Dev

by Bambi on February 21, 2010, 07:43:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 955 times)
Bambi
Guest
Reply with quote

Woh pagal thi,

Hospital sey bhagey hue pagalon jaise.

Usko callege ki sidiyon sey najane

Kya pyar tha!

Jaise koi samne sey guzartha,

Usko Pakad ke ghanto batein karthi.

College ka peon, jhaduwali, junior,senior, lecturer, principal !

Sabke kahaniya janthi thi.

Aur saab ussey janthe, pehchanthe,

Duur sey , upar sey, niche sey dain -baain sey – sab ussey “Hi” kehte.

Woh pagal thi…

Main saach keh raha hoon.

Main tho uss sey dartha tha,

Ussey dekhte hi back gate sey andar aata.

Kyunki aagar woh pakad leti toh

Dil main chupey har ek raaz ko khol deti.

Yeh bhi sach tha ki,

Main main sirf ussi ko woh sari baatein keh deta.

Na kissi girlfriend ko, Na dost ko, na bhai , na behen,

Bus ussi ko na janne kaise!

Ek baar maine ussey kaha…

“Mere dad mujhe bilkul nahin samajh the!”

Usne kush nahin kaha, bus apne badi aakhon sey

Mujhey dekhti gayi..

Jaisey yeh meri uljhan hi nahin thi.

Toh maine kaha,

” Jab bhi main aapne manzil ke taraf ek kadam rakhta hoon

toh mujhe pata nahin hota ki dusra kadam kahan rakhunga…”

Shayad yeh bhi meri uljhan nahin thi…

Kyunki uski badi aakhen waise hi mujhpar tiki rahin.

Aakhir main maine ussey kaha,

“Sach toh yeh hai key main yeh baat Dad ko kehne sey

Darth hoon”

Uski baadi aakhen muskurayi, Usne kaha

“Toh jaise mujhse kaha unhe bhi kehe do”

Woh pagal thi par uss din ke baad main ussey  dekh kar baaghta nahin tha.

Uss ke saath baatein kartha, ussey chidhatha,

Uskey saath bus stop tak jata.

Magar mere saare dost humare rishte ko naam dene lage,

Mujhe chidhane, sathane lage.

Dhirey dhirey yeh main uski taraf kadwahat sey pesh aane laga,

Aur woh mujhe dekhkar undekha kar deti.

Ab toh kain saal ho gaye uss sey baatein kiye hue.

Par uss jaisa ab tak koi nahin mila.

Woh pagal thi … woh pagal hai !

Uss din uss sey picture ke interval main mila.

Bada Sukun mehsus hua.

Wohi badi  aakhen, wohi pagalpan,

wohi saaf dil.

Woh pagli kabhi bhi nahin badli thi,

Main hi kham-a-kha ussey galat samajh raha tha.

Uske toh haazaron benaam rishte they,

Aur main unn haazaron main sey bas ek tha.

Aisey rishton ko koi kya naam dey…?

Aisey rishtey ko koi kya naam de sakta hai?
Logged
aadi aerada
Guest
«Reply #1 on: February 22, 2010, 06:11:29 AM »

Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:14:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer