Dhoop Seh Kar Jo Zamaane Ko De Chaau......

by khwaish on May 28, 2009, 07:10:39 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2504 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Band Palkon Mein Ujaalo Ki Tarah Hote Hai,
Rishte To Zindagi Ki raahon Mein, Chiraago Ki Tarah hote Hai!!!


Rishto Ko Nibhaana Aa Jaaye To Mann Khusbooyon Se Bhar Jaata Hai,
Kaanto Ke beech yeh Rishte Phoolon Ki Tarah Hote Hai!!!


"Khwaish" Kehta Hai Ke,Dhoop Sehkar Bhi Jo Zamaane Ko Deta Hai Chaau,
Woh Mandir ,Masjid, Church Aur Gurduwaro Ki Tarah Hote Hai!!!


Apno Mein Aur Gairon Mein Jo Kabhi Fark Naa Kare,
Woh Insaan Bi Farishto Ki Tarah Hote Hai!!!


Woh Shaks Ka Jeena Bhi Kya Hai Jeena, Jo Jiye Sirf khud Ke Liye,
Doobte Hue Ko Jo Naa Sambhaal Sake,
Woh To Sirf Kinaaro Ki Tarah Hote Hai!!!


"Khwaish" Yeh Zindagi Aakhir Kya Hai??
Ek Rang-Birangi Chaadar!!!

Rishte-Naate Sab Dhaago Ki Tarah Hote Hai!!!

                 ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dhoop ka safar! by Guest in Shayri-E-Dard
gum ke dhoop by jempawan in Shayri-E-Dard
~*Woh Subha Ka Dhoop*~ by honeyrose in Shayri-E-Dard
~ ~ * * Sardi Ki Dhoop Main ~ ~ * * by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 »
Sunahri Dhoop by drpandey in Ghazals « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: May 28, 2009, 07:16:15 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya kahun Dost, aapki is nazm ka jawab nahin..kuch kehne ko lafz nahin mere paas......kitni khoobsurat baat batayi hai aapne.......Ek dam sach kaha Dost, rishte har cheez se upar hain.....to shayad hume chote chote dukh dard bhool kar rihston pe zayada ahmiyat deni chahiye.....Koi rishta badi mushkil se banta hai aur koi bhi cheez, itni important nahin ki uske liye rishton main daraar daal den....aapne apni poem se mann ko bohot shaanti di hai...jo ek gussa sa tha kahin mann main, wo ek dam nikal sa gaya hai ye nazm padh kar......!!

Thanks Khwaish !
Logged
Richa2060
Guest
«Reply #2 on: May 28, 2009, 08:05:10 PM »
Reply with quote
wah kya baat hai khwaish
bahut hi acha likha hai aapne
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 29, 2009, 05:45:21 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya kahun Dost, aapki is nazm ka jawab nahin..kuch kehne ko lafz nahin mere paas......kitni khoobsurat baat batayi hai aapne.......Ek dam sach kaha Dost, rishte har cheez se upar hain.....to shayad hume chote chote dukh dard bhool kar rihston pe zayada ahmiyat deni chahiye.....Koi rishta badi mushkil se banta hai aur koi bhi cheez, itni important nahin ki uske liye rishton main daraar daal den....aapne apni poem se mann ko bohot shaanti di hai...jo ek gussa sa tha kahin mann main, wo ek dam nikal sa gaya hai ye nazm padh kar......!!

Thanks Khwaish !

Thankyou Sooooooo Much Dost,Koshish Itni Hi Thi Ke Rishto Ko Phir Wahi Jagah De,Jo hamesha Hum Dete Rahe Hai..

Aapka Teh Dil Se Shukriya Dost,Jo Aapne Iss Nazm Ko Padha,Samjha Aur saraha..

Thanx For Always Being there..

                             Thankyou !
Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: May 29, 2009, 05:57:24 AM »
Reply with quote
Aapki ye lines pad ke ek baar phir se rishto par aitbaar karne ko dil karta hai, par aab bhi kadam dhagmagate hai ki phir se inn rishto ki wajah se kahiin girr na jao, khair

Aapne bahut bahut bahut hi khoob likha hai Khawish Ji, Clapping Smiley Clapping Smiley

Shally.

Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 29, 2009, 10:02:29 AM »
Reply with quote
Thankyou Sooooooo Much Dost,Koshish Itni Hi Thi Ke Rishto Ko Phir Wahi Jagah De,Jo hamesha Hum Dete Rahe Hai..

Aapka Teh Dil Se Shukriya Dost,Jo Aapne Iss Nazm Ko Padha,Samjha Aur saraha..

Thanx For Always Being there..

                             Thankyou !


You are most welcome dear....
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #6 on: May 29, 2009, 01:00:11 PM »
Reply with quote
subhan allah khawiesh sahab khuda ki kasam aaj paheli baar

 mujhe yoindia per sub se badiya ashar padne ko mila jo apki nazam ka pahela

ashar hai wah wah kya hi badi bath kahi hai apne puri nazam pe savar hai pahela

ashar aur nazam ki tarif karna bus ki bath nahi sahab apko yaad hi hoga mai

shayari ki baadi izzath karta hon gulaam ho gaye hum apke ...wah bhai wah !!

allah apko hamesha khush rakhe aur apka zahen hamesha iss taraha paak o saaf

rahe !! eak shayar ke liye issi badi bath kya ho sakti hai ke ussi ki shayari

se kissi ke sahen badal jayen jaise ke Talat bahen ko ahesaas howa ke rishte

toode nahi jaate kissi bhi wajhe ke liye !! bahoth qoob sahab !! allah apko

izzath de !! Ameen!!


Qadeer
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 29, 2009, 05:17:08 PM »
Reply with quote
wah kya baat hai khwaish
bahut hi acha likha hai aapne

Thankyou Sooooo Much Richa..And Welcome To Yoindia... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: May 29, 2009, 05:20:30 PM »
Reply with quote
Sach mein bahut hi khoobsurat likha hai aapne Hamesha ki tarah KhwaishJi...

Sach hi hia, insaan agar rishton ki ehmiyat ko samajh jaaye to duniya ke kitne dukh sulajh jaaye...

Lovely to read this work Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: May 29, 2009, 06:34:45 PM »
Reply with quote
Bahot hi acha likha hai aapne Khwaish ji, very nice creation bahot dil se likha hai aapne Applause Applause

bahut Bahut Shukriya Kaashji..
Apane Hamesha Se Hausla Badhaya Hai. Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: May 29, 2009, 06:50:09 PM »
Reply with quote
Waah KYa Khobn Kaha Hai, Khwaish Bhai, Sachchi, Ek Bohat Bohat Achchi Nazm Pardhne Ko Mili,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 31, 2009, 07:38:57 AM »
Reply with quote
Aapki ye lines pad ke ek baar phir se rishto par aitbaar karne ko dil karta hai, par aab bhi kadam dhagmagate hai ki phir se inn rishto ki wajah se kahiin girr na jao, khair

Aapne bahut bahut bahut hi khoob likha hai Khawish Ji, Clapping Smiley Clapping Smiley

Shally.



Bahut Bahut Shukriya Shally...It's Always Nice To Have Comments By you..

Par Rishto Par Aitbaar Karna Hi Padta Hai..Bin Rishto Ke bhi To Zindagi Jeena Mumkin Nahi...Dukh-Sukh Mein rishte Hi Kaam Aate Hai..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: June 01, 2009, 05:22:11 AM »
Reply with quote
You are most welcome dear....

Thankyou Soo Much Dear!!! icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: June 01, 2009, 05:23:18 AM »
Reply with quote
Waah KYa Khobn Kaha Hai, Khwaish Bhai, Sachchi, Ek Bohat Bohat Achchi Nazm Pardhne Ko Mili,.


Bahut Bahut Shukriya Azeem..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: June 01, 2009, 05:29:36 AM »
Reply with quote
subhan allah khawiesh sahab khuda ki kasam aaj paheli baar

 mujhe yoindia per sub se badiya ashar padne ko mila jo apki nazam ka pahela

ashar hai wah wah kya hi badi bath kahi hai apne puri nazam pe savar hai pahela

ashar aur nazam ki tarif karna bus ki bath nahi sahab apko yaad hi hoga mai

shayari ki baadi izzath karta hon gulaam ho gaye hum apke ...wah bhai wah !!

allah apko hamesha khush rakhe aur apka zahen hamesha iss taraha paak o saaf

rahe !! eak shayar ke liye issi badi bath kya ho sakti hai ke ussi ki shayari

se kissi ke sahen badal jayen jaise ke Talat bahen ko ahesaas howa ke rishte

toode nahi jaate kissi bhi wajhe ke liye !! bahoth qoob sahab !! allah apko

izzath de !! Ameen!!


Qadeer

Qadeer Bhai, Sabse Pehle To Teh Dil Se Shukriya Aapka,Apane Is Kalam ko Padha Aur Saraha,Yeh Bahut badi Baat Hai Mere Liye..Aapne Iss Nazm Ke Liye Jitni Tareef Ki hai..Padhkar Behad Khushi Hui...Bas Aap Yuhi Saath Dete Rahiyega..Aap Se Bahut Kuch Seekhna Hia humein..Teh Dil Se Shukriya Qadeer Bhai.. notworthy notworthy
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:11:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer