Ek Aor Saal

by Pooja on June 19, 2008, 03:47:06 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3326 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: June 22, 2008, 11:54:57 AM »
Reply with quote
Kahna tha bahoot kuch, kyun hum chup rah gaye
Dil he dil karte rahe tujhse baatein, samne lub chup rah gaye

Beetaya kitna waqat sung sung, ek duje se kaya kaya kah gaye
Jee rahi hu ajj bhi un palo main, bas wo he pal sung rah gaye

Yaadon ki barsaat main na jaane kitne ashaq beh gaye
Tum to chla diye apni raah, hum wahin ke wahin rah gaye

Khayal aor yah mere shabd, bas yahi pass rah gaye
Atte ho bahoot yaad ajj bhi, lo hum phir se yah kah gaye…..


bahut bahut khoob!! har ek alfaaz apne aap mein kuch keh raha tha..aapne sach mein pooja,bahut hi jazbaati aur dil ko jhinjodene wali kavita likhi hai..agar aapki ijaazat ho to iss thread mein main kuch aage zaroor likhna chahunga..abhi ke liye bahut bahut khoob Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #16 on: June 23, 2008, 09:38:17 AM »
Reply with quote
Pooja

Just amazing !

Ek ek shabd dard se krah raha hai tearyeyed

God Bless you !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: June 23, 2008, 04:04:46 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob!! har ek alfaaz apne aap mein kuch keh raha tha..aapne sach mein pooja,bahut hi jazbaati aur dil ko jhinjodene wali kavita likhi hai..agar aapki ijaazat ho to iss thread mein main kuch aage zaroor likhna chahunga..abhi ke liye bahut bahut khoob Applause Applause Applause Applause

Bahoot bahoot shukaria Khwaish ji!! Dil se chahugi ki app bhi yaha kuch likhe. Apke likhneka intzaar rahega!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: June 23, 2008, 04:09:27 PM »
Reply with quote
Pooja

Just amazing !

Ek ek shabd dard se krah raha hai tearyeyed

God Bless you !

Is toote dil ko jab bhi wo yaad ayya
ek ek saans krah uthi, dil ko kuch samjh na ayya
man udaas, lub khamosh, KYUN ka jawab kabhi na paaya
shabdo mai likh de vedna, tadpate dil ne sab likhwaya!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: June 23, 2008, 04:33:15 PM »
Reply with quote
wow bahut khoob pooja di...  Applause

(Saal poora hone ko hai didi..
saat ka arth be-arth nahi hoga ... yahi dua hai )


Thanks Sonia!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: June 23, 2008, 04:36:32 PM »
Reply with quote
Kaisa yah ahsaas hai
Main chahu tera sath, tujhko nahi aitbaar hai
Tu nahi mere sung, phir bhi mere Sath hai
Kaisa yah ahsaas hai……………..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: June 24, 2008, 07:11:09 PM »
Reply with quote
Kyon naa, uss shaks ka
shukriya kuch iss tarah ada kare,
woh de chot jigar pe aur hum phir bhi Waffa kare...

Har Kadam PaR Tere Saath-Saath chalte rahe hum,
AB Tu hi Bata, Tujhse Bichadkar hum kisse mila kare...

Jo Dard Diye the tune,Woh bhi kubool the mujhe,
par ab aur nahi!!!
Zaroori nahi ke tere Ehsaano ka karz sar par rakh kar,
Hum Har Roz Ghar sa Nikla Kare...

Jab Tak Jazabaat Ho Dil mein, Tab tak woh insaan hai
jazbaat na ho to Pathar!!!
Zaroori nahi ke hum Pathar ko bhi sajda kare....

Chehra Bhi Tera hai aur Aena bhi tera,
Kabhi Khud se Nazre milana Zaroor,
Zaroori nahi ke Zindagi ke har kadam par,
Hum Tujhse Shikwa kare....

Likhte-Likhte Shayad bahut kuch keh gaya hai "KHWAISH"
Par Dua hai Rabb Se ke aisa koi Gham Na ho "POOJA"
jo aapko aapki manzil se juda kare....

Uss shaks ka shukriya kuch iss tarah ada kare
Woh De Chot Jigar pe aur hum phir bhi waffa kare....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: June 24, 2008, 07:29:29 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob khwaish ji!! Yah lines bahoot achi lagi.. magar insaan chah kar bhi kar nahi paata!!

Jab Tak Jazabaat Ho Dil mein, Tab tak woh insaan hai
jazbaat na ho to Pathar!!!
Zaroori nahi ke hum Pathar ko bhi sajda kare....
Logged
syednaami
Guest
«Reply #23 on: June 24, 2008, 07:40:14 PM »
Reply with quote
Kyon naa, uss shaks ka
shukriya kuch iss tarah ada kare,
woh de chot jigar pe aur hum phir bhi Waffa kare...
.................
Uss shaks ka shukriya kuch iss tarah ada kare
Woh De Chot Jigar pe aur hum phir bhi waffa kare....

Excellent work Khwaish Jee... So nice and true to the heart...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: July 01, 2008, 05:26:33 PM »
Reply with quote
Kyon naa, uss shaks ka
shukriya kuch iss tarah ada kare,
woh de chot jigar pe aur hum phir bhi Waffa kare...

Har Kadam PaR Tere Saath-Saath chalte rahe hum,
AB Tu hi Bata, Tujhse Bichadkar hum kisse mila kare...

Jo Dard Diye the tune,Woh bhi kubool the mujhe,
par ab aur nahi!!!
Zaroori nahi ke tere Ehsaano ka karz sar par rakh kar,
Hum Har Roz Ghar sa Nikla Kare...

Jab Tak Jazabaat Ho Dil mein, Tab tak woh insaan hai
jazbaat na ho to Pathar!!!
Zaroori nahi ke hum Pathar ko bhi sajda kare....

Chehra Bhi Tera hai aur Aena bhi tera,
Kabhi Khud se Nazre milana Zaroor,
Zaroori nahi ke Zindagi ke har kadam par,
Hum Tujhse Shikwa kare....

Likhte-Likhte Shayad bahut kuch keh gaya hai "KHWAISH"
Par Dua hai Rabb Se ke aisa koi Gham Na ho "POOJA"
jo aapko aapki manzil se juda kare....

Uss shaks ka shukriya kuch iss tarah ada kare
Woh De Chot Jigar pe aur hum phir bhi waffa kare....

waffa thakne lagi, ki waffa bhi kuch waffa chahti hai
dard-e-dil ko samjha kar, kahin thahrna chahti hai
saal-o-saal main jo shaks na samjh saka is wafa ko
aise shakas se ek baar ruthna chahti hai!!

chehra uska, her baar laga naya naya sa
her chehre ko ab wo samjhna chahti hai
waffa thakne lagi, ki waffa bhi kuch waffa chahti hai
dard-e-dil ko samjha kar, kahin thahrna chahti hai!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #25 on: July 02, 2008, 11:44:18 AM »
Reply with quote
Well done again Pooja jee...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: July 02, 2008, 02:42:27 PM »
Reply with quote
Shukaria Sami jee
Logged
syednaami
Guest
«Reply #27 on: July 03, 2008, 08:08:32 PM »
Reply with quote
Humne bhi kuchh likha tha... shayad yaad ho aapko...
Aur woh Ek Saal kam hone means Birthday ko lekar likha jis par hum actually buhat khush hote hain,,, jab ki hum apna ek saal pura ganva chuke hote hain,,, aur next year badhne par khushi hoti hai,,, par asal men hamari umr maot ke aur qareeb hoti jaati hai,,, aur tab bhi aqal men paap aur punya jo kiye hote hain bhool jaate hain... Birthday ko celebrate karne ke bajaaye apne deeds ko observe karna chaahiye...
Logged
sarthika
Guest
«Reply #28 on: July 04, 2008, 07:28:48 PM »
Reply with quote
Sath ka arth be-arth ho chala
Ajj phir ek aor saal poora ho chala
Mil kar bichard gaye hum na jaane kab kaha
Dil mai hazaro sawalo ka phir akarman ho chala

Na samjhe tum, na samjhi main
Phir kyun ajj ankhon mai barsaat ka alam ho chala
Hai kahin ander chipi hu nafrat aor gussa
Phir ajj kayun, tujhse pyar ho chala

Tujhko to shayad, yaad  bhi na hoga ajj ka din
Jaan kar bhi yah sab, man ko ek intzaar ho chala
Sath ka arth be-arth ho chala
Ajj phir ek aor saal poora ho chala!!!


saal per saal beet.te jayege
wo din lout kar kabhi na ayege
Bhool gaya wo jo, tu bhi bhula de
gumo ke sahare kitne, saal chal payege

in salo ko koi arth de sakta hai to wo tu hai
tere is soch se to tere her pal, be-arth ho jayege
samjh kar bhi na samjhe tu, barsaat ko ab thum jaane de
warna ane wali zindagi ke saal bhi, barsaat main beh jayege!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: July 25, 2008, 05:51:51 PM »
Reply with quote
Kyon naa, uss shaks ka
shukriya kuch iss tarah ada kare,
woh de chot jigar pe aur hum phir bhi Waffa kare...

pata nahi kyun... magar ajj jab apki yah lines parri.. to bas yahi man mai ayya...

bewafa ke sath ab bewaffai hi nibhai jaaye
bhool kar sab, ek nai zindgaani banai jaaye
kyun chale sath uske, jo sath he nahi chahta
jo chahe hume, kyun na usse raah milaai jaaye



Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:11:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer