Eh Zindagi Main Tujhe Paa Nahi Sakta "Khwaish"

by khwaish on January 05, 2008, 06:46:44 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5295 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
EH ZINDAGI MAIN TUJHE DIL SE BAA NAHI SAKTA
JEET LETA DUNIYA PAR TERA HI PYAAR
JIVAN MEIN PAA NAHI SAKTA...

PYAAR HAI,WAFFA HAI,MOHABBAT BHI HAI PAAS MERE
MAGAR AFSOS MAIN TERE KAAM AA NAHI SAKTA..
EH ZINDAGI MAIN TUJHE PAA NAHI SAKTA...

ZINDAGI TU SIKHATI HAI,
AGAR JEENA HAI TO SIRF APNE HAQ KA NAHI
AURO KA BHI CHEEN KE JEE
PAR MAIN AURO KA CHEEN KE KHAA NAHI SAKTA..
EH ZINDAGI MAIN TUJHE PAA NAHI SAKTA...

JISKE MAN ME CHALAKI AUR KAPAT HO
AAJ USKI WAH WAH HOTI HAI JAG MEIN
CHAAHE MUJHE DEEWANA KAHO YA KUCH BHI "KHWAISH"
PAR MAIN LOGON KE HISAAB SE
APNE AAP KO BANA NAHI SAKTA..
EH ZINDAGI MAIN TUJHE PAA NAHI SAKTA...

DARD KA SAMUNDAR RAKH KE IN AANKHON MEIN
MAIN JHOOTI MUSKAAN CHEHRE PE LAA NAHI SAKTA
EH ZINDAGI MAIN TUJHE PAA NAHI SAKTA...

ZINDAGI TU DHAN SE TOLTI HAI IZZAT AUR WAFFA
PAR MAIN APNA ZAMEER GAWA KE
DHAN SE IZZAT AUR WAFFA TULA NAHI SAKTA..
EH ZINDAGI MAIN TUJHE PAA NAHI SAKTA...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 05, 2008, 06:56:12 PM »
Reply with quote
wah kahu ya kahu isko ahh main
kisi bhi lafz mai arth ko saja sakti nahi
likhte ho jo bhi chu jaata hai dil ko mere
tere gum ko apne gum se phir bhi mila sakti nahi

jiye jaate hai yah kah kar ki lad rahe hai waqat se hum
phir bhi kismat ki lakeer kyun mita sakti nahi
kaya paya kaya khoya, rah gai bas yaandein dil main
kise samjhau kaya ab, jab khud ko hi samkha sakati nahi!!

wah kahu ya kahu isko ahh main
kisi bhi lafz mai arth ko saza sakti nahi..........
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: January 05, 2008, 10:59:48 PM »
Reply with quote
Khwaish, Pooja

Behtareen izhar aap dono ne zindagi ka kiya hai !
Ek ek lafz sachai hai!

Keep writing meaningful poetry !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: January 06, 2008, 04:32:26 AM »
Reply with quote
thanks Veer ji!!!
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #4 on: January 07, 2008, 04:14:35 AM »
Reply with quote
bahut aache dosto,

are agar tu nahi paayega to or koi use le jayega,
phir tu puri zindagi devdas ki tarah kaya bitaayega,
chal uth bike utha or chal aaj hi apne sasure ki ghar,
warna dost ho jayegi bahut der kal.

prem
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 19, 2008, 05:13:01 PM »
Reply with quote
ZINDAGI BAHUT BAAR KUCH AISE JAZBAAT DE JATI HAI
KABHI ANNSU BAN KAR AANKHON SE NIKAL AATI HAI
TO KABHI MUSKAAN BAN KAR LABO PAR CHAA JATI HAI...

ZINDAGI HAR MOD PE KUCH NAYE RANG DIKHLATI HAI
KABHI PARAI SI DIKHTI HAI TO
KABHI APNO SE BHI ZYAADA APNAPAN JATATI HAI...

JAB KHUSHI HO DIL MEIN TO RULATI HAI
TO KABHI ROTE HUE DIL KO BHI HASA JATI HAI...

ZINDAGI SAMAJNA INSAAN KE BAS MEIN NAHI
KABHI DUA BANKAR TO KABHI BADUA BANKAR
"KHWAISH" APNE HI NAZRO MEIN UTAR JATI HAI...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: January 22, 2008, 08:14:30 PM »
Reply with quote
bahoot khob khwaish ji!!!

zindagi ko samjhna itna asaan nahi
hai ek paheli, jiski bujhati payas nahi
dard aor khushi ka ek sangum hai
mile kis ko kab kaya, iski hoti pehchan nahi
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #7 on: January 23, 2008, 09:05:59 AM »
Reply with quote
Bohat acha likha hai aapne pooja aur khwaish ji

Zindagi seh ek hi shikwa hai..
Kabhi zindagi neh humara saath na diya..
Chupa ke aapne dard ko..
Hum aapne zindagi ke shama jala the gayee..
Kabhi tanhaye thi kabhi zindagi ke dard..
Hastee hue hum apne gum chipa the gayee..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: January 23, 2008, 05:18:15 PM »
Reply with quote
thanks honey and Good one!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 11, 2008, 04:56:40 PM »
Reply with quote
bahut ache pooja and honey..aur shukriya aapke hausle-afsaai ka
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: February 15, 2008, 05:20:31 PM »
Reply with quote
Paana hai kaya zindagi mai, kaya khona hai
Waqat ki muthi mai hai sab, jo hona hai wo hona hai

Dekh kar dunia ka pyar, ab to yahi man mai ayya
Pyar, wafa, vaadein, kasme, sab jazbaati khilona hai

Cheena hai sab ne hi chain-o-araam is dil ka
Her ek liye meri shaksiyat ek khilona hai

Door bahoor door chali jaau, magar kaya karu
Wahan bhi to teri yaad mai ankhio ko bhigona hai

E zindagi kaya samjhu kaya na samjhu tujhko
Ek pal mai main pakar tujhko, agle pal mai khona hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 02, 2008, 06:50:37 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB POOJAJI..BAHUT HI ACHA LIKHA HAI AAPNE...
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #12 on: March 02, 2008, 06:52:38 PM »
Reply with quote
shukaria khwaish ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 02, 2008, 06:54:04 PM »
Reply with quote
ZINDAGI KI DHAUD MEIN
HAR EK PAL KHOTE GAYE HUM...
JAB DEKHA KYA HAASIL KIYA HUMNE??
TO AANSUO KA SAMUNDAR MILA,
YUH SAMAJLO BAS  ROTE GAYE HUM...

EK SHAKS NE HAAT THAAM KAR HUME SAMBHALA
SIRF PAL DO PAL  KE LIYE,
PAR JAB WOH JUDA HUA TO
UNHI KE SAPNO KO AANKHON MEIN
LIYE NAYE PAL PIROTE GAYE HUM

ZINDAGI KI HAQEEQAT NE HAMESHA SE
DARAYA HAI "KHWAISH" KO,
SAPNO KO AANKHON MEIN LIYE
APNI HI MARZI KI DUNIYA BASAYI HUMNE,
PHIR ARAAM SE  SOTE RAHE HUM...

JO WAQT MERE HISAAB SE NA CHAL SAKA
USSE YAAD KAR AAJ BHI ROTA HOON
WAQT KE HAATH MEIN BAHUT MAJBOOR SE HOTE RAHE HUM...

GINTI NAHI RAKH PAAYA "KHWAISH"
KYA PAAYA KYA KHOYA,
JO BHI HUA,USSI KI APNA MUKADAR SAMAJLIYA
USSI KE SAATH HOTE RAHE HUM....


Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #14 on: March 02, 2008, 06:57:31 PM »
Reply with quote
wah kaya rythem hai, bahoot hi ache shabdo ke sath, bahoot hi rythem mai is kavita ko likha hai apne.... Good job khwaish ji!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:43:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer