Andar koi Rota hai, Bahar koi Hasta hai.........Zindagi mein............

by muskan_bye on December 23, 2007, 05:30:39 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 7074 times)
muskan_bye
Guest
Reply with quote
HELLO EVERY 1
 YEH MAIN PAHLI BAAR KOI TOPIC KAR RAHI HOON I HOPE SAB KO YE PASSAND AAYE.........

Jab zindagi mein kabhi khushi kabhi ghum hote hai
toh zindagi mein koi andar rota hai or koi bahar hasta hai.....

Log toh bas ek khushi ka bahaana banate hai
magar asal mein ye log toh rote hai
kyoki khuda ne jo kuch diya zindagi ne chin liya...

kya jane ye zindagi kya hoti hai
jisme logo ko kaise kaise imtehaano se guzarna hota hai
kya jane ye berukhi kya hoti hai
jisme logo ko tadap tadap ke apni zindagi ko guzarna hota hai...

Un logo se koi kyu nahi puchte jo dil ki ko zahir nahi karte
ye log un ke derd ko kyu nahi samjhte jo apne andar dabaye rakhe hai
chupaye rakhe or kasaaye baithe . ye kya jane jab koi andar rota hai
toh kaisa lagta hai ........ye kya samjhe jo koi bahar hasta woh ....
Andar hi andar ghutta hai.......

Log phool ko apni zindagi samjh baithte hai
usay pyaar ka sagar samjh baithte hai
usay mohabbat ka izhaar samajh baithte hai
magar woh kya jane ye toh sirf bahaar se hasta hai
magar andar hi andar rota hai...............

Khushiyon ne hume nayi zindagi dena chaha
magar ansoonyon ne hume dekhne nahi diya
ek hasi ne hume sab kuch bhulwana chaha
magar ansoon ke ashq ne bhulne na diya.........

Kaliyon ke samundar mein kai log doob gaye
magar aakash ke sumndar mein kon doobega
kyoki usme toh bas aanayoon ki barish kyoki
usme dukho ka bharmaar hai..........

Log na jane jo likhtein usi ka dard kyu samjh baithte hai
log ye kyu nahi samjhte jo log likhte hai usme or logo ke dukh bhi
shamil hote hai
usme un sab ke dukh ko sametkar likhte hai
usme apno ko apna or ghero ko bhi apna bana lete hai
saari baatein apni zubaan se kahe dete hai.......

Kash aisa na hota ki koi apna dukh dil mein na rakhta
kash aisa na hota koi bahar bahar hasta na hota
kash aisa na hota zindagi mein har koi andar rota na hota or bahar dikhata na hota.........................

thanks all
        i am (Khushboo)
i hope aapko passand  aayi hogi toh aap iska jawab zaroor dein thank you so..please welcome my new topic entry...............


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mai apne andar rehta hun by innocent.devil20 in Shayri-E-Dard
Aapka Ye Hasta Chehra by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kabhi Andar , Kabhi Bahar ...................( Qais ) by Qais in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
hasta hun gham mein by saahill in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ASHIYAAN KO AAG LAGA DI BAHAR MEIN .................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
muskan_bye
Guest
«Reply #1 on: December 23, 2007, 05:37:11 PM »
Reply with quote
zindagi ko aap ek bojh na samjhna
ye zindagi ek paheli hai ek imtehaan hai
isay aap ek waqt samjhna jo guzar gaya bhool jayo
or jo aa raha hai usay apnao

jo log dukhi hai isme dikh jayenge
jiske dil mein derd hai woh kahe jayenge
jiski hasi mein bhi kuch baat hai woh suna jayenge ........
Logged
kudrat
Guest
«Reply #2 on: December 23, 2007, 06:02:32 PM »
Reply with quote
very nice great work
Logged
~princess~
Guest
«Reply #3 on: December 23, 2007, 09:10:40 PM »
Reply with quote
Bohot khoob khushbu........keep it up
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #4 on: December 25, 2007, 12:47:50 PM »
Reply with quote
thanks kudrat ji and princess ji and thank you so much agar aap log bhi kuch likhte toh hume khushi milti

aise na humari taafri kijiye
karni hai toh shayari likhiye
Logged
lovely_ash
Guest
«Reply #5 on: January 20, 2008, 04:53:57 PM »
Reply with quote
bhoot achche khushbo ji:D
Logged
shri
Guest
«Reply #6 on: January 22, 2008, 11:48:18 AM »
Reply with quote
sikke ke do pahlu hoti hai zindagi
khushi aur gam dono bhi shamil hai zindagi
zandagi ka yehi hai raaz
dhuk hi na mile tho kaise kare zindagi se pyaar
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #7 on: February 24, 2008, 04:43:44 PM »
Reply with quote
very nice shri ji thanks for shayari likhne ke liye

Zindagi ko humne humesha apna mana hai
phool ko humne humesha kilta paya hai
apno ko humesha se pyaar farmaya hai
logo ko humne humesha apni humdardi zahir kiya hai
dauaye humesha aap sab ke liye uppar wale guzarish kiya hai..
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #8 on: February 24, 2008, 04:47:18 PM »
Reply with quote
Zindagi mein main kabhi kisi ko dukhi nahi dekh sakti,
zindagi mein main kabhi aisa hote nahi dekh sakti ,
magar kyu aisa ho jata hai
ki meri kai friends apni baat zahir nahi kar pate hai,
or apne hi andar dabakar kar rote rahete hai or
mujhe khushi dikhakar hasne lagte hai ........zindagi mein......

*******************************Muskan***************************
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: February 24, 2008, 04:54:45 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Muskan
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #10 on: February 24, 2008, 05:38:32 PM »
Reply with quote
thanks Talat friend agar aap bhi toh acha lagta

agar tarif hi karni hai toh shayari se kariye
or kuch apni taraf se shayari likhiye....

*****************************Muskan****************************
Logged
shri
Guest
«Reply #11 on: February 25, 2008, 10:30:55 AM »
Reply with quote
her andaaz main jite hain log zindagi....
koi hansaker koi roker jite hain zingagi....
per hota wohi hai jo sab jaante hain....
aakhiri waqt main yehi bewafa ban jaati hai zindagi.....
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #12 on: May 18, 2008, 08:56:53 AM »
Reply with quote
hello shri
shayad aap sahi kahete hai
zindagi mein toh ye pal toh hote rahete
iska dukh karke kyu iska ehsaas kare
jaise hona hai waisa hoke rahega........
************************************Muskan***********************
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: May 18, 2008, 09:10:38 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Muskan.. Applause
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #14 on: May 18, 2008, 09:30:56 AM »
Reply with quote
thanks roja ji

magar main sab se ek baat zaroor kahoongi zindagi ke baare mein ................................

Zindagi ek fasana hai
isme haar jeet ka ana jana hai,
zindagi mein haste haste jana hai
har ghum ko sahte jana hai,
mushkilo ka samna karna hai
zindagi ek fasana hai ise
bas jeete jana hai...........
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:47:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer