Chalo milaayen haath!!

by abdbundeli on October 27, 2008, 10:43:45 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1705 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Fir achchhey din aayengey,
Fir hongey sab saath!
Wartmaan bhi mitra hai;
Chalo milaayen haath!!


        - Ramwatiya/abd bundeli  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Uthate hai jab ye haath dua ke liye by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
har haath khoon se sanaa hai aaj... by sushiljain in Shayri-E-Dard
Haath Sinay per Rakh To... by Anushka in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Haath mein gar takat hai by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Woh Phoolan Se Naram Mahakte Haath..... by lalit.sharma83 in Other Languages
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: October 27, 2008, 11:29:39 AM »
Reply with quote
Good one ABD JI   Applause  Applause

Aage ka haal kaun jane
Hum sab saath rahe na rahe
Wartamaan ko hum phechane
Isi ke saath hum dete rahe
Kyon ki yeh abhi hai aur dega saath
Chalo milaayen isi baat par haath
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: October 27, 2008, 01:26:12 PM »
Reply with quote
Thanks Rajesh Harish ji!
Wartmaan ko jiyen, par,
Ho drudhhti mein bhawishhya!
Guru sey paa shikshaa: swayam,
Shikshak banataa shishhya!!

         - Ramwatiya/abd bundeli
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #3 on: October 27, 2008, 01:27:19 PM »
Reply with quote
Qasit payam -e- ishq ko dena na bohot tuul,
kekhna faqt yeh unsai ,aankhe taras gayi.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: October 27, 2008, 01:39:28 PM »
Reply with quote
Qasid payam -e- ishq ko dena na bohot tuul,
kehna faqat yeh unsai, ki ,aankhen taras gayin.
Un kaa qaasid hai: mein kahoon, to kyaa?
Raqeeb ko, meyraa payaam diyaa!
Eik hi waqt pai pahuncheyngey do:
Dar haqeeqat kharaab kaam kiyaa!!

                - abd bundeli
             
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #5 on: October 27, 2008, 01:40:43 PM »
Reply with quote
Shokki hein najakat hein , aankhoon mein shararat hein
Aisa bhi sharmana kya ,kah do ki mohabbat hein..
Aah!!! kahne ki jaroorat kya,baaton ki hakeekat kya
chhalke na nigahoon se aisi bhi mohabbat kya!!!"


NM
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: October 27, 2008, 01:55:04 PM »
Reply with quote
 Applause

Bohat khoob Abd ji.. Thumbs UP

good going Rajesh ji and Rishii.. Thumbs UP
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #7 on: October 27, 2008, 01:57:57 PM »
Reply with quote
Main aaj bhi ik naye chaman main
Puranay qissay suna reha hoon..
Joo mere chahat ka devtaa tha
Main aaj bhi us ko poojta hoon..
Yaqeen nahi tou, palat kay dekho
waheen khara tha,waheen khara hoon...


NM
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: October 27, 2008, 02:04:14 PM »
Reply with quote
Shokki hein najakat hein , aankhoon mein shararat hein
Aisa bhi sharmana kya ,kah do ki mohabbat hein..
Aah!!! kahne ki jaroorat kya,baaton ki hakeekat kya
chhalke na nigahoon se aisi bhi mohabbat kya!!!"
NM
Shokhee ho, nazaakat ho, aankhoun mein sharaarat ho:
Wo sharm key maarey houn, kuchh kah naheen paatey houn;
To, aap hee kuchh qadm badhheyn, un ko kah sunaayen!
Yeh ibtidah hai, hogee roney ki zaroorat kyoun?

                                    - abd bundeli

Logged
Daredevil
Guest
«Reply #9 on: October 27, 2008, 02:06:53 PM »
Reply with quote
Woh Kesa Shaks He, Ke Her Rooz Saza Deta Hay
Phir Hansaata Hay Wo Itna, Ke Sab Bhula Deta Hay ..

Kabhi Jo Ro De To Mujh Ko Bhi, Bhool Jata Hay
Aur Phir Bhool Ke Mujh Ko Bhi, Rula Deta Hay ..

Humaray Pas Na Aanay Ki Kasam Kha Ker Woh
"Aaja" Likhta He Woh, Khaghaz Pay Urra Deta Hay ..

Ussay Poocho Ke Bata, Kiss Se Muhabbat Hay Tumhe
Naam Sargoshi May Mera Hi Suna Deta Hay ..

Kabhi Kehta Hay Chaloo Sath Hamesha Mere
Chal Paroon Sath To Rasta, Hi Phira Deta Hay ..

Khud Hii Kehta Hay, Na Dohraoo Purani Yaadein
Mein Na Dhohraoon To Phir Khud, Hii Suna Deta Hay ..

Khud Hee Likhta Hay Kay, Jazbaat May Hulchul Na Karoo
Aur Phir Khud Hii, Nayii Aag Laga Deta Hay...!


NM
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: October 27, 2008, 02:08:12 PM »
Reply with quote
Thanks a lot honeyrose ji!
            - abd bundeli
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #11 on: October 27, 2008, 02:09:25 PM »
Reply with quote
maine haq-e-mohabbat ada kia...na kabhi kisi se gial kia
mujhay ajab iska sila mila ..mujhay dil se usne bhula dia

mohabbataon ki kitaab ka har ek warq jala dia....
wo jo aarzoo ka charrgh tha use nafraton se bhuja dia..
mujhay zakhm phir ek naya dia...mujhay is mohabbat ne kia dia

wo jo kehte thay tum khush raho..wo jo kehte thay meri jaan ho tum.
.wo jo kehte thay tum hasa karo..mujhay aaj unhone hi rula dia..
mera nishaan tak mita dia..mujhay is mohabbat ne kia diaaaaaaaa
mujhay dil se usney bhula diaaaaaaaaaaaaa



NM
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: October 27, 2008, 02:52:34 PM »
Reply with quote
Rishii ji!
Usey saath rahney ki chaah thee;
Mujhey saath rahney ki chaah thee:
   Kabhi paas they, kabhi door they;
   Kabhi jashn thaa, kabhi aah thee;
Kabhi mein na thaa, kabhi wo na they,
Kabhi mahafiloun mein naqaab they;
   Rawaan reig thee, karhee dhoop thee;
   Kabhi doosaroun ki nigaah thee!!
Kaheyn kyaa, kabhi bhi na mil sakey!
Kaheyn kyaa, ki, honthh na hil sakey!!

                    - abd bundeli



Logged
Daredevil
Guest
«Reply #13 on: October 27, 2008, 02:59:52 PM »
Reply with quote
Good Sir

Ye Jo Zindagi Ki Kitaab Hai, Ye Kitaab Bhi Kya Kitaab hai,
KahiN Ik HaseeN Sa Khwaab He, KahiN Jaan Lewa Azaab Hai,

KahiN AansuoN Ki Hai DaastaN, KahiN MuskurahtoN Ka ByaaN,
Kayii Chehre Is Mein Chhupe Hue, Ik Ajeeb Sa Ye Niqaab Hai,

KahiN Kho Diya KahiN Paa Liya, KahiN Ro Liya KahiN Rula diya,
KahinN chheen Leti Hai Har Khushi, KahiN MehrbaaN Behisab Hai,

KahiN chhaoN Hai KahiN Dhoop Hai, KahiN Or Hi Koi Roop Hai,
KahiN BarktooN Ki Hain BarisheiN, KahiN Tishnagi Behisab Hai!!!!


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #14 on: October 27, 2008, 03:20:46 PM »
Reply with quote
zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii

us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
go apanii tabiyat me.n baGaavat bhii bahut thii

vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
dil ke liye tho.Dii sii inaayat bhii bahut thii

yuu.N hii nahii.n mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
us shaKhs ko is fan me.n mahaarat bhii bahut thii

kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil me.n bahut thaa
aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii

har shaam sunaate the hasiino.n ko Gazal ham
jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii

bulavaa ke ham 'RiShI' ko pashemaa.N bhii bahut hai.n
kyaa kiijiye kam_baKht kii shoharat bhii bahut thii


NM
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:15:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.433 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer