@...Bas ek ehsaas tere sath hone ka...@

by aahnaa on January 08, 2013, 11:42:59 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2270 times)
aahnaa
Guest
Reply with quote
@...Bas ek ehsaas tere paas hone ka...@

Dar lag raha hai
Har nazar se
Har ek saaye se
Jo kareeb se
Guzarta  raha hai mere
Chali jaa rahi hun main
Inn andheron me
Sunsaan raaston par
Koi jahan dur dur tak
Nahin dikhai deta
Koi nahin jo aa raha ho
Koi nahin jisne 
Pai  ho apni manzil
Bas khali raasta hai
Jise khud nahin pata
Wo jaana kahan chahata hai
Bas chale jaa raha hai
Bahot durr se
Bahot duurrr tak
Bahot derrr se
Yunhi andhere ujaalon me gumm
Bas chale jaa raha hai
Aur usi raaste pe main bhi
Bas chali jaa rahi hun
Nahin jaanti kahan
Kyun jaa rahi hun
Par bas chali jaa  rahi hun
Koi nahin paas mere
Koi nahin hai sath
Sirf ek ehsaas hai
Tere sath hone ka
Tere mere paas hone ka
Aur ye ehsaas hi mujhe
Liye jaa raha hai
Meri himmat ban 
Mera  saathi ban
Mujhe iss andhere me
Raasta  dikhata
Liye jaa raha hai

Bas ek ehsaas tere sath hone ka
Bas ek ehsaas tere paas hone ka….

 wave wave wave wave wave
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: January 08, 2013, 12:17:52 PM »
Reply with quote


Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause  bahut sundar Aahnaa ji.... bahut bahut khoob likha hai aapne.. ek dum masssttt ... !!!


unhi raasto me shayaad kahin
main bhi hoon shaayad
tumhe dhundtaa huwaa
tumhe mehsoos kartaa huwaa
badh rahaa hoon
hawaa ke saath saath
ghataa ke saath saath
chal rahaa hoon
main bhi chal rahaa hoon

dekhnaa kahin kisi mod pe
main mil jaaungaa tumhe
thaam lenaa meraa haath
aur ho jaanaa mere tum
sadaa ke liye, ho jaanaa mere
fir bas hum honge
aur bas hamaaraa saath hogaa

naa kahin samaaj kaa bandhan hogaa
naa kisi rishte kaa bandhan hoga
honge bas hum, aur hoge tum
aur hamaaraa apnaapan hogaa
duur, bahut duur is duniyaa se
hum dono kahin chhip jaayenge
hogaa khwaabon kaa mahal apnaa
chaahaton kaa aashiyaanaa banaayenge

chalte raho, tum chalte raho
naa socho kuch bhi tum ab
bas apne kadam ko badhne do
usi raah pe, jaahaan main hoon
haan kuch hi palon ke faalse me
main hoon...
tumhaaraa intezaar karte huye
baahen failaaye, main khadaa hoon
badhte raho, tum chalte raho....
main bhi chal rahaa hoon....


*****HRIDAY*****
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2013, 12:33:26 PM »
Reply with quote
Aahnaa Jee Aadaab!


WaaaH waaH waaH jee what a nice and touchy creation no words to pharase
not words to express for this nice creation... just mindblowing... Usual Smile


Behad khoob nazm kahi hai jee bahut umdaa.. ahsaas hai khayaal hai gehrai
hai ummid hai.... badi hi khoob rahi aapki yeH kalaam humari dheroN dili
daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile


Aise hi umdaa kalaam kahte rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2013, 12:35:36 PM »
Reply with quote
Kapil Jee kia baat hai janab... waaH jee waaH behad khoob
jawaab diyaa hai aapne... Usual Smile

Behad achchi kalaam ke saath aik umdaa jawaab .. is khoob kalaam par
humari dheroN daad O mubbarakbad kabul kijiye.. Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
aahnaa
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2013, 12:52:02 PM »
Reply with quote


Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause  bahut sundar Aahnaa ji.... bahut bahut khoob likha hai aapne.. ek dum masssttt ... !!!


unhi raasto me shayaad kahin
main bhi hoon shaayad
tumhe dhundtaa huwaa
tumhe mehsoos kartaa huwaa
badh rahaa hoon
hawaa ke saath saath
ghataa ke saath saath
chal rahaa hoon
main bhi chal rahaa hoon

dekhnaa kahin kisi mod pe
main mil jaaungaa tumhe
thaam lenaa meraa haath
aur ho jaanaa mere tum
sadaa ke liye, ho jaanaa mere
fir bas hum honge
aur bas hamaaraa saath hogaa

naa kahin samaaj kaa bandhan hogaa
naa kisi rishte kaa bandhan hoga
honge bas hum, aur hoge tum
aur hamaaraa apnaapan hogaa
duur, bahut duur is duniyaa se
hum dono kahin chhip jaayenge
hogaa khwaabon kaa mahal apnaa
chaahaton kaa aashiyaanaa banaayenge

chalte raho, tum chalte raho
naa socho kuch bhi tum ab
bas apne kadam ko badhne do
usi raah pe, jaahaan main hoon
haan kuch hi palon ke faalse me
main hoon...
tumhaaraa intezaar karte huye
baahen failaaye, main khadaa hoon
badhte raho, tum chalte raho....
main bhi chal rahaa hoon....


*****HRIDAY*****

mashaalllahhhhhhh kya khuub jawabi humla kiya hai janaab aapne.. behad shukrana hriday saheb aapne jo ye khubsurat ehsaason bhara jawab diya hai hume ...  maan gaye aapki kalam ko waahhh kya hi khubsurat ehsaass... tahe dil se shukriya  janaab notworthy notworthy notworthy
Logged
suman59
Guest
«Reply #5 on: January 08, 2013, 12:53:13 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah bahut khoob
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: January 08, 2013, 01:19:07 PM »
Reply with quote
waah waah waah aahnaa jee kya baat hai bahut khoob likha hai aapne dheron daad
Logged
aqsh
Guest
«Reply #7 on: January 08, 2013, 01:20:25 PM »
Reply with quote


Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause  bahut sundar Aahnaa ji.... bahut bahut khoob likha hai aapne.. ek dum masssttt ... !!!


unhi raasto me shayaad kahin
main bhi hoon shaayad
tumhe dhundtaa huwaa
tumhe mehsoos kartaa huwaa
badh rahaa hoon
hawaa ke saath saath
ghataa ke saath saath
chal rahaa hoon
main bhi chal rahaa hoon

dekhnaa kahin kisi mod pe
main mil jaaungaa tumhe
thaam lenaa meraa haath
aur ho jaanaa mere tum
sadaa ke liye, ho jaanaa mere
fir bas hum honge
aur bas hamaaraa saath hogaa

naa kahin samaaj kaa bandhan hogaa
naa kisi rishte kaa bandhan hoga
honge bas hum, aur hoge tum
aur hamaaraa apnaapan hogaa
duur, bahut duur is duniyaa se
hum dono kahin chhip jaayenge
hogaa khwaabon kaa mahal apnaa
chaahaton kaa aashiyaanaa banaayenge

chalte raho, tum chalte raho
naa socho kuch bhi tum ab
bas apne kadam ko badhne do
usi raah pe, jaahaan main hoon
haan kuch hi palon ke faalse me
main hoon...
tumhaaraa intezaar karte huye
baahen failaaye, main khadaa hoon
badhte raho, tum chalte raho....
main bhi chal rahaa hoon....


*****HRIDAY*****
waaaaaaaaaah! hriday jee aapki hazir jawabi ka kya kehne .itna pyaara likha hai aapne ki baar baar padhne ko dil karta hai.hamari dili mubarakbad qubool kare
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: January 08, 2013, 02:33:52 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Parwaaz ji...!!!

Kapil Jee kia baat hai janab... waaH jee waaH behad khoob
jawaab diyaa hai aapne... Usual Smile

Behad achchi kalaam ke saath aik umdaa jawaab .. is khoob kalaam par
humari dheroN daad O mubbarakbad kabul kijiye.. Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: January 08, 2013, 02:34:46 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Aahnaa ji meri is koshish ko pasand karne ke liye.....!!!

mashaalllahhhhhhh kya khuub jawabi humla kiya hai janaab aapne.. behad shukrana hriday saheb aapne jo ye khubsurat ehsaason bhara jawab diya hai hume ...  maan gaye aapki kalam ko waahhh kya hi khubsurat ehsaass... tahe dil se shukriya  janaab notworthy notworthy notworthy
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: January 08, 2013, 02:35:28 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Aqsh ji....!!!

waaaaaaaaaah! hriday jee aapki hazir jawabi ka kya kehne .itna pyaara likha hai aapne ki baar baar padhne ko dil karta hai.hamari dili mubarakbad qubool kare
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: January 08, 2013, 03:14:18 PM »
Reply with quote
just excellent
Logged
kavyanjali
Guest
«Reply #12 on: January 08, 2013, 04:09:13 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bhut khoob
Logged
@Heer@
Guest
«Reply #13 on: January 09, 2013, 05:05:13 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
aahnaa
Guest
«Reply #14 on: January 11, 2013, 06:04:28 AM »
Reply with quote
Aahnaa Jee Aadaab!


WaaaH waaH waaH jee what a nice and touchy creation no words to pharase
not words to express for this nice creation... just mindblowing... Usual Smile


Behad khoob nazm kahi hai jee bahut umdaa.. ahsaas hai khayaal hai gehrai
hai ummid hai.... badi hi khoob rahi aapki yeH kalaam humari dheroN dili
daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile


Aise hi umdaa kalaam kahte rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

pasandgi aur tareef ka bahot bahot shukriya janaab parwaaz saheb... yunhi hausla afzaai karte rahiye.... khush rahiye.

Allah hafiz
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:33:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer