Beton Ki Shadiyan

by riyaz106 on March 16, 2010, 12:28:39 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2292 times)
RAHIKA
Guest
«Reply #30 on: March 21, 2010, 05:50:50 AM »
Reply with quote
Bahot khub!!!!!!!!!!!!!!!!
yoindia ke shayar shayari ke sath sath samajikta ka bhi khayal rakhte hain
ye jankar khushi hu happy3 happy3
our main bhi es community ka chhota hissa hun ye baat abhimanaspad hain icon_thumleft
hats of to you icon_salut
              -RAHIKA hello Usual Smile
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #31 on: March 21, 2010, 07:17:20 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Rahika ji. Yoindia pararivar mein aapka swaagat hai. Aap is community ka chhota sa hissa nahin, barabar ka hissa hain.

Samaaj hum sab se milkar banta hai aur iski har achhai burai ke liye hum sab zimmedar hain. Iski buraiyon ko hum log hi khatm kar sakte hain, koi aur nahi.

 
Bahot khub!!!!!!!!!!!!!!!!
yoindia ke shayar shayari ke sath sath samajikta ka bhi khayal rakhte hain
ye jankar khushi hu happy3 happy3
our main bhi es community ka chhota hissa hun ye baat abhimanaspad hain icon_thumleft
hats of to you icon_salut
              -RAHIKA hello Usual Smile
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #32 on: March 22, 2010, 09:40:18 AM »
Reply with quote
                GHAZAL

Jo chhodi na tumne ye nadaniyan
To badhti rahengi preshaniyan

Agar paida hongi nahi betiyan
To beton ki hongi kahan shadiyan

Drakhton ko katoge yun hi agar
To sahra banengi hari wadiyan

Kisi dharm ko gar kahega bura
Uthengi tere dharm par ungliyan
 
Gaye the safar ko, bina rehnuma
Kinaron pe hi dubi sab kashtiyan

Buraai na chhodi to phir ek din
Gira dega ye  aasma.n bijliyan

Taraqqi ye kaisi hui 'Ashna'
Nadi mein paresha.n sabhi machhliyan

(added later)
           
Riyaz 'Ashna'




Wah wah wah!kamaal ki ghazal kahi hai Janaab Riyaz Ashna Ji aapne. Aaj k haalaat-o-kawakib ki sahi tarjumaani karti hui ye ghazal apni khususiyaat meiN munfarid lab-o-lehja liye hue hai. Apke afkaar ka husn is ghazal meiN numaayaaN nazar aa raha hai. Kamaal ki baat to ye hai k poori ghazal meiN sheriyat apni aab-o-taab ke saath maujood hai. Aik murassa ghazal kahne ke liye aap mubarakbaad ke mustahaq haiN. HazaaroN daad qubul kijiye aur aise hi tilism-angez ghazloN se nawaazte rahiye.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #33 on: March 22, 2010, 11:57:38 AM »
Reply with quote
Waqif sahab kin alfaaz se aapka shukriya adaa karun ke aapko ye ghazal itni pasand aai. Aur jo tabsara aapne kiya hai wo to kamaal ka hai. Behrhal bade khuloos-o-adab ke saath aapka shukriya adaa karta hun.
Wah wah wah!kamaal ki ghazal kahi hai Janaab Riyaz Ashna Ji aapne. Aaj k haalaat-o-kawakib ki sahi tarjumaani karti hui ye ghazal apni khususiyaat meiN munfarid lab-o-lehja liye hue hai. Apke afkaar ka husn is ghazal meiN numaayaaN nazar aa raha hai. Kamaal ki baat to ye hai k poori ghazal meiN sheriyat apni aab-o-taab ke saath maujood hai. Aik murassa ghazal kahne ke liye aap mubarakbaad ke mustahaq haiN. HazaaroN daad qubul kijiye aur aise hi tilism-angez ghazloN se nawaazte rahiye.
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:43:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer