Dard Men Jeena Chhod Do

by syednaami on April 22, 2008, 04:48:47 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4336 times)
syednaami
Guest
«Reply #30 on: April 24, 2008, 06:40:18 PM »
Reply with quote
Bahot khoob syed ji..main toh tareef karne layak nahi hun..
mujhe jo kuch bhi nahi aata... ek se badh k ek ..wah..

pooja di aap bhi bahot ache likhe..bahot khoob...

Aap kyun nahin hai layak, aap ka andaaz bhi nirala hai bhai, genuine hai.
Thanks a lot Punam jee for coming and reading.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chhod de sari duniya... by Meena in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Jeene Ki Aas Chhod Di Hai by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Mujhe Chhod Na Jaana by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
saath chhod diya by faheem_akayla in Shayeri for Dard -e- Bewafai
***Mohabat Chhod Di Humne*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #31 on: April 24, 2008, 07:12:21 PM »
Reply with quote
syednaami ji aap ko jaadugar kehna padega, jesa aap ne chaha tha aap ki kavita ne jaadu kiya, or asar ho raha he, magar pooja ji ka kalam mere dil ki aawaz bankar ubhra or kya chhahiye.  NaNaNa

Han ji Aap ke jwaabaat to lajwaab he magar dil he ke maanta nahi, hosaka to kabhi is mozu par zarur kuchh likhunga.  Feared.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #32 on: April 24, 2008, 07:17:21 PM »
Reply with quote
Dard ko choda jaaye to her koi chord de
Per jis se ek baar hua pyar usse kaise moh mord le

Zakham nasoor ban kar bhi ussi ki yaad dilate hai
Kis tarah phir koi dard main jeena chord de

Na jaane kyun in andhero main bhi ek kiran ki aass rahti hai
Aass ki us bechaini ka kaise phir koi sath chord de

Rote nahi yaadon per, yaadein aa aa kar rulati hai
Behati hai jo yaadein bhawnai main, kaise unse munh mord le

Wadon, wafa, jaffa main koi farak ab nahi reh jaata
Jab apna he swarth main akar her rishta torr de

Dard ko choda jaaye to her koi chord de
Per jis se ek baar hua pyar usse kaise moh mord le


Wah pooja ji kamal kar diya yane chadar phaad ke rumal kardiya.  Applause
or jwaabaat bhi behtareen he, jaari rakhiye.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #33 on: April 24, 2008, 07:22:35 PM »
Reply with quote
syednaami ji aap ko jaadugar kehna padega, jesa aap ne chaha tha aap ki kavita ne jaadu kiya, or asar ho raha he, magar pooja ji ka kalam mere dil ki aawaz bankar ubhra or kya chhahiye.  NaNaNa

Han ji Aap ke jwaabaat to lajwaab he magar dil he ke maanta nahi, hosaka to kabhi is mozu par zarur kuchh likhunga.  Feared.

Muhtaram Mian Randeri Saheb,
Aap ne hamare hosle ko aasmaan talak punhcha diya, ab kaise shukriya ada karun, bas dua karen ki mazeed dard dur karsakun, Aslaaf ke qadmon ka peechha kar raha hun, iss liye aisa likhta hun.
Aap ne waqt nikaal kar jo tehseen ki uska mamnoon hun.

Faqat

S Naami
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: April 24, 2008, 07:31:28 PM »
Reply with quote
Syed ji apki sari kavita ka jawab maine is apni kavita mai sajone ki poori koshish ki hai..

Khushfehami hai na yah nadani hai
Umarbhar jise chaha, bas uski nishani hai
Dil mai bas jaata hai khud hi akar koi
Is dil ne kab kaha kisi ki maani hai

Darte bhi nahi, badlate bhi nahi
Yah to waqat-e-zindagi ki rawani hai
Ishaq marta nahi kabhi yah dil janta hai
Siskate gum ajj bhi zinda-e-Ishaq ki nishani hai

Irada-e-honsla bhi humne khoya nahi
Dhadkate dil ki dhadkan iski nishani hai
Bard to raha hai ek ek kadam agge
Per Dil nahi janta ki manjil kaha banani hai

Ansuon main doob kar bhi doobein nahi
Hasrato ne bhi kahin na kahin likhani kahani hai
Josh main bhi kahin chipi ussi ki hasrat
Janate hai ki yaad uski kahin ander he chipani hai!!!


Syed ji,
maine kabhi muqabile mai vishwaas nahi kiya!! magar mujhe is tarah se sawalo-jawabo mai kavita karna bahoot acha lagta hai!! sath mile to likhne ka apna he ek anand hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: April 24, 2008, 09:31:46 PM »
Reply with quote
Wah pooja ji kamal kar diya yane chadar phaad ke rumal kardiya.  Applause
or jwaabaat bhi behtareen he, jaari rakhiye.

magar pooja ji ka kalam mere dil ki aawaz bankar ubhra or kya chhahiye. 

Bahoot bahoot shukaria Sayyid ji!!

Dil mai aye zajbaato ko likhati hu or kuch bhi nahi
Man mai aye sawalo ko likhati hu or kuch bhi nahi
Jawab kuch aise hai jin ka NAhi koi ashian or kuch bhi nahi
Faqat apna dil behlaane ko likhati hu or kuch bhi nahi………
Logged
syednaami
Guest
«Reply #36 on: April 25, 2008, 07:25:36 PM »
Reply with quote
Pooja Saahiba,
       Aaj kuchh aur masrufiyaat men gum hun, issliye kal aapke liye kuchh likh paunga, inshaAllah.

Iss martaba bhi aap ka dard se rishta nahin toota, khair woh ek alag baat hai ke hum kahan tak ilaaj kar paate hain.

Thanks for being with me.

S Naami
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #37 on: April 25, 2008, 09:52:12 PM »
Reply with quote
Pooja Saahiba,
       Aaj kuchh aur masrufiyaat men gum hun, issliye kal aapke liye kuchh likh paunga, inshaAllah.

Iss martaba bhi aap ka dard se rishta nahin toota, khair woh ek alag baat hai ke hum kahan tak ilaaj kar paate hain.

Thanks for being with me.

S Naami

S.naami ji Aadab...
Khushiyon ka rista bada hi khokhla he naami ji.. han magar dard ke riste par sari dawae'n beasar hojati he, ye muhabbat ki kheti he babu... srif ashkon ki barsat hi ise hara bhara rakh sakti he, wo bhi aese wese nahi jise kehte hen khoon ke aansoo, khushk zameen me bhla koi beej palta he, {han phalta he agar wo  21 vee'n sadi ki muhabbat ho} aaj kal to bas khushk zameen me tukhm-e-ulfat bo kar log aasooda hojate hen, or daava Qays-o-layla ka?

Aziz dost mene kahin padha tha ke ek ladka muhabbat me nakami ke baad diwana sa hogaya, aab-o-hawa ki tabdili ke liye use gaaun me apni dadi ke paas bhej diya gaya, mahinon baad bhi jab junun-e-ishq me koi kami nahi aai to usne apni dadi se puchha [jo khamosh sar jhukae bethi thi]
Dadi ma muhabbat ka dard bhulane me kitna waqt lagta he?
Dadi ne larazti aawaz me jawab diya: bete.. mujhe kaya pata mujhe to abhi sirf 80 saal hi huwe hen.


Logged
Roja
Guest
«Reply #38 on: April 27, 2008, 12:25:26 PM »
Reply with quote
Jis dard se mayoosi hi mile
uss dard men jeena chhod do

jab zakhm tera naasoor banenga
phir kissi dava ka asar na padega
jis pyar se dil ko raahat mili thi
uss pyar ka naam-o-nishaan na milega

jis rah men phaila andhera mile
uss rah se guzarna chhod do

phir rona mat un yaadon par
jin yaadon ko man men samaoge
na darna phir un wa'adon se
jo wa'ade karke nibha na paaoge

jis wafa se tumko jafa mile
uss wafa se rishta tod do

Jis dard se mayoosi hi mile
uss dard men jeena chhod do


Bahut khoob likha hai aapne syednaami ji.

jis wafa se tumko jafa mile
uss wafa se rishta tod do

very well said.

Logged
syednaami
Guest
«Reply #39 on: April 27, 2008, 12:37:08 PM »
Reply with quote
S.naami ji Aadab...
Khushiyon ka rista bada hi khokhla he naami ji.. han magar dard ke riste par sari dawae'n beasar hojati he, ye muhabbat ki kheti he babu... srif ashkon ki barsat hi ise hara bhara rakh sakti he, wo bhi aese wese nahi jise kehte hen khoon ke aansoo, khushk zameen me bhla koi beej palta he, {han phalta he agar wo  21 vee'n sadi ki muhabbat ho} aaj kal to bas khushk zameen me tukhm-e-ulfat bo kar log aasooda hojate hen, or da'awa Qays-o-layla ka?

Aziz dost mene kahin padha tha ke ek ladka muhabbat me nakami ke baad diwana sa hogaya, aab-o-hawa ki tabdili ke liye use gaaun me apni dadi ke paas bhej diya gaya, mahinon baad bhi jab junun-e-ishq me koi kami nahi aai to usne apni dadi se puchha [jo khamosh sar jhukae bethi thi]
Dadi ma muhabbat ka dard bhulane me kitna waqt lagta he?
Dadi ne larazti aawaz me jawab diya: bete.. mujhe kaya pata mujhe to abhi sirf 80 saal hi huwe hen.


Salaam Arz hai, Janab Randeri
Aur kitna dard sahna, jis dard ka koi nateeja akhaz na ho.

Aur Woh Dadi shaadishuda theen unko apne shauhar ke jaldi jaane ka gham hosakta hai.
Magar uss ladke ne gham ka sabaq to liye par shayad Dadi ki Dada se jodi bani usko peeche chhod diya.
Khair, hum to aise hi likhenge Randeri Mian.
Aap ne aazaz bhara khat bheja buhat maza ayaa.

Shukriya dil se.

S Naami
Logged
syednaami
Guest
«Reply #40 on: April 27, 2008, 12:40:05 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai aapne syednaami ji.

jis wafa se tumko jafa mile
uss wafa se rishta tod do

very well said.



Aadab Roja Saahiba,

Aap ne hamare aangan main qadam rakha, jaise ghareebkhana khushboon se muattar ho gaya.
Hosla Afzai ka tah-e-dil se shukarguzaar hun.

S Naami
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #41 on: April 27, 2008, 12:56:33 PM »
Reply with quote
Salaam Arz hai, Janab Randeri
Aur kitna dard sahna, jis dard ka koi nateeja akhaz na ho.

Aur Woh Dadi shaadishuda theen unko apne shauhar ke jaldi jaane ka gham hosakta hai.
Magar uss ladke ne gham ka sabaq to liye par shayad Dadi ki Dada se jodi bani usko peeche chhod diya.
Khair, hum to aise hi likhenge Randeri Mian.
Aap ne aazaz bhara khat bheja buhat maza ayaa.

Shukriya dil se.

S Naami

S.naami sa. mere sawalon ka jawab to aap ne apni tasweer me apna tarruf kara ke de diya he.
 
   -: NACHHED AE NIGHAT-E-BAD-E-BAHARI RAH LAG APNI :-
 -: TUJHE ATHKHELIYAN SOOJHI HE HAM BEZAAR BETHE HEN :-

 
  [N/M]
Logged
syednaami
Guest
«Reply #42 on: April 27, 2008, 01:08:33 PM »
Reply with quote
S.naami sa. mere sawalon ka jawab to aap ne apni tasweer me apna tarruf kara ke de diya he.
 
   -: NACHED AE NIGHAT-E-BAD-E-BAHARI RAH LAG APNI :-
 -: TUJHE ATHKHELIYAN SOOJHI HE HAM BEZAAR BETHE HEN :-


Hazrat aap jaisa bhi samjho, yeh bhi unhi ki marhun-e-minnat hai.
Maazrat khwaah agar kuchh ziyada kaha.
Baqi aapko tafseel bhej dunga.


Neeche kuchh likhta hun samajhne wala samjhe:

Tumhaare hi dam se hai yeh mera naam-o-nishaan, -
Gar tera qarz na hota mujh par aye mere maherbaan, -
Hum iss shahar se kooch kar gaye hote jaane kahan. -


(Syed Naami)
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #43 on: April 27, 2008, 01:22:33 PM »
Reply with quote

Tumhaare hi dam se hai yeh mera naam-o-nishaan, -
Gar tera qarz na hota mujh par aye mere maherbaan, -
Hum iss shahar se kooch kar gaye hote jaane kahan. -


(Syed Naami)

Wah kya baat he, njaane kyun aap to Sanjeedah shayar hote jarahe hen.  Applause

 MUBARAK YAS-O-HASRAT ME TUJHE MAHBOOS HOJANA
NISHAT-E-GAM SE AB MUSHKIL NAHI MAANOOS HO JAANA


[AAMIR SURTI]
Logged
syednaami
Guest
«Reply #44 on: April 27, 2008, 02:58:31 PM »
Reply with quote
Wah kya baat he, njaane kyun aap to Sanjeedah shayar hote jarahe hen.  Applause

 MUBARAK YAS-O-HASRAT ME TUJHE MAHBOOS HOJANA
NISHAT-E-GAM SE AB MUSHKIL NAHI MAANOOS HO JAANA


[AAMIR SURTI]

Randei Mian, Khoob kaha aap ne meri jiddat ke bare men.
Soorti Saahib ka kalaam bilkul hamare pasand ka hai, maza aaya buhat, aur sanjeeda kyunkar bhaya, apne hamari taareef to tasveer men padh chuke hain.

Zara kuchh mazeed dard ka ilaaj karun apne.

Vaasil-e-Zindaan tha taboot men dafan, -
tod diye main ne saare habs ke quful, -

Sang-o-taraash ke taaza hain sab zakham, -
nayi zeest par hu gaamzan Bhula ke ranj-o-gham. -


(Syed Naami)

Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:20:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer