Dard Men Jeena Chhod Do

by syednaami on April 22, 2008, 04:48:47 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4331 times)
honeyrose
Guest
«Reply #15 on: April 23, 2008, 04:55:31 AM »
Reply with quote
Bohat khoob likha hai sab dostho ney..Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chhod de sari duniya... by Meena in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Jeene Ki Aas Chhod Di Hai by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Mujhe Chhod Na Jaana by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
saath chhod diya by faheem_akayla in Shayeri for Dard -e- Bewafai
***Mohabat Chhod Di Humne*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
syednaami
Guest
«Reply #16 on: April 23, 2008, 08:08:45 AM »
Reply with quote
jis pyar ko tum ne dard kaha
uss dard men tu mar jayega
jab mayoosi ho daaman men
phir dard to  nirasha badhayega

jab zakham bane naasoor tere
to dard ko kyunkar sah paayega
jab thhane ho udaasi men jeene ki
phir jeevan ko kya tu sudhaarega

jab baat andheron ki karte ho
phir ujaala tu kaise layega
bachaini ke kafan ko utardo
tabhi shama'a-e-inqalaab jala payega

Kyun ro kar jeevan bitaate ho
iss tarah to rah se hat jayega
kyun bhawana ko doshit karte ho
iss tarah maanzil kaise haasil payega


jab waadon men wafa ko pa na sako
phir rishton men bhi aitimaad na payega
ab khud ko akela paakar tum
kya dunya se lad payega


                         

Dard ko choda jaaye to her koi chord de
Per jis se ek baar hua pyar usse kaise moh mord le

Zakham nasoor ban kar bhi ussi ki yaad dilate hai
Kis tarah phir koi dard main jeena chord de

Na jaane kyun in andhero main bhi ek kiran ki aass rahti hai
Aass ki us bechaini ka kaise phir koi sath chord de

Rote nahi yaadon per, yaadein aa aa kar rulati hai
Behati hai jo yaadein bhawnai main, kaise unse munh mord le

Wadon, wafa, jaffa main koi farak ab nahi reh jaata
Jab apna he swarth main akar her rishta torr de

Dard ko choda jaaye to her koi chord de
Per jis se ek baar hua pyar usse kaise moh mord le

[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: April 23, 2008, 02:31:24 PM »
Reply with quote
pooja ji,

aapki haazirjawabi ka mein kayal ho chuka hu.hur baat ko kur pehlu se dekhne ki ada-yeh ehsaas kararti he ki aapka hriday atyant komal he.aapse seekhne ki lalak to bohut he pur jaanta hu--bina kabiliyat sambhav nahi aur jitna likh paata hu--santushti usi mein dhoondani hogi.Aapne hur kisi ke dard mein,khushi mein shaamil ho apne vyaktitva ko chaar chand lagaye he-isme do raay hona asambhav he.
aapka dil se abhinandan.

Prateek

Prateek ji,

Apko kaya jawab du. Dil ko bahoot acha laga apke vichar jaan kar, per main koi shaayra nahi hu. Bas aoro ko prad kar jo bhi man mai atta hai wo likh deti hu aor kabhi kabhi jo khud ko mehsoos hota hai wo shabdo mai utarne ki koshish karati hu. Apki aor syed ji ki tarah shabdo ka jaadu mere pass nahi hai!!

Pooja
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: April 23, 2008, 03:36:41 PM »
Reply with quote
wah kaya jawab likha hai apne syednaami ji... bahoot waqat baad koi sath likh raha hai.. acha lag raha hai.. ek shabd ka arth sahi tarah se samjh nahi saki main, wo shabd hai: aitimaad

apki kavita pard kar jo man mai ayya wo likh rahi hu:

Dard chahta hai kon, magar picha churaya nahi jaata
Dil mai bas gaya hai jo, uske khayalo se khud ko bachaya nahi jaata

Waqat dikhata hai baar baar mayusi ke manjar
Chah kar bhi, is manajr se baher ayya nahi jaata

Zakham bharane lagte hai to aa jaata hai ek aor naya zakham
Khud ko kisi tarah se bhi in zakhamo se bachaya nahi jaata

Khushi aor ansoo dono ka sungam ban gai hai zindagi
Aisa bhi nahi ki humse Muskuraya nahi jaata

Adhero mai se hi milegi Roshani ek din, yah dil janta hai
Yahi soch kar, kadmo ko adhera dekh kar BHI, thahraya nahi jaata

Rote nahi hai khud, ansoo to bas khud hi aa jaate hai
Siskati hui bhawnao ko kabhi kabhi, kuch samjhaya nahi jaata

Ladta hai her koi akela yaha, humne to yahi jaana hai
Dekh kar apno ke rang, humse ab koi rang apnaya nahi jaata

Dard chahta hai kon, magar picha churaya nahi jaata
Dil mai bas gaya hai jo, uske khayalo se khud ko bachaya nahi jaata………
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #19 on: April 23, 2008, 04:58:34 PM »
Reply with quote
Ladta hai her koi akela yaha, humne to yahi jaana hai
Dekh kar apno ke rang, humse ab koi rang apnaya nahi jaata

Dard chahta hai kon, magar picha churaya nahi jaata
Dil mai bas gaya hai jo, uske khayalo se khud ko bachaya nahi jaata………
 
 
Pooja didi bahut accha laga padkar.

@ Syednaami - Big B... bahut accha likha hai aap ne bi
 

Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: April 23, 2008, 05:18:45 PM »
Reply with quote
Thnaks Sonia!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #21 on: April 23, 2008, 10:12:41 PM »
Reply with quote
Ladta hai her koi akela yaha, humne to yahi jaana hai
Dekh kar apno ke rang, humse ab koi rang apnaya nahi jaata

Dard chahta hai kon, magar picha churaya nahi jaata
Dil mai bas gaya hai jo, uske khayalo se khud ko bachaya nahi jaata………
 
 
Pooja didi bahut accha laga padkar.

@ Syednaami - Big B... bahut accha likha hai aap ne bi
 

Tumne padh liya samjho humne inaam pa liya, nanhi pari. Thanks

Pooja ji, aap ne to thhan liya hai muqabile ki. Weel done
Aitimaad means Bharosa, Confidence, Belief, yaqeen

Aapko jawab mil jayega. Nice
Logged
syednaami
Guest
«Reply #22 on: April 23, 2008, 10:13:57 PM »
Reply with quote
Bohat khoob likha hai sab dostho ney..Usual Smile

Thanks a lot so nice of you reading us.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #23 on: April 24, 2008, 12:47:25 AM »
Reply with quote
~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~
~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~


yeh khushfahmi hai tere khayaalon ki
ya samjhun nadaani tere nojawaani ki
husool-e-ishq-e-imaan hota nahin
sirf kissi ko dil men basaane se


apne hi saaye se dar kar rahte ho
waqt ki rawaani ko mayoosi men badalte ho
manzar-e-ghaafil men haqeeqi Ishq hota nahin
qabool kar iss sachchai ko khule dil se


Zakham milte hain tumhe har bar naye
tu kabhi tha hi nahin tadbeer-e-Ilaaj ke darpaye
zakhmon ko sitam zareefi men seechte nahin
Zakham bharte hain amal ke marham se


Aansuon ko banaate ho muqaddar ka ameen
Mayoosi men apni khushiyon ko na chheen
darasal gham ko dil se lagate nahin
kaamiyabi milti hai Amal-o-faham ki roshni se


Andhera hai, ujaala to karna hi padega
raaste ki Masha'alon ko khud hi jalaana padega
nishan-e-rah khud hi bana karte nahin
manzil-e- maqsood milegi saabit qadmi se


Aasoon gire jab bhi to zaroor parakhna
man men iraadon ko hamesha pukhta hi rakhna
bhatakte ahsaasaat se ashk kabhi rukte nahin
aqal naakara hojaati hai siskyon men pade rahne se


Josh aisa paida kar ki badlaao aajaye
hosh logon main bharde aisa ki qafila banjaye
zamaane ko tang nazri se dekhte nahin
lao inqalaab jahan men himmat se hikmat se.


~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~
~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~o~-~
                                                 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: April 24, 2008, 03:28:07 PM »
Reply with quote
Please in sab niche likhe shabdo ke arth bataye!!!
ghaafil
husool
tadbeer-e-Ilaaj ke darpaye
zareefi
amal
Aansuon
Amal-o-faham
saabit qadmi
hikmat
Logged
syednaami
Guest
«Reply #25 on: April 24, 2008, 05:05:33 PM »
Reply with quote
Please in sab niche likhe shabdo ke arth bataye!!!
ghaafil
husool
tadbeer-e-Ilaaj ke darpaye
zareefi
amal
Aansuon
Amal-o-faham
saabit qadmi
hikmat

ghaafil - careless, forgetful, negligent, befikir, beparwah
husool - Aquirement, haasil hona/karna, to get something, to achieve,
tadbeer (arrangement, koshish, tareeqa)-e-Ilaaj (cure, medication, dawa, hal, solution)
darpaye - talaash, pursuit, to follow
sitam zareefi - thhathholi bhi karna phir saath zulum bhi karna, to oppress and tease
amal (kaam, work, act, action)
Aansuon (Aansoo ka plural, tears)
Amal-o-faham (Action and Thinking, Work and Plan)
saabit qadmi (To stand firm, mazbooti se qaaim rahna, pukhta iraada)
hikmat (Cleverness, aqal, in managed way, tarkeeb, knowledge)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: April 24, 2008, 06:14:13 PM »
Reply with quote
shukaria!! jalad he jawab post karne ki koshish karugi!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #27 on: April 24, 2008, 06:16:00 PM »
Reply with quote
very tuff.........
Logged
syednaami
Guest
«Reply #28 on: April 24, 2008, 06:31:23 PM »
Reply with quote
very tuff.........

Pandit kya karun, aage se sahel shabdon ka prayog karunga.
Thanks for reading.
Logged
punam
Guest
«Reply #29 on: April 24, 2008, 06:38:11 PM »
Reply with quote
Bahot khoob syed ji..main toh tareef karne layak nahi hun..
mujhe jo kuch bhi nahi aata... ek se badh k ek ..wah..

pooja di aap bhi bahot ache likhe..bahot khoob...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:05:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer