Betiyaan Gareeb Ki........(Ghayel)

by sajid_ghayel on February 24, 2009, 01:24:12 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 10185 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Muje aaj bhi yaad hain mere bach_pan me ek news dekhi thi, ek hi ghar ki teen betiyo ne ek hi Fan se fasi lagakar jaan de di thi. Unki gareebi ne unhe yeh kadam uthane pe majboor kar diya tha, Maa Baap ki aakho me udasi nahi dekhi gayee unse. Jis gareeb baap ke liye do waqt ki roti jutana mushkil ho, woh 3 betiyo  ka dahej kaha se juta payega. Bas usi waqye ko yaad karke kuch likha hain.

Muje aap dad na de to bhi muje koi shikwa nahi lekin ise padhkar aapko yeh lage ke samaj me aise kaiee gareeb baap aaj bhi hain jo humse kehte nahi par hamari thodi si madad unke liye sahara ban sakti hain aur agar aapke man me aise kisi ghar ka sahara banne ka ehsas bhi man me aa jaye to main samjhuga ke meri mehnat kamyaab hui.......


Muf_lisi uski kadar_daan ho gayee
Faka_kashi uspe mehar_baan ho gayee
Sitam us par kudrat ne yeh dha diya
Betiyaan gareeb ki jawaan ho gayee

Armaa.n pile kare hath beti ke woh
Kaise farz apna yeh pura kare woh
Pai_bandh chunri me hain jinki beshumaar
Un betiyo ki shadi kaise rachaye woh

Tane dete hain sab koi samajhta nahi
Dard gareeb baap ka kisi ko dikhta nahi
Andar hi andar rota hain bilakta hain woh
Peeda man ki apne, apno se kehta nahi

Nahi koi aib un bachcho me magar
Mangte hain dahej sab muh khol kar

Sirat aur surat me woh sab ek noor hain
Sharafat us ghar ki mash_hoor hain
Ab sochta hain woh baap sharafat se milata hain kya
Q betiyaan aaj uski khushiyo se door hain

Kabhi mangi nahi bheekh woh khuddar tha
Daulat se ziyada jise izzat se pyaar tha
Aaj poochta hain woh baap, ek sawaal is SAMAJ se
Kya gareeb ke ghar janam lena uski betiyo ka paap tha

Baap ki yeh halet kab tak dekhti betiyaan
Woh bhi khuddar baap ki thi betiyaan
Jab sabr ka pyaala unke bhar gaya
Aasoo baap ki aakho me na dekha gaya
Ek sath chad gayee fasi betiyaan

Kisne mara unhe kaun zimmedar hain
Q gareeb ki betiyo se tumhe nahi pyaar hain
Seene se lagakar pali thi, uske aangan ki kaliyaan thi who
Mar gayee aaj teeno kudrat bhi humpe sharmsaar hain

Ho sake to kisi gareeb baap ka sahara banna
Muflisi ke toofan me ghire kisi ghar ka kinara banna

-Sajid Ghayel-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
betiyaan by kaushikbhawna008 in Poetry of seperation in Punjabi
Gareeb Ki Daastaan by Azeem Azaad in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Gareeb se Gareeb tha.....( Ghayel ) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Betiyaan.....!!! by Talat in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Betiyaan by Ashu dadwal in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 24, 2009, 01:28:44 PM »
Reply with quote
Sachchai byaan ki hai aapne Sajid JI...Aaj bhi betiyan khudkashi karti hai...dahej ki aag chadhti hain.......!!

Agar har insaan jiske paas thodi si daulat hai, uska kuch hissa kisi ghareeb ki beti ke liye de, to shayad aaj ghareeb ki betiyaan bhi ji saken is duniya main.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 24, 2009, 01:37:00 PM »
Reply with quote
Mujhe To Rona Aa Raha Hai, Jab Maine Us Baap Ki Jagaah Khud Khadaa Karke Socha,.
Uski Beti Banke Socha, Kitna sitam Saha Hoga Unhone,. Bas Allh Un Lardkiyon Ki Maghfirat Kare,.
Aur Jaise Talat Sis ne Kaha, Sab Ko Neak kaamon Mein Aage Bardna Hai,.

Jab Allah paak Ne Hume Nawaaza hai, To Hume Gareebon Ka Khayaal Bhi Karna Hai,.

Brilliant Job By You Sajid Bhaiya
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: February 24, 2009, 02:01:19 PM »
Reply with quote
Kuch bheegi aankhon ke saath ye lines likh rahi hoon:



Kitni Pyaari Ye Hoti Hain Betiyaan,
Hain Ghareeb Ki Ya Ameer Ki Hain Betiyaan

Muskurahat Unki Roshni Phaila De,
Pariyon Si Maasoom Hoti Hain Betiyaan

Maa Baap Ke Dil Ka Tukda Wo Hoti Hain,
Bade Armaanon Se Pala Karti Hain Betiyaan

Ghareeb Baap Ki Pareshani Dekhti Hain
Kitni Laachaar Hoti Hain Betiyaan

Bebasi Maa Baap ki Dekhi Nahin Jaati
Chup Chup Ke Aksar Roti Hain Betiyaan

Kabhi Jhool Jaati Haain Faansi Laga Kar,
Dahej Ki Bhent Kabhi Chadhti Hain Betiyaan

Haqeeqat Hai Ye, Isko Kahani Na Samajhna,
Har Roz Jaane Kitni Marti Hain Betiyaan !!
Logged
lalit.sharma83
Guest
«Reply #4 on: February 24, 2009, 02:11:45 PM »
Reply with quote
Sajid bhaijaan,

Waqt badalte der nahi lagti, magar Insaan ko badalne me waqt zaroor lagta hai.
Great! Indeed great work!
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #5 on: February 24, 2009, 02:12:18 PM »
Reply with quote
hoti mehsoos kabi jo aziyat ghareeb ki
kiya kabi hum be khol kay muskurasaktay?
rakh kay khod ko onki baytion ki jaga
kiya kabi thora sokon pa saktay?
daikh lain bhook ki shidat say bilaktay bachay
kiya kabi hum be pait bher kay kha saktay?
shab ko onka drd say ghayel sa wajood
ah tasawer be karain kiya kabi hum so saktay?

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: February 25, 2009, 09:42:07 AM »
Reply with quote
Mujhe To Rona Aa Raha Hai, Jab Maine Us Baap Ki Jagaah Khud Khadaa Karke Socha,.
Uski Beti Banke Socha, Kitna sitam Saha Hoga Unhone,. Bas Allh Un Lardkiyon Ki Maghfirat Kare,.
Aur Jaise Talat Sis ne Kaha, Sab Ko Neak kaamon Mein Aage Bardna Hai,.

Jab Allah paak Ne Hume Nawaaza hai, To Hume Gareebon Ka Khayaal Bhi Karna Hai,.

Brilliant Job By You Sajid Bhaiya

Bohat Bohat shukriyaa chote mere jazbe ko is tarah dil se mehsoos karne ke liye aur khuda tumhari dua kabool kare "AAMEEN"

Kuch bheegi aankhon ke saath ye lines likh rahi hoon:



Kitni Pyaari Ye Hoti Hain Betiyaan,
Hain Ghareeb Ki Ya Ameer Ki Hain Betiyaan

Muskurahat Unki Roshni Phaila De,
Pariyon Si Maasoom Hoti Hain Betiyaan

Maa Baap Ke Dil Ka Tukda Wo Hoti Hain,
Bade Armaanon Se Pala Karti Hain Betiyaan

Ghareeb Baap Ki Pareshani Dekhti Hain
Kitni Laachaar Hoti Hain Betiyaan

Bebasi Maa Baap ki Dekhi Nahin Jaati
Chup Chup Ke Aksar Roti Hain Betiyaan

Kabhi Jhool Jaati Haain Faansi Laga Kar,
Dahej Ki Bhent Kabhi Chadhti Hain Betiyaan

Haqeeqat Hai Ye, Isko Kahani Na Samajhna,
Har Roz Jaane Kitni Marti Hain Betiyaan !!

Nawazish karam Talat ke is sach_chaiee me tumne mera sath diya. Khuda tumhe hamesha khush rakhe "AAMEEN"

Sajid bhaijaan,

Waqt badalte der nahi lagti, magar Insaan ko badalne me waqt zaroor lagta hai.
Great! Indeed great work!

Izzat dene ka bohat bohat shukriyaan Lalit and truly said.

hoti mehsoos kabi jo aziyat ghareeb ki
kiya kabi hum be khol kay muskurasaktay?
rakh kay khod ko onki baytion ki jaga
kiya kabi thora sokon pa saktay?
daikh lain bhook ki shidat say bilaktay bachay
kiya kabi hum be pait bher kay kha saktay?
shab ko onka drd say ghayel sa wajood
ah tasawer be karain kiya kabi hum so saktay?


Bohat bohat khoob Chitral aur is subject pe likhne ke liye bohat bohat shukriyaan
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: February 25, 2009, 10:39:48 AM »
Reply with quote
Sach kahoo to sajid ji mujhe aapke iss kalam ko pad ke rona nahi aaya,
kyunki ye mere khud ke ghar ki halaat hai jo shayad aapke lafzo ne bayan
kar diye...

Aur ye neeche jo lines maine likhi hai ye khud mere ghar me maine mehsoos
ki hai, ye sachayi hai meri zindagi ki...


Aapne bahut aacha likha hai sajid Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

kuch saath likh rahi ho,umeed hai aacha likh pao


Dekh kar bada hote betiyoon ko baap ki hassi kahiin kho gayi,
Kaise karega wida wo bin daheez ke betiyoon ko isi soch me raat
se din aur din se raat ho gayi,

Maa se karte baat suna baapu ko ki ye kaisi mushqil ghadi hai,
Wida bhi karna hai inhe aur paisso ki bhi kammi ho gayi,

Bhai hota koi inka to shayad bhar deta inki jholiyaan,
Meri to sarii umar roti laane, ghar banane me hi basar ho gayi...

Choti si gudiyaa thi ye dono choti hi rehti to aacha tha,
Khuda jaane kyun pal-bhar me ye badi ho gayi... tearyeyed

Shally.

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: February 25, 2009, 12:24:47 PM »
Reply with quote
Kya kahu Shally aaj tumne pehli mere alfaz cheen liye muje speechless kar diya maine socha bhi nahi tha ke tum kabhi aisa kuch likhogi ke meri aakhe bhi nam ho jayegi. Aur kabhi khud ko is tarah besahara aur akayla mat samjhna tumhara yeh dost aur jitne bhi logh tumhe jante hain sab tumhare sath hain tumhare dukh me aur tumhare sukh me.  Crying
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 25, 2009, 12:34:20 PM »
Reply with quote
Sach kahoo to sajid ji mujhe aapke iss kalam ko pad ke rona nahi aaya,
kyunki ye mere khud ke ghar ki halaat hai jo shayad aapke lafzo ne bayan
kar diye...

Aapne bahut aacha likha hai sajid Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

kuch saath likh rahi ho,umeed hai aacha likh pao


Dekh kar bada hote betiyoon ko baap ki hassi kahiin kho gayi,
Kaise karega wida wo bin daheez ke betiyoon ko isi soch me raat
se din aur din se raat ho gayi,

Maa se karte baat suna baapu ko ki ye kaisi mushqil ghadi hai,
Wida bhi karna hai inhe aur paisso ki bhi kammi ho gayi,

Bhai hota koi inka to shayad bhar deta inki jholiyaan,
Meri to sarii umar roti laane, ghar banane me hi basar ho gayi...

Choti si gudiyaa thi ye dono choti hi rehti to aacha tha,
Khuda jaane kyun pal-bhar me ye badi ho gayi... tearyeyed

Shally.



Tere Dard Ka Andaaza Main Lagaa Sakta Hoon,.
Bohat Achcha Likha Hai Tune, Shally, Sach Mein Yaar Kamaal Ka Likha Hai,.

Bas Dua Hai rab Ji Se Wo Sab Gareeb Lardkiyon Aur Ameer lardkyon Ke Achche Naseeb Kare,.
 
Logged
k.shael
Guest
«Reply #10 on: February 25, 2009, 12:35:21 PM »
Reply with quote
Kya kahu Shally aaj tumne pehli mere alfaz cheen liye muje speechless kar diya maine socha bhi nahi tha ke tum kabhi aisa kuch likhogi ke meri aakhe bhi nam ho jayegi. Aur kabhi khud ko is tarah besahara aur akayla mat samjhna tumhara yeh dost aur jitne bhi logh tumhe jante hain sab tumhare sath hain tumhare dukh me aur tumhare sukh me.  Crying


Shukriya Sajid ki samjh gaye aap feelings ko,

Tanha jab koi hota hai mushiqloon se ghira hua,
To log kehte hai khud ko tanha na samjho saath hai sab tere,

Samne koi bhi nahi aata haan magar log ye lafz kehte hai
iss liye taaki unhe sharmindagi na ho...
Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: February 25, 2009, 12:37:00 PM »
Reply with quote
Tere Dard Ka Andaaza Main Lagaa Sakta Hoon,.
Bohat Achcha Likha Hai Tune, Shally, Sach Mein Yaar Kamaal Ka Likha Hai,.

Bas Dua Hai rab Ji Se Wo Sab Gareeb Lardkiyon Aur Ameer lardkyon Ke Achche Naseeb Kare,.
 


Shukriya Azeem dua ke liye,

Mere dard ka andaaja agar kisi ne laga liya hota,
to aab talak maine bhi mukkamal jahan paa liya hota,

Gamm ye nahi ki koi saath nahi deta mera,
Haan agar koi waada bhi karta to hamne dil behla liya hota

Shally.
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: February 25, 2009, 04:54:02 PM »
Reply with quote
Muje aaj bhi yaad hain mere bach_pan me ek news dekhi thi, ek hi ghar ki teen betiyo ne ek hi Fan se fasi lagakar jaan de di thi. Unki gareebi ne unhe yeh kadam uthane pe majboor kar diya tha, Maa Baap ki aakho me udasi nahi dekhi gayee unse. Jis gareeb baap ke liye do waqt ki roti jutana mushkil ho, woh 3 betiyo  ka dahej kaha se juta payega. Bas usi waqye ko yaad karke kuch likha hain.

Muje aap dad na de to bhi muje koi shikwa nahi lekin ise padhkar aapko yeh lage ke samaj me aise kaiee gareeb baap aaj bhi hain jo humse kehte nahi par hamari thodi si madad unke liye sahara ban sakti hain aur agar aapke man me aise kisi ghar ka sahara banne ka ehsas bhi man me aa jaye to main samjhuga ke meri mehnat kamyaab hui.......


Muf_lisi uski kadar_daan ho gayee
Faka_kashi uspe mehar_baan ho gayee
Sitam us par kudrat ne yeh dha diya
Betiyaan gareeb ki jawaan ho gayee

Armaa.n pile kare hath beti ke woh
Kaise farz apna yeh pura kare woh
Pai_bandh chunri me hain jinki beshumaar
Un betiyo ki shadi kaise rachaye woh

Tane dete hain sab koi samajhta nahi
Dard gareeb baap ka kisi ko dikhta nahi
Andar hi andar rota hain bilakta hain woh
Peeda man ki apne, apno se kehta nahi

Nahi koi aib un bachcho me magar
Mangte hain dahej sab muh khol kar

Sirat aur surat me woh sab ek noor hain
Sharafat us ghar ki mash_hoor hain
Ab sochta hain woh baap sharafat se milata hain kya
Q betiyaan aaj uski khushiyo se door hain

Kabhi mangi nahi bheekh woh khuddar tha
Daulat se ziyada jise izzat se pyaar tha
Aaj poochta hain woh baap, ek sawaal is SAMAJ se
Kya gareeb ke ghar janam lena uski betiyo ka paap tha

Baap ki yeh halet kab tak dekhti betiyaan
Woh bhi khuddar baap ki thi betiyaan
Jab sabr ka pyaala unke bhar gaya
Aasoo baap ki aakho me na dekha gaya
Ek sath chad gayee fasi betiyaan

Kisne mara unhe kaun zimmedar hain
Q gareeb ki betiyo se tumhe nahi pyaar hain
Seene se lagakar pali thi, uske aangan ki kaliyaan thi who
Mar gayee aaj teeno kudrat bhi humpe sharmsaar hain

Ho sake to kisi gareeb baap ka sahara banna
Muflisi ke toofan me ghire kisi ghar ka kinara banna

-Sajid Ghayel-

Applause Applause Applause
Sajid ji mera dil ber aaya hai...
Mujhe b kuch likhne ko dil kiya but kal likhungi

Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 25, 2009, 05:20:26 PM »
Reply with quote
A beautiful thread... sabhi ne ek se bad kar ek likha hai...

Good work Sajid, Celmira, Shally and Chitralsony!!!
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #14 on: February 25, 2009, 09:25:00 PM »
Reply with quote
A beautiful thread... sabhi ne ek se bad kar ek likha hai...

Good work Sajid, Celmira, Shally and Chitralsony!!!
thank u so much poja ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:37:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.195 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer