Ek nayi shuruaat...!!!

by Talat on July 27, 2007, 03:10:04 PM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 22667 times)
Roja
Guest
«Reply #30 on: February 23, 2008, 01:51:11 AM »
Reply with quote
Muskurane ke liye ajee ye hai zindagi
Geet gane ke liye ajee ye hai zindagi

Sir jukakar jo jhele, unse kahe ki sune
Ser utane ke liye, ajee ye hai zindagi

Aansuwon ki zadi ko, rok lo yeh dost mere
Khilkhilane ke liye, ajee ye hai zindagi

Harne ki baat na kabhi man main ute
Jeetne ke liye, ajee ye hai zindagi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Nayi nayi shadi by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Nayi nayi Shadi ... by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
nayi nayi shadi by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Aao ek shuruaat karen....! by Talat in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Baate Kuchh Nayi Nayi Si...........Kasak & Touhid by Mohammad Touhid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #31 on: February 23, 2008, 01:53:55 AM »
Reply with quote
Bohot dino ke baad kuch likha hai....have lost the knack of writing...

Rooth gaye hain jo saathi, un ko manaya jaaye,
Udaas hain jo dil, phir aaj unko hansaaya jaaye

Zindagi ka safar kaise katega ghamgeen ho ke,
Honton par phir se tabassum ko sajaya jaaye

Khwaabon main reh kar jeena nahin hai aasaan,
Zindagi ki haqeeqat chalo sab ko bataya jaaye

Jod len tukde dil ke, khushq kar len aansoo apne,
Dil pe lage zakhmon ko chalo ab miataya jaaye

Kya, jo na mile ek manzil, hain manzilain aur bhi
Ek naye safar pe chalo qadam badhaya jaaye !!


wah bahut khoob sis... Yu hi likhte rehna

Thanks a lot Roja ! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: February 23, 2008, 02:01:57 AM »
Reply with quote
Muskurane ke liye ajee ye hai zindagi
Geet gane ke liye ajee ye hai zindagi

Sir jukakar jo jhele, unse kahe ki sune
Ser utane ke liye, ajee ye hai zindagi

Aansuwon ki zadi ko, rok lo yeh dost mere
Khilkhilane ke liye, ajee ye hai zindagi

Harne ki baat na kabhi man main ute
Jeetne ke liye, ajee ye hai zindagi


Chalo phir muskurahatain sajayen hum labon par,
Ghum se daren kyun, chalo khilkhilayen ghumon par

Jo ho sake to baant len chalo hum bojh un ka,
Phirte hain jo lashain apni, uthaye apne kaandhon par

Dukh hote nahin kam, khushiaan kahin kho gayin,
Khushi na sahi, koi rang hi khushi ka daalen, dilon par !


Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #33 on: February 23, 2008, 02:04:38 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai Talat....

Logged
Talat
Guest
«Reply #34 on: February 23, 2008, 02:17:59 AM »
Reply with quote
Thanks Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #35 on: February 23, 2008, 06:35:40 PM »
Reply with quote
I often do not like 'jadeed urdu shairi' but something special always attracts. Talat's poetry is one of those special things.

Thank You Zulmonan for honouring me with these words. I am glad you really liked my creation. Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: July 04, 2008, 05:25:24 PM »
Reply with quote


Phir se bune koi khwaab, phir se gungunaayen
Bheegi palkon ke tale, chalo ab muskuraayen

Dhoonden nayi ek manzil, naya raasta koi
Khushi ki talash main, aage qadam badhaayen

Zindagi mila kati hai faqat ek hi baar
Ghumon main doob kar, kyun zindagi gunwaayen !!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #37 on: July 14, 2008, 11:11:15 AM »
Reply with quote
Nice One Celmira Ji,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #38 on: July 14, 2008, 11:17:01 AM »
Reply with quote
nice one rojadi and celmira ji
haqiqat hai ki zindagi ki nayi shuruaat to karni hi padti hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: July 15, 2008, 03:29:42 PM »
Reply with quote

Phir se bune koi khwaab, phir se gungunaayen
Bheegi palkon ke tale, chalo ab muskuraayen

Dhoonden nayi ek manzil, naya raasta koi
Khushi ki talash main, aage qadam badhaayen

Zindagi mila kati hai faqat ek hi baar
Ghumon main doob kar, kyun zindagi gunwaayen !!

Applause Applause Applause
bahut khoob celmira..bahut hi acha likha hai aapne..
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #40 on: July 15, 2008, 03:39:20 PM »
Reply with quote

Phir se bune koi khwaab, phir se gungunaayen
Bheegi palkon ke tale, chalo ab muskuraayen

Dhoonden nayi ek manzil, naya raasta koi
Khushi ki talash main, aage qadam badhaayen

Zindagi mila kati hai faqat ek hi baar
Ghumon main doob kar, kyun zindagi gunwaayen !!

Superb  Applause  Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #41 on: July 15, 2008, 03:44:07 PM »
Reply with quote
Ehsaas Ke Moti Jab Ashko Mein Nahate Hai
Woh Muskurate Pal Bahut Yaad Aate hai...

Nadiya hai, Baadal hai, Samundar hai Behne ko,
par hum log aansu bahate hai....

Jo Pal tumhe khushi de usse hamesha ke liye dil mein Apne Qaid karlo
par hum log sirf vair, jalan, dard hi kyon apne dil mein sajate hai??

Aise halaat ko dekhte hai sab, par kuch nahi kehte
shayad isse hum kal ki pehchaan batate hai....

bahut hua "KHWAISH" yeh Teri aur Meri ki beech ki ladayi,
Aao hum sab milkar
ek Nayi Shuruwat ke Liye,
apne kadam badaate hai....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: July 15, 2008, 04:21:06 PM »
Reply with quote
bahoot khoob khwaish jee
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #43 on: July 16, 2008, 11:08:04 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Sabne Achcha Likha Hai,.
nice One Again,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #44 on: July 16, 2008, 11:10:11 AM »
Reply with quote
Zindagi Ho Rahi Thi Basar Kaanto Mein Apni,.
Tere Aaane Se Zindagi Mein Nikhaar Aaaya Hai,.

Kaun Karta Tha pehle Zindagi Ki Parwaa "Azeem",.
Uske Aaane Se Hi To Zindagi Pe Pyaar Aaaya hai,.

________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 09:49:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer