

X--------X

Ek pal mai hai milna aur bichad jaana
Phir unki hi yaadon se dil hai bahelana

Duniya se jaane par bhi rahen har dil mai
Soncha hai ke kuch aesa kaam kar jaana

X--------X
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: March 31, 2016, 09:12:19 PM »
Reply with quote
Aaj dil ne socha ki kuch alag sa likha jaaye..but I am sure ki aap sabko ye pasand aayegi.
Aaj dil ne sochaa ke kuchh alag se likhaa jaaye, mujhe yakin hai aap sabko pasand aaye gaa.
aaj dil ne alag se likhney kee koshish kee hai, main jaantee hoon aapko pasand aayegi.

Aaapke khayaal aur koshish kee saraahnaa kartaa hoon, bas aap guide lines ko zaroor follow keejiye. Guide lines main aapko message section mein bhejh rahaa hoon.

 

Dil mai aaj ajeeb sa khayal hai aaya,                                       Dil mein aaj ajeeb saa khayaal hai aayaa

Zindagi ko jaise najdik se hai jaana.                                        Zindagi ko jaise nazdeek se hai paayaa

 

Zindagi mai kya khoya or kya paya,                                        Zindagi mein kyaa khoyaa aur kyaa hai paayaa

sab kuch jaise chhut sa gaya.                                                 Jaise kuchh hai chutaa aur kuchh hai ganwaayaa

 

Ek pal mai hai milna or bichhad jaana,                                   Ek pal mein hai milnaa aur bicharhnaa hai jaanaa

Unki yaado se dil ko bahelana.                                               Unh se bicharnaa aur phir yaadon hai behlaanaa

 

Dil ne chaha kuch aisa kar jaana,                                         Kuchh aise hee lafzoon ko milaane kee koshish keejiye.....               

Ki  duniya se jaane ke baad bhi logo ki yaado mai rahena.               

 

bahot socha samja par or kuch na dikhai diya,                     

Tab jaakar humne alfazo se apne pyar ko sajaya.               

 

Zindagi ki bhid bhari duniya mai

Apne likhe huye alfazo ko hai jinda rakhna.

 

Shikha
Logged
Shikha sanghvi
Yoindian Shayar
******

Rau: 25
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
7 days, 14 hours and 15 minutes.

Shayari likhna or padhna humari hobby hai

Posts: 2266
Member Since: Jan 2015


View Profile WWW
«Reply #3 on: April 01, 2016, 01:25:47 PM »
Reply with quote
Shikha jee yon to main shayar nahin hoon par thodi bahot dilchaspi shayari se rakhta hoon
Aap se request hai ke kuch radeef khafie ka lehaaz rakhye

Aap hi ke ashaar ko betarteeb kia hai main ne, par ye bhi durust nahi hain

Dil mai aaj ajeeb sa khayal hai aaya
Jaesa ke hamne zindagi nazdik se paya

Sab chhut sa gaya ho jaese duniya mai
Hamne ye zindagi se nahi kuch paya

X--------X

Ek pal mai hai milna aur bichad jaana
Phir unki hi yaadon se dil hai bahelana

Duniya se jaane par bhi rahen har dil mai
Soncha hai ke kuch aesa kaam kar jaana

X--------X


Thanks a lot mastji....mafi chahte hai hum
Actually kya hai na aise kuch alfaz aate hai zahen mai to use yaha pe sajake rakh dete hai..sochkar kabhi nahi likha. isiliye aapki narazgi bhi jayaz hai.mante hai hum ki bahot sari galtiya hoti hai humse...par khushi tab milti hai jab humari creation logo ke dil ko chhu jaaye ..kyoki jis feelings ke saath hum likhte hai vo sabke dilo tak pahunchana chahte hai or kuch bhi nahi...par aage se is baat ka khayal rakhenge...par aap bejijak humari galtiyo ko hume dikha sakte ho jinse humari likhat mai bahot furk aayega...

Thanks once again...
Logged
Shikha sanghvi
Yoindian Shayar
******

Rau: 25
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
7 days, 14 hours and 15 minutes.

Shayari likhna or padhna humari hobby hai

Posts: 2266
Member Since: Jan 2015


View Profile WWW
«Reply #4 on: April 01, 2016, 01:29:15 PM »
Reply with quote


Thanks a lot surindarji..

Sir , hume khushi hai ki aap humari galatiyo ko hume dikhate ho or saath mai sahi alfaz bhi sikhate ho....hum aage se is baat ka khayal rakhenge....
Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013


View Profile
«Reply #5 on: April 03, 2016, 06:08:18 AM »
Reply with quote
Thanks a lot mastji....mafi chahte hai hum
Actually kya hai na aise kuch alfaz aate hai zahen mai to use yaha pe sajake rakh dete hai..sochkar kabhi nahi likha. isiliye aapki narazgi bhi jayaz hai.mante hai hum ki bahot sari galtiya hoti hai humse...par khushi tab milti hai jab humari creation logo ke dil ko chhu jaaye ..kyoki jis feelings ke saath hum likhte hai vo sabke dilo tak pahunchana chahte hai or kuch bhi nahi...par aage se is baat ka khayal rakhenge...par aap bejijak humari galtiyo ko hume dikha sakte ho jinse humari likhat mai bahot furk aayega...

Thanks once again...

Shikha jee main kahan aap se naraz hoon, mujhe aap ki shayari achi lagti hai, bas aap apne zahen mein aae alfaaz ko thoda saja sanwra kar likhen to dil khush ho jaye
aur main cahta yehi hoon k aap ki shayari par masssst masssst massst hi likhon  blob5 hello2 blob5
Logged
Shikha sanghvi
Yoindian Shayar
******

Rau: 25
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
7 days, 14 hours and 15 minutes.

Shayari likhna or padhna humari hobby hai

Posts: 2266
Member Since: Jan 2015


View Profile WWW
«Reply #6 on: April 05, 2016, 10:20:05 AM »
Reply with quote
Thanks a lot mastji.....ye aapka badappan hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:45:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer