~~~...Berang Zindgi...~~~

by Tosha on April 08, 2006, 06:51:03 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4245 times)
Tosha
Guest
Reply with quote
zindgi hai ek ajab paheli
kabhi narangi to kabhi rangeeli
dilkash nazaro wali to kabhi andheri

raate tare gin gin guzari
suraj ki kirne hai dil ko jalati
kuch berand hui  hai zindgi
filhal bedhang hui hai zindgi

sochte hai na yaad kare baaten purani
par wo pal pal sine main hai dukhti
zindgi aab hui hai neeli
zindgi lagti hai seeli seeli

nahi duph hai sirf chav thandi
kasti aur kosti hai yeh zindgi
ghuta hai dum aane do tazgi
badlegi rang aab kab yeh zindgi

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
BeRang Chitti..... by Naya_Daur in Shayri-E-Dard
Berang jindagi by sanchit in Shayri for Dard -e- Judai
berang jindagi by saahill in Shayri-E-Dard
Berang Si Hai Zindagi by nishi gahlaut in Shayri-E-Dard
bina rangoke jivan berang he, by jyuthika in Share Poetry You Like
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: April 09, 2006, 07:03:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "Tosha"
zindgi hai ek ajab paheli
kabhi narangi to kabhi rangeeli
dilkash nazaro wali to kabhi andheri

raate tare gin gin guzari
suraj ki kirne hai dil ko jalati
kuch berand hui  hai zindgi
filhal bedhang hui hai zindgi

sochte hai na yaad kare baaten purani
par wo pal pal sine main hai dukhti
zindgi aab hui hai neeli
zindgi lagti hai seeli seeli

nahi duph hai sirf chav thandi
kasti aur kosti hai yeh zindgi
ghuta hai dum aane do tazgi
badlegi rang aab kab yeh zindgi



Fantastic Tosha ji

Yeh Zindagi ki pahelian yoon hee khel dikhati rahegi....
Kabhi Zindagi toh kabhi Maut se aise hee ladati rahegi.....!!!!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #2 on: April 10, 2006, 07:15:16 PM »
Reply with quote
oh .. !!

Thanx Shayar !!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #3 on: April 10, 2006, 07:32:47 PM »
Reply with quote
kya yeh zindgi sirf ek paheli hai
rangeen ya berang zindgi kya hai
khelti hai, ya khilwati hai ya ek khilwar hai
yeh zindgi ek rahesmay se koi ghatna hai

sawal hazar umadte hai zahen main
nahi in sawalo ka kahi bhi jawab hai
insaan hairan hai pareshan hai
duniya main nahi kise ko sukoon hai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: April 12, 2006, 01:33:32 AM »
Reply with quote
Nice work Tosha and BS.

Suljhana aasan nahin hai jisko, ajab yeh paheli hai,
dushman lagti hai hume kabhi, to kabhi lage saheli hai..
hasati hai, rulati hai, yeh zindagi sau rang dikhlati hai,
kabhi samjhati hai hume bujargon ki tarah,
kabhi bachon ki tarah karti athkheli hai....
Logged
jatin1101
Guest
«Reply #5 on: April 12, 2006, 11:27:59 AM »
Reply with quote
sub ek sey badhkar ek..... but phir bhi main kahoonga.. zindagi zindadili ka naam hai.. murdadil kya khaakh jiya kartey hai... isliye doston... be happy and cheer up
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #6 on: April 13, 2006, 05:17:26 PM »
Reply with quote
very nice everyone!!!  :D  zindagi hai hi ek paheli  :D
Logged
Tosha
Guest
«Reply #7 on: April 18, 2006, 05:50:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "jatin1101"
sub ek sey badhkar ek..... but phir bhi main kahoonga.. zindagi zindadili ka naam hai.. murdadil kya khaakh jiya kartey hai... isliye doston... be happy and cheer up


Thanx a lot ... JI!! Puzzled !
Logged
Tosha
Guest
«Reply #8 on: April 18, 2006, 05:56:49 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena is back"
very nice everyone!!!  :D  zindagi hai hi ek paheli  :D


KAISE suljhayen yeh paheli Huh? Puzzled !
Logged
Tosha
Guest
«Reply #9 on: April 18, 2006, 06:03:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Nice work Tosha and BS.

Suljhana aasan nahin hai jisko, ajab yeh paheli hai,
dushman lagti hai hume kabhi, to kabhi lage saheli hai..
hasati hai, rulati hai, yeh zindagi sau rang dikhlati hai,
kabhi samjhati hai hume bujargon ki tarah,
kabhi bachon ki tarah karti athkheli hai....


 :twisted:

 Puzzled !

 :idea:

 :?:

ek aasan se zindgi jeeni hai
zindgi ek paheli kyo hai
ek chota sa aasiya na chaha hai
zindgi kabhi rangeeli kabhi berang kyo hai
Logged
roshni246
Guest
«Reply #10 on: April 20, 2006, 07:37:01 PM »
Reply with quote
justttt awesomeeeeeeeeeeeeee!!! Puzzled !

zindagi tera saath nibhana mushkil ho gaya
chalte chalte kuch gum sa hogaya
piche mur kar dekha to hoosle hi toot gaye
aage baraye kadam to rastein hi choot gaye
beech rastein mein hi sham ho gayi
meri manzil bhi gumnaam ho gayi

meri wafa ne mujhe toda
zindagi ne rishta bewafai se joda
waqt ke bavar mein khokar
aakon ko aasoo se bhigokar
chalne lagi laga kar phir sine se yeh sitam

phir ek aaise toofan aaye
mera sapno ko baha le gaya
mein ur rahi thi
ki hawa ne bhi thum kar mujhe giraya
meri takdeer ne mujhe aaise sulaya
ki jab uthi to apne aap ko ghavon se latpat paya

zindagi tune aaise majak uraya
waqt se bhi thokron ka tofa paya
khule hue the sare zhakam
kaap gaya tha anthermun
k har darwzon ko humne band hi paya!!!


~roshni~
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: April 20, 2006, 07:43:52 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
justttt awesomeeeeeeeeeeeeee!!! Puzzled !

zindagi tera saath nibhana mushkil ho gaya
chalte chalte kuch gum sa hogaya
piche mur kar dekha to hoosle hi toot gaye
aage baraye kadam to rastein hi choot gaye
beech rastein mein hi sham ho gayi
meri manzil bhi gumnaam ho gayi

meri wafa ne mujhe toda
zindagi ne rishta bewafai se joda
waqt ke bavar mein khokar
aakon ko aasoo se bhigokar
chalne lagi laga kar phir sine se yeh sitam

phir ek aaise toofan aaye
mera sapno ko baha le gaya
mein ur rahi thi
ki hawa ne bhi thum kar mujhe giraya
meri takdeer ne mujhe aaise sulaya
ki jab uthi to apne aap ko ghavon se latpat paya

zindagi tune aaise majak uraya
waqt se bhi thokron ka tofa paya
khule hue the sare zhakam
kaap gaya tha anthermun
k har darwzon ko humne band hi paya!!!


~roshni~


Brilliant Roshni......grrrrrr8888888888
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #12 on: April 20, 2006, 07:47:38 PM »
Reply with quote
Yeh Zindagi bhi ajeeb khel dikhlati hai.....
Kisi ki taqdeer dukh se toh kisi ki Mahobbat se sajati hai....

Kyun yahan harr Shaks Gum me dooba hai.....
Kyu kisi ko manchahi khushi nahi mill paati hai.....

Kyun yeh Dard-O-Gum ki Maya hai....
Kyu kahin Dhoop toh kahin Chaya hai......!!!!!!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #13 on: April 21, 2006, 07:31:35 AM »
Reply with quote
bro aapne jo likha hai great hai hume mat bolo !!!

awesomeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee eeeeeeeeeeeeee!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #14 on: April 21, 2006, 09:24:17 PM »
Reply with quote
[dil se likhi hui shayari !!!!!!!!!!!!]

koi mujh ko zara kuch pal zindagi se mila de
tadap raha hai dil uska chaira dikha de
dhonde se hi rah gai hum nisha zindagi ka
us se milne aaye hai use itna bata de

mujhko malloom hai na hai ye kahber
dhondho usko bhala ab main kidher
kitne anjaan raaste hame hai mile
mere dost mujhe tu zara uska pata de

ji rahi ho mager zindagi se nahi
mil rahi ho sab se per khushi se nahi
be basi ne mujhe aaj itna tod diya
ke maut ne bhi daman ab chord diya
us se pochta hai dil kis baat ki wo saza de

koi mujh ko zara kuch pal zindagi se mila de
tadap raha hai dil uska chaira dikha de

zindagi se alag hum kab tak jiye
laash banke bhi dafan hum na huye
maar ke apne hatho se zindagi maang rahe the
jisw bant di.....logo main wo khushi maang rahe the
hai dard bhut hume koi humko dawa de
koi mujh ko zara kuch pal zindagi se mila de
tadap raha hai dil uska cehra dikha de

mere aarma mujh se mera haq maangte hai
es bimaar dil ki dawa maangte hai
de diya hum ne apna sab kuch khud ko bhola ke
jaise jita hai koi khud ko mita ke
hai kahta ye meri kya mujhe tu bata de
mere dost mujhe tu zara uska pata de
koi mujh ko zara kuch pal zindagi se mila de
tadap raha hai dil uska cehra dikha de


~roshni~
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:04:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer