Beton Ki Shadiyan

by riyaz106 on March 16, 2010, 12:28:39 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2325 times)
riyaz106
Guest
Reply with quote
                GHAZAL

Jo chhodi na tumne ye nadaniyan
To badhti rahengi preshaniyan

Agar paida hongi nahi betiyan
To beton ki hongi kahan shadiyan

Drakhton ko katoge yun hi agar
To sahra banengi hari wadiyan

Kisi dharm ko gar kahega bura
Uthengi tere dharm par ungliyan
 
Gaye the safar ko, bina rehnuma
Kinaron pe hi dubi sab kashtiyan

Buraai na chhodi to phir ek din
Gira dega ye  aasma.n bijliyan

Taraqqi ye kaisi hui 'Ashna'
Nadi mein paresha.n sabhi machhliyan

(added later)
           
Riyaz 'Ashna'



Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 16, 2010, 01:26:15 PM »
Reply with quote
                GHAZAL

Jo chhodi na tumne ye nadaniyan
To badhti rahengi preshaniyan

Agar paida hongi nahi betiyan
To beton ki hongi kahan shadiya

Drakhton ko katoge yun hi agar
To sahra banengi hari wadiyan

Kisi dharm ko gar kahega bura
Uthengi tere dharm par ungliyan
 
Gaye the safar ko, bina rehnuma
Kinaron pe hi dubi sab kashtiyan

Buraai na chhodi to phir ek din
Gira dega ye  aasma.n bijliyan

Riyaz 'Ashna'




Bahut Khoob Riyazji Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Ache Kaashji Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
drpandey
Guest
«Reply #2 on: March 16, 2010, 01:59:17 PM »
Reply with quote
                GHAZAL

Jo chhodi na tumne ye nadaniyan
To badhti rahengi preshaniyan

Agar paida hongi nahi betiyan
To beton ki hongi kahan shadiya

Drakhton ko katoge yun hi agar
To sahra banengi hari wadiyan

Kisi dharm ko gar kahega bura
Uthengi tere dharm par ungliyan
 
Gaye the safar ko, bina rehnuma
Kinaron pe hi dubi sab kashtiyan

Buraai na chhodi to phir ek din
Gira dega ye  aasma.n bijliyan

Riyaz 'Ashna'
Bahot bahot khoob,kya baat kahi hai Riyaz Sahab!!!...ghazal dekhte hi yaad ho gai..itne kam alfaazon mein itni badi-badi baatein..
             

                 Satsayya ke dohrey jyun naavak ke teer,
                 Dekhan mein chhote lagain ghav karen gambheer..(-NM-)


Meri taraf se ek sher aapke naam...arz kiya hai ki...

                 Zamana kya wo to Suraj mein bhi keera nikalega,
                 Adab jab khak chhanega to bas heera nikalega..!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: March 16, 2010, 02:38:24 PM »
Reply with quote
Bahut bahut bahut bahut khoob riyaz ji........ Applause Applause Applause Applause
behtrin peshkash........superb

Bahut hi khoob kaash ji....... Applause Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: March 16, 2010, 03:28:11 PM »
Reply with quote
BAHUT ACHHE AUE NAIK KHAYAL HAIN AAPKE RIYAZ JI. BAHUT KHOOB..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
KISI LADAAI KA ANT JEET YA HAAR  NAHIN HO SAKTA.
RAJA ASHOK NE SAMJHA,JAANA SAMJHAYA HUMKO BARSON PEHLE.

KISI MAJHAB KA MAQSAD NAHIN INSAANIYAT KE SIWA.
FIR KYUN NA INSAANI MAJHAB KO MAANE  SABSE PEHLE .

MAUKA TO DO,PYAR TO DO,SHIKSHA TO DO FIR KEHNAA.
BETI,BETE ME NA FARK KAR APNAA DIL SAAF KAR SABSE PEHLE.



Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: March 16, 2010, 05:14:45 PM »
Reply with quote
Kaash Ji aapka bahot bahot shukriya. Aapse bahut hausla afazzai milti hai. Karam nawazish. Aapne bhi bahut achhi poem likhi hai.
Riyaz ji acha likha hai

ek koshish ki hai,ummeed hai pasand aayegi

dil me bharam mere dost dosti ke baad rakha nahi karte
nadaaniyan apni badhake doosre ko nada kaha nahi karte

ladkiyun ki paidayish se zyada unki ahmiyat zaruri
ladkiyun ki izzat ke bina ladke ladke kahlaya nahi karte

darakhton ko kaatna ek gunaah hai mere dost
zindagi har shajar me yun hi phool khila nahi karte

dharm sabhi ek hain insaan sabhi barabar hain
Allah ke darbaar me raja rank juda nahi lagte


safar vo hai jo mazilon ko nayi manzilen de den
khud ke lie chalne ko to dost chalna nahi kahte

achhayi burai sab nazron nazaaron ka khel hai
ache insaan kisi ko bhi bura nahi kahte



Logged
drpandey
Guest
«Reply #6 on: March 16, 2010, 05:59:32 PM »
Reply with quote
               GHAZAL


Taraqqi ye kaisi hui 'Ashna'
Nadi mein paresha.n sabhi machhliyan
(added later)
Riyaz 'Ashna'
Ye sher aaj ke haalat ki mukammal tasveer bayaan kar raha hai bahut khoob....Riyaz Sahab...

            Har roj falak se aati hain sadaayen,
            Berang hui basti, benoor hawayen...!
                      Ek sange-rawadaari,
                      Ek range-wafadaari,
                      Ek phool hi ulfat ka,
                      Koi to uthayen...!! Har roj!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #7 on: March 16, 2010, 06:28:11 PM »
Reply with quote
Riyaaz jee-bahut khoob likha hai aapne.dumdaar ghazal hai aapki.

Kaash ji-aapki peshkash behad khoobsurat hai.

Dr. Pandey ji-Atyant gehri baatein aapne bade adab aur nazzakat se hum tuk pahuchaayi,aapka shukriya.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #8 on: March 16, 2010, 07:04:07 PM »
Reply with quote
Dr. Pandey ji-Atyant gehri baatein aapne bade adab aur nazzakat se hum tuk pahuchaayi,aapka shukriya.
Prateek bhai hamari baat aap tak pahunchi, hamari koshish rang laai...aapka behad shukriya.....   
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #9 on: March 16, 2010, 08:10:27 PM »
Reply with quote
                GHAZAL

Jo chhodi na tumne ye nadaniyan
To badhti rahengi preshaniyan

Agar paida hongi nahi betiyan
To beton ki hongi kahan shadiya

Drakhton ko katoge yun hi agar
To sahra banengi hari wadiyan

Kisi dharm ko gar kahega bura
Uthengi tere dharm par ungliyan
 
Gaye the safar ko, bina rehnuma
Kinaron pe hi dubi sab kashtiyan

Buraai na chhodi to phir ek din
Gira dega ye  aasma.n bijliyan

Taraqqi ye kaisi hui 'Ashna'
Nadi mein paresha.n sabhi machhliyan

(added later)
Riyaz 'Ashna'




Oh Wow Kya Baat Hai Riyaz Ji.
Har As'haar Gehraai Mein Dooba Hua Hai.
Bahut Hi Khoobsurat Jazbaat Hain...
Pura Insaf Kiya Hai Aapne Is Ghazal Ke Saath
Bahut Hi Umga Peskash.....

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: March 17, 2010, 05:29:00 AM »
Reply with quote
Ghazal pasand karne aur hausla afzaai ke liye Khwaish ji aapka behad shukriya.
Riyaz ji acha likha hai

ek koshish ki hai,ummeed hai pasand aayegi

dil me bharam mere dost dosti ke baad rakha nahi karte
nadaaniyan apni badhake doosre ko nada kaha nahi karte

ladkiyun ki paidayish se zyada unki ahmiyat zaruri
ladkiyun ki izzat ke bina ladke ladke kahlaya nahi karte

darakhton ko kaatna ek gunaah hai mere dost
zindagi har shajar me yun hi phool khila nahi karte

dharm sabhi ek hain insaan sabhi barabar hain
Allah ke darbaar me raja rank juda nahi lagte


safar vo hai jo mazilon ko nayi manzilen de den
khud ke lie chalne ko to dost chalna nahi kahte

achhayi burai sab nazron nazaaron ka khel hai
ache insaan kisi ko bhi bura nahi kahte



Logged
shabbir143
Guest
«Reply #11 on: March 17, 2010, 11:56:20 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Farmaaya Riyaz Bhai...
Bohat Achchi Ghazal Hai....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #12 on: March 17, 2010, 12:44:24 PM »
Reply with quote
Aapka behad behad shukriya Doctor sahab ghazal pasand karne ke liye. Aap jis tarah se hausla afzaai karte hain, hamesha yad rahega. Aapne bhi bahut achha likha hai.
Bahot bahot khoob,kya baat kahi hai Riyaz Sahab!!!...ghazal dekhte hi yaad ho gai..itne kam alfaazon mein itni badi-badi baatein..
             

                 Satsayya ke dohrey jyun naavak ke teer,
                 Dekhan mein chhote lagain ghav karen gambheer..(-NM-)


Meri taraf se ek sher aapke naam...arz kiya hai ki...

                 Zamana kya wo to Suraj mein bhi keera nikalega,
                 Adab jab khak chhanega to bas heera nikalega..!

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: March 17, 2010, 02:21:26 PM »
Reply with quote
Nikhar ji aapka tahe dil se dher sara shukriya ke aapko meri ghazal pasand aai. Aapki dua rahi to aainda bhi achha likhne ki koshish karunga.
Bahut bahut bahut bahut khoob riyaz ji........ Applause Applause Applause Applause
behtrin peshkash........superb

Bahut hi khoob kaash ji....... Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: March 17, 2010, 04:27:18 PM »
Reply with quote
Suresh ji bahut khoob likha hai aapne. Jismein insaaniyat nahi uska koi dharm nahi. Ghazal ko pasand karne aur tareef ka bahut bahut shukriya.
BAHUT ACHHE AUE NAIK KHAYAL HAIN AAPKE RIYAZ JI. BAHUT KHOOB..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
KISI LADAAI KA ANT JEET YA HAAR  NAHIN HO SAKTA.
RAJA ASHOK NE SAMJHA,JAANA SAMJHAYA HUMKO BARSON PEHLE.

KISI MAJHAB KA MAQSAD NAHIN INSAANIYAT KE SIWA.
FIR KYUN NA INSAANI MAJHAB KO MAANE  SABSE PEHLE .

MAUKA TO DO,PYAR TO DO,SHIKSHA TO DO FIR KEHNAA.
BETI,BETE ME NA FARK KAR APNAA DIL SAAF KAR SABSE PEHLE.




Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:09:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer