Dard Men Jeena Chhod Do

by syednaami on April 22, 2008, 04:48:47 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4396 times)
Roja
Guest
«Reply #45 on: April 28, 2008, 02:19:08 AM »
Reply with quote
Aadab Roja Saahiba,

Aap ne hamare aangan main qadam rakha, jaise ghareebkhana khushboon se muattar ho gaya.
Hosla Afzai ka tah-e-dil se shukarguzaar hun.

S Naami
Hay rabba ... kya khoob tarika se shukriyada kiya.
Dil khush hua..
tongue3 love9
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chhod de sari duniya... by Meena in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Jeene Ki Aas Chhod Di Hai by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Mujhe Chhod Na Jaana by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
saath chhod diya by faheem_akayla in Shayeri for Dard -e- Bewafai
***Mohabat Chhod Di Humne*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
syednaami
Guest
«Reply #46 on: April 28, 2008, 11:07:01 AM »
Reply with quote
Hay rabba ... kya khoob tarika se shukriyada kiya.
Dil khush hua..
tongue3 love9

Roja ma'am yeh shayarana andaaz-e-guftagu hai, aap meri tasveer dekh kar humen bura na samajhiyega, aisa tarz apnana pada hai ab mujhe.

Aapki badi Nawaazish

(Syed Naami)
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #47 on: April 28, 2008, 07:56:16 PM »
Reply with quote

Vaasil-e-Zindaan tha taboot men dafan, -
tod diye main ne saare habs ke quful, -

Sang-o-taraash ke taaza hain sab zakham, -
nayi zeest par hu gaamzan Bhula ke ranj-o-gham. -


(Syed Naami)



Azizam Aap zeest ki nayi rah par gaamzan he or wo bhi ranj-o-gam bhula kar ye to badi khushi ki baat he, allah aap ka safar aasan kare, Aameen!
----------------------------------------------
ISHQ PAR KAB MUJHE NADAMAT HE
MERE JEENE KI YE ALAAMAT HE

JISPE HAR EK KHUSHI NISAAR MERI
WO TERA DARD TO SALAAMAT HE

[Akhtar]
=======================

TERI AANKHON ME MUSKURAHAT HE
MUSKURAHAT ME JAGMAGAHAT HE
JAGMAGAHAT KI AOT ME PINHA'N
MERE AAWARA GAM KI AAHAT HE

[Kirishna Mohan]
=======================
Logged
syednaami
Guest
«Reply #48 on: April 28, 2008, 08:16:02 PM »
Reply with quote
Azizam Aap zeest ki nayi rah par gaamzan he or wo bhi ranj-o-gam bhula kar ye to badi khushi ki baat he, allah aap ka safar aasan kare, Aameen!
----------------------------------------------
ISHQ PAR KAB MUJHE NADAMAT HE
MERE JEENE KI YE ALAAMAT HE

JISPE HAR EK KHUSHI NISAAR MERI
WO TERA DARD TO SALAAMAT HE

[Akhtar]
=======================

TERI AANKHON ME MUSKURAHAT HE
MUSKURAHAT ME JAGMAGAHAT HE
JAGMAGAHAT KI AOT ME PINHA'N
MERE AAWARA GAM KI AAHAT HE

[Kirishna Mohan]
=======================


Subhanallah,
Aap ne to dard ki kaifiyaat ko bakhoobi bayaan kya aziz dost.
Bas, hum par hai inqalaab laane ka zimmah aur rab se dua hai ki kaamyabi atta kare. Jis ki misaal aap ne dekhi hogi.

Kirishna Mohan ne kamaal kaha, Dard bhi awara hota hai humen aaj maloom hua.

(Syed Naami)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #49 on: April 29, 2008, 01:24:18 PM »
Reply with quote
nice sharing sayyid ji!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #50 on: April 29, 2008, 01:46:54 PM »
Reply with quote
nice sharing sayyid ji!!

Why you are not talking about word meanings today?
Why?
Thanks
Logged
Pooja
Guest
«Reply #51 on: April 29, 2008, 01:53:24 PM »
Reply with quote
App kuch likho to main padu.  sunny
padu to pata chale ki kaya samjh nahi ayya  sad11
jab nahi samjha yega to apko puchugi  DOH
main puchu iske liye pahle kuch likho to sahi..... BangHead BangHead
Logged
syednaami
Guest
«Reply #52 on: April 29, 2008, 02:20:55 PM »
Reply with quote
Likhe the par Pichle panne men but woh sirf ek do stanza men.
Likhunga zaroor likhunga.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #53 on: April 29, 2008, 05:42:31 PM »
Reply with quote
waiting
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #54 on: April 29, 2008, 07:40:40 PM »
Reply with quote
KEYBOARD SE KARTAB DIKHLAAYE  laughing4
S.NAAMI MATLAB SIKHLAAYE   tongue3
SAMJHE NA KOI AESA LIKH KAR  icon_scratch
PHIR BAAD ME MATLAB SAMJHAAYE  NaNaNa
-------------------------------------
Logged
syednaami
Guest
«Reply #55 on: April 29, 2008, 08:04:59 PM »
Reply with quote
Aaj humne bhi kya ek faisla hai  Crying
Shayari chhod chale hain lekhak ban-ne  sad7
Dictionary banaake rakh diya doston ne  read2
Issliye Aasan kavita ka prayog karte hain  crybaby2
Logged
Pooja
Guest
«Reply #56 on: April 29, 2008, 08:10:07 PM »
Reply with quote
KEYBOARD SE KARTAB DIKHLAAYE  laughing4
S.NAAMI MATLAB SIKHLAAYE   tongue3
SAMJHE NA KOI AESA LIKH KAR  icon_scratch
PHIR BAAD ME MATLAB SAMJHAAYE  NaNaNa
-------------------------------------

Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
Pooja
Guest
«Reply #57 on: April 29, 2008, 08:16:38 PM »
Reply with quote
Aaj humne bhi kya ek faisla hai  Crying
Shayari chhod chale hain lekhak ban-ne  sad7
Dictionary banaake rakh diya doston ne  read2
Issliye Aasan kavita ka prayog karte hain  crybaby2



Lekhak aor shayar mai jara anter batlaaye
shabdo ke hair-phair main humko na uljhaye
dil jaise chahe waise he app likhte jaaye
magar gahari urdu ke meaning bhi sath main batlaaye
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #58 on: April 29, 2008, 08:23:03 PM »
Reply with quote
Aaj humne bhi kya ek faisla hai  Crying
Shayari chhod chale hain lekhak ban-ne  sad7
Dictionary banaake rakh diya doston ne  read2
Issliye Aasan kavita ka prayog karte hain  crybaby2


Ye hui na baat...  Applause

Ab aap ki kavita hardil aziz hosakti he, allah kare zor-e-sukhan or zyada.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #59 on: April 29, 2008, 08:25:00 PM »
Reply with quote

Lekhak aor shayar mai jara anter batlaaye
shabdo ke hair-phair main humko na uljhaye
dil jaise chahe waise he app likhte jaaye
magar gahari urdu ke meaning bhi sath main batlaaye

Lekhak ka hai rishta kitaabon se
Shayar ka hai bandhan dil ke taaraon se

Lekhak ko kya pata dard ke angaaron se
Shayar ka jab dil jalta hai to likh deta hai

Lekhak ne likhi puri kitaab ek hi mozoo par
Shayar ne pura jeevan sama diya ek hi kavita ke andar


(syed Naami)
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 08:02:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer