killbill
|
chalo aaj ghamo se naata toda jaye khushiyon se naata joda jaye akelepan aur tanhai ko seh liye bahat machalti tamannao ko daba liye bahat kuch aasaon ke bijo ko ab boya jaye armaano ke pahlu me ab soya jaye seene me dhadakta hai ek dil iski har dhadkan zamaane ko ab sunaya jaye chamak aankho me kisi sunahre khab ki hai aaj sabhi ko dikhaya jaye umeedon se bhar lu ab daaman apna chalo bhula diya jaye ab har adhoora sapna jo chhod gaye yun tadapne ko akela chalo unsabko ab dil se nikala jaye *
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #1 on: December 15, 2010, 06:17:56 PM » |
|
kya baat KB ji bahut badhiya roshni ki taraf rukh kiya hai aapne... lekin
kaise usay dil se bhulaaya jaaye kaise usay yaadon se mitaaya jaaye, jo ban gaya hai andher jab naseeb apna to fir roshni ko chirag kaise jalaaya jaye... !
Intezar !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
killbill
|
|
«Reply #2 on: December 15, 2010, 06:30:12 PM » |
|
bahut khoob kaha aapne Intezaar ji... lekin dost jab insaan ka chaha hua uski meshnat se mil jaye to wo khud ko naseebwala aur agar na mile to Badnaseeb manta hai. karta khus insaan hai aur naam naseeb ka hota hai--- naseeb par kya biswaas karun mai gar khud par hi biswaas na ho. koi dil me sama jaye to wo dheere dheere nikal bhi jayega ...ye personal exp. hai mera :
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #3 on: December 15, 2010, 06:38:55 PM » |
|
aage kya hona hai kya jaane KB ji jo guzar rahi hai wo to aaj kaa chehra dikhaati hai... ! Intezar ! bahut khoob kaha aapne Intezaar ji... lekin dost jab insaan ka chaha hua uski meshnat se mil jaye to wo khud ko naseebwala aur agar na mile to Badnaseeb manta hai. karta khus insaan hai aur naam naseeb ka hota hai--- naseeb par kya biswaas karun mai gar khud par hi biswaas na ho. koi dil me sama jaye to wo dheere dheere nikal bhi jayega ...ye personal exp. hai mera :
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #4 on: December 15, 2010, 08:41:35 PM » |
|
chalo aaj ghamo se naata toda jaye khushiyon se naata joda jaye akelepan aur tanhai ko seh liye bahat machalti tamannao ko daba liye bahat kuch aasaon ke bijo ko ab boya jaye armaano ke pahlu me ab soya jaye seene me dhadakta hai ek dil iski har dhadkan zamaane ko ab sunaya jaye chamak aankho me kisi sunahre khab ki hai aaj sabhi ko dikhaya jaye umeedon se bhar lu ab daaman apna chalo bhula diya jaye ab har adhoora sapna jo chhod gaye yun tadapne ko akela chalo unsabko ab dil se nikala jaye *
Bahut khoob Subhash Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
apriya
Guest
|
|
«Reply #5 on: December 15, 2010, 09:17:24 PM » |
|
bahut khub likhi aapne bhaijee..kal ki fikra hai jo khaye jaa rhi hai ab mithi neend me khone se pahle aur sone se pahle ek asaar pash karna chahunga.................
na toota mera ghamo se naata ise to humdum banaya hai maine jis mod par aakar toot jaate hai log aksar usi mod par aashiyana sajaya hai maine
log aksar dekar bewafaai ka iljaam chahat ko bhula dete hai ek aisi hi bewafaa ko abtak dil me basaya hai maine.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #6 on: December 15, 2010, 09:55:26 PM » |
|
Yeh bhi khoob hai Anand Ji
bewafaa aksar koi bhi hota nahi iljaam lagaa kar banaya jaata hai jaise ki bad koi aksar apne aap hota nahi badnaam kar ke hi usse bad banaya jaata hai Kyon ki kisi ne theek kaha hai
"Bad Achchha Badnaam Bura"
|
|
|
Logged
|
|
|
|
apriya
Guest
|
|
«Reply #7 on: December 15, 2010, 10:35:29 PM » |
|
DEKAR BEWAFAA KA ILJAAM HUMDUM KO APNI BHI KUCHH KHAAMIYO KE CHUPA LETE HA LOG JATA KAR DUSRO KO KAMIYA HAZAAR KHUD KO AKSAR KHUDA BANA LETE HAI LOG
EK KHATAA KI KHAATIR HAR HANSI PAL KO PAL BHAR ME BHULA DETE HAI LOG CHUP REHKAR HAR SITAM SAHA HUMNE AAJ WO KISI GAIR KE SAATH HAI JO USE MUHANNAT KI DEVI AUR MUJHE BADMAASH KI SANGYA DETE HAI LOG.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #8 on: December 16, 2010, 01:15:12 AM » |
|
good one Anand Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
killbill
|
|
«Reply #9 on: December 16, 2010, 02:15:05 AM » |
|
Dhanyabaad Guduji or Chhote tum to kamaal kar rahe yar. mehfil achhi jami hai Guruji.. par aap log fir bafa-bewafa ki baat kar rahe hai.. mujhe khushiyon ke geet gaane me madad karo
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Anilrbhardwaj
Guest
|
|
«Reply #10 on: December 16, 2010, 04:46:23 AM » |
|
dekh uski bewafai hum pagal se ho gaye the jab samjh aayi uski majboori toh hum sambhal gaye the mana woh bewafa ho gayi par khata uski nahi thi jitna bhi dard humein mila uski wajah woh nahi thi
Anil R Bhardwaj
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Anilrbhardwaj
Guest
|
|
«Reply #11 on: December 16, 2010, 04:52:27 AM » |
|
Mohobat woh rutba hai jisse google mein search kiya nahi jata Or ye woh mukam hai jisse yahoo or gtalk par paya nahi jata Muqadar mein ho agar kissi ka milna, toh use Orkut or facebook mein Dhundhna nahi padta!!!!!!!!!!
Anil R Bhardwaj
|
|
|
Logged
|
|
|
|
killbill
|
|
«Reply #12 on: December 16, 2010, 05:56:51 AM » |
|
bahut khoob kaha Anil ji.. aapne to dil ki baat kah di. ye baate har koi kahan samjhta hai-- bas apne mehbub par bewafai ka ilzaam lagate hain uski majboori ko samjhe bina hi. ** sukriya aapka dil se
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Anilrbhardwaj
Guest
|
|
«Reply #13 on: December 16, 2010, 07:00:35 AM » |
|
ohh Sukriya mat kahiye ye toh bus lafz te jo likh diye or kuch baat ban gayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Anilrbhardwaj
Guest
|
|
«Reply #14 on: December 16, 2010, 07:38:58 AM » |
|
chod sari duniya hum kahin or hi ji rahe the tanha kabhi akele khud ko hasaa rahe the jab tak tu nahi thi meri zindagi mein hum har Lamhe ko badi shidat se ji rahe the....
Anil R Bhardwaj mail at:- anilrbhardwaj@gmail.com
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|