Alwida...... "Khwahish"

by khwaish on September 06, 2013, 11:14:42 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1881 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Zindagi MeN Sabse Mushkil Hota Hai kisi Ko Alwida Kehna
Adna Sa Yeh Lafz Par Iss Lafz Ke Peeche Naa Jaane Kitna Dard
Kitni YaadeN Juudi Hoti haiN, Rishta Chaahe Koi Bhi Ho,
Mohabbat Ka ,Dosti Ka ,Yaa Koi Bhi Duniavi Rishta..
Par Jab Kabhi Apno Se Bichadne Ke Liye Yeh Lafz Kahaa Jaata
Hai To yakeenan Aankhein Bhar Aati Hain..Kuch Jazbaat Iss Alwida
Lafz Ke Saath Juude Hue....



Udaasi, Shaam, Tanhaai, Kasak, YaadoN Ki Bechaini..!!!
Naa Jaane Kitne Ehsaas Juude HaiN Iss "Alwida" Ke Saath

            ~    ~~~Khwahish~~~~



Kuch AankheN Aisi Bhi HaiN,Jo Kabhi Roya Nahi Karti
Alwida Keh Dene WaloN Se Bhi Koi Shikwa Nahi Karti

Woh Baat Aur Hai Ke Juuda Hona Kabhi Asaan Nahi..!!
Kisi Ki YaadeN Guzarte Waqt Se Samjhauta Nahi Karti

Be-Sabab Aaa Jaati Hai Yaad Apno Ki Iss Dil MeN
YaadeN Hi HaiN Jo Insaan Se kabhi Khoya Nahi Karti

Mere Dariche Se Door,Dekhta Raha Main Do Alag Raah Ko
Saath To Chalti Hai Par Kabhi Ek Duje Se Mila Nahi Karti

Chand Haseen Lamho Ke Siiva Yahaan Haasil Kuch Bhi to Nahi
Par Jahaan Pyaar Ho Wahaan Zindagi kisi Se sauda nahi Karti

"Khwahish" Hum Musafir Hai Milna-Bichadna To Dastoor Hai
Bas Acchi YaadeN Hi HaiN Jo  Dil Ko kabhi Maila Nahi Karti



             ~~~~~Khwahish~~~~~
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #1 on: September 06, 2013, 11:16:29 PM »
Reply with quote
bahut ache khawahish ji
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: September 06, 2013, 11:29:58 PM »
Reply with quote
 क्या बात है जी.Bahut Khoob Khwahishji.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #3 on: September 06, 2013, 11:47:38 PM »
Reply with quote
Kuch AankheN Aisi Bhi HaiN,Jo Kabhi Roya Nahi Karti
Alwida Keh Dene WaloN Se Bhi Koi Shikwa Nahi Karti

Woh Baat Aur Hai Ke Juuda Hona Kabhi Asaan Nahi..!!
Kisi Ki YaadeN Guzarte Waqt Se Samjhauta Nahi Karti

dheron daad, waaaah hi waaah  Applause Clapping Smiley Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: September 07, 2013, 12:14:32 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
«Reply #5 on: September 07, 2013, 12:55:07 AM »
Reply with quote
har ahsaar jaise dil pe lag rahe ho...bahut bahut khoob....bahut gahrai hai aapki is Ghazal me...bahut bahut khoob.. Applause Applause Applause
Logged
nishi gahlaut
Guest
«Reply #6 on: September 07, 2013, 12:59:01 AM »
Reply with quote
bahut khoob khwahish ji... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: September 07, 2013, 01:27:57 AM »
Reply with quote
khwaish ji......... kabhi alvidaa na kehna .... bas yahi kahenge ise padhne ke baad........
Logged
nashwani
Guest
«Reply #8 on: September 07, 2013, 02:27:04 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah waah bahut bahut khoob khwahish jee..happy9
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #9 on: September 07, 2013, 10:25:51 AM »
Reply with quote
MAASHAALAH MAASHAALAH
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #10 on: September 07, 2013, 10:48:53 AM »
Reply with quote
wah wah Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: September 07, 2013, 03:06:35 PM »
Reply with quote
bahut ache khawahish ji

Bahut Bahut Shukriya icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #12 on: September 07, 2013, 05:09:29 PM »
Reply with quote
bahut khooob khwahish ji..
behad khoobsurat.. Usual Smile

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aqsh
Guest
«Reply #13 on: September 07, 2013, 06:49:31 PM »
Reply with quote
Ufffffffff khwaish ji, mujhe na alvida yeh lafz se hi bahut darr lagta hai..Aapka intro padhkar sochi ke aage kalaam na padhoon.. par phir bhi himmat karke padh hi lee...Aap mulaqat par hi kuch likhe dete to sach mein maza aata.. chaliye ab is kalaam par aaon toh hamesha ki tarah bahut gehre khayal aur bahut achchi kalaam rahi.. hazaron hazaron dili daaaaaad.. khaas do sher bahut achche hai

Be-Sabab Aaa Jaati Hai Yaad Apno Ki Iss Dil MeN
YaadeN Hi HaiN Jo Insaan Se kabhi Khoya Nahi Karti

Chand Haseen Lamho Ke Siiva Yahaan Haasil Kuch Bhi to Nahi
Par Jahaan Pyaar Ho Wahaan Zindagi kisi Se sauda nahi Karti


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
laaiba
Guest
«Reply #14 on: September 08, 2013, 10:22:21 PM »
Reply with quote
Zindagi MeN Sabse Mushkil Hota Hai kisi Ko Alwida Kehna
Adna Sa Yeh Lafz Par Iss Lafz Ke Peeche Naa Jaane Kitna Dard
Kitni YaadeN Juudi Hoti haiN, Rishta Chaahe Koi Bhi Ho,
Mohabbat Ka ,Dosti Ka ,Yaa Koi Bhi Duniavi Rishta..
Par Jab Kabhi Apno Se Bichadne Ke Liye Yeh Lafz Kahaa Jaata
Hai To yakeenan Aankhein Bhar Aati Hain..Kuch Jazbaat Iss Alwida
Lafz Ke Saath Juude Hue....



Udaasi, Shaam, Tanhaai, Kasak, YaadoN Ki Bechaini..!!!
Naa Jaane Kitne Ehsaas Juude HaiN Iss "Alwida" Ke Saath

            ~    ~~~Khwahish~~~~



Kuch AankheN Aisi Bhi HaiN,Jo Kabhi Roya Nahi Karti
Alwida Keh Dene WaloN Se Bhi Koi Shikwa Nahi Karti

Woh Baat Aur Hai Ke Juuda Hona Kabhi Asaan Nahi..!!
Kisi Ki YaadeN Guzarte Waqt Se Samjhauta Nahi Karti

Be-Sabab Aaa Jaati Hai Yaad Apno Ki Iss Dil MeN
YaadeN Hi HaiN Jo Insaan Se kabhi Khoya Nahi Karti

Mere Dariche Se Door,Dekhta Raha Main Do Alag Raah Ko
Saath To Chalti Hai Par Kabhi Ek Duje Se Mila Nahi Karti

Chand Haseen Lamho Ke Siiva Yahaan Haasil Kuch Bhi to Nahi
Par Jahaan Pyaar Ho Wahaan Zindagi kisi Se sauda nahi Karti

"Khwahish" Hum Musafir Hai Milna-Bichadna To Dastoor Hai
Bas Acchi YaadeN Hi HaiN Jo  Dil Ko kabhi Maila Nahi Karti



             ~~~~~Khwahish~~~~~

kuch tehreeren aisee hoti hain khwahish ji jinka koi moul nahin hota so aapki yeh tehreer bhee bohat anmol lagee mujhe,
iss tereer ki tareef krna mere bas main nahin,....bohat gehre ihsaasat ko likhaa hai aap ne our iss tarah likhaa hai ke yeh alfaaz sabke dil ki aawaz lagte hain ,...our issi liye har sher dil ko choota chala gaya,.........
bohat bohat c daad aik rau ke sath aapkee nazar,........
khush rahen ....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:05:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer