CHIN GAYA WAQT

by Jasleen13kaur on April 04, 2012, 05:24:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1541 times)
Jasleen13kaur
Guest
Reply with quote
Chin gaya waqt,
Pta hi nahi chala kab zindgi ka itna lamba safar tae kar,
Yhaan tak phunch aae hain..
Vo waqt yaad aata hai,
Kbhi bachpan main khela karte the
Baraf paani, chor sipahi, chupan chupai,
Ab duniya ki bheed main gum hain..
Vo waqt yaad aata hai,
Jb khaate the kulfi gali k thele par,
Ab Mc D, Subway main ja burger, tikki khaate hain..
Vo waqt yaad aata hai,
Kbhi khilone ka hota tha mobile fone,
Dekh kar khush ho jaate the,
Papa se zid karte the khridne ki,
Ab touch fone k bina zindgi adhoori lagti hai..
Vo waqt yaad aata hai,
Kbhi papa mummy k saath mele main jaya karte the,
Marie go round pe baithne se bhi darr lagta tha,
Papa ki ungli thaam apne ko mehfooz samajte the,
Ab vo zindgi ka dor gaya,
Apne ko independent samajte hain,
Rehte hain akele aur apni marzi krte hain,
Bhul gae hain marzi krne ki independence bhi papa se mili hai..
Vo waqt yaad aata hai,
Wo bachpan ki yaadein,
Vo doston ka roothna aur mannana,
Vo sath sath khelna,
Vo jhoole se girna aur sath sath chotein khaana,
Ab is duniya main akele hain,
Samaj gae selfish aur selfishness kise kehte hain,
Dost bhi ab naap tol kar banate hain..
Vo waqt yaad aata hai,
Vo bachpan yaad aata hai,
Sb badal gaya,
Par vo bachpan ki yaadein aaj bhi zehan main taaza hain,
Is mod pe aakar lagta hai
Chin gaya vo waqt,
Chin gaya vo bachpan...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
waqt k saghar mai dub gaya hoo by FArah in Shayri-E-Dard
waqt k saghar mai dub gaya hoo by FArah in Shayri-E-Dard
Waqt Guzara,Yaade Guzari Kitni baar Sailab Laya gaya. by pawan16 in Shairi - E - Zindagi
!!!..Lamhe waqt saath le gaya..!!! by nashwani in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
WAQT AAINA DIKHLA GAYA .......................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3 4  All »
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: April 04, 2012, 05:27:57 PM »
Reply with quote
boht khub jasleen ji and welcome
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: April 04, 2012, 05:30:49 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Jasleen ji aapne bade hi khoobsurat shabdon ke saath apne ehsaason ko persh kiya hai... bahut pyaara likha hai aapne... padhta gaya aur khota chala gaya.... bahut bahut khoob likha hai aapne.... yunhi likhte rahiye... bahut achcha likhte hain aap... straight from the heart....!!!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: April 05, 2012, 01:55:53 AM »
Reply with quote
good
Logged
dolly
Guest
«Reply #4 on: April 05, 2012, 06:03:58 AM »
Reply with quote
good one jaslin....saara bachpan yaad aa gaya....Usual Smile
Logged
Jasleen13kaur
Guest
«Reply #5 on: April 07, 2012, 08:42:06 AM »
Reply with quote
thanks sahill ji Usual Smile
Logged
Jasleen13kaur
Guest
«Reply #6 on: April 07, 2012, 08:43:39 AM »
Reply with quote
thanks a lot Hriday g, Saini g aur Dolly g Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 08, 2012, 10:57:21 AM »
Reply with quote
Chin gaya waqt,
Pta hi nahi chala kab zindgi ka itna lamba safar tae kar,
Yhaan tak phunch aae hain..
Vo waqt yaad aata hai,
Kbhi bachpan main khela karte the
Baraf paani, chor sipahi, chupan chupai,
Ab duniya ki bheed main gum hain..
Vo waqt yaad aata hai,
Jb khaate the kulfi gali k thele par,
Ab Mc D, Subway main ja burger, tikki khaate hain..
Vo waqt yaad aata hai,
Kbhi khilone ka hota tha mobile fone,
Dekh kar khush ho jaate the,
Papa se zid karte the khridne ki,
Ab touch fone k bina zindgi adhoori lagti hai..
Vo waqt yaad aata hai,
Kbhi papa mummy k saath mele main jaya karte the,
Marie go round pe baithne se bhi darr lagta tha,
Papa ki ungli thaam apne ko mehfooz samajte the,
Ab vo zindgi ka dor gaya,
Apne ko independent samajte hain,
Rehte hain akele aur apni marzi krte hain,
Bhul gae hain marzi krne ki independence bhi papa se mili hai..
Vo waqt yaad aata hai,
Wo bachpan ki yaadein,
Vo doston ka roothna aur mannana,
Vo sath sath khelna,
Vo jhoole se girna aur sath sath chotein khaana,
Ab is duniya main akele hain,
Samaj gae selfish aur selfishness kise kehte hain,
Dost bhi ab naap tol kar banate hain..
Vo waqt yaad aata hai,
Vo bachpan yaad aata hai,
Sb badal gaya,
Par vo bachpan ki yaadein aaj bhi zehan main taaza hain,
Is mod pe aakar lagta hai
Chin gaya vo waqt,
Chin gaya vo bachpan...


Jasleen Ji...Bahuttttttttt Hi Pyaari Aur gehri Soch!!!

Dil Ko Chuu Jaane Wale Ehsaas Hai..

Mujhe Aapki Yeh Nazm Bahut pasand Aayi

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #8 on: April 08, 2012, 11:32:33 AM »
Reply with quote
jaslen Ji Nice expression God bless you
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 11:33:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer