Ek shaam andheri si.....ek nayi subah ki aas.....!!!

by Talat on August 25, 2008, 05:30:27 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Author  (Read 7478 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: August 30, 2008, 12:14:17 AM »
Reply with quote
Shukriya Aryaan Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
subah-o-shaam by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Naye saal ki nayi subah ka naya suraj tumhe mubarak(poet taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
Subah Shaam...................LLK by leena loves kamlesh in Shayri for Khumar -e- Ishq
Phir subah nayi si aayi hai by @Kaash in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Ek Nayi Subah Ka Aaghaz by nashwani in Shayri-E-Dard
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #46 on: September 01, 2008, 08:17:13 PM »
Reply with quote
Ab zaraa shukriya se aage badhiye, kuchh phadhakte ash'ar hojaaye... [b-shart-e-sahulat] tongue3
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: September 06, 2008, 12:10:57 PM »
Reply with quote
Zaroor, Inshallah
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #48 on: September 06, 2008, 01:46:45 PM »
Reply with quote
Dosto!
Sayyid Randeri ji wa Celmira ji kee khwaahish-e-khaas key dour mein peish-e-khidmat hai:
'Un kee nigaah-e-nou key roo-b-roo huye hain jo:
 Deykhaa naheen hai un ney kisee doosrey ko, Rab!
 Un kee talaash mein kahaan naheen gaye hain woh?
 Hai waaidaa un kaa, ki, wasl hogaa: magar kab?'
                                 - abd bundeli
 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #49 on: September 06, 2008, 02:34:21 PM »
Reply with quote
Nice One Abd Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #50 on: September 06, 2008, 02:48:36 PM »
Reply with quote
Ek Shaam Andheri Si, Yun Sitam Dhaa Gayi,.
Mere Tanhaa Dil Ko Aur Tadpaa Gayi,.

Hum To Bhoole Baithe The Unki Har Baat Ko,.
Jaane Kyun ye Chaanni Unka Ehsaas Dilaa Gayi,.

Khudrat Ki Har Nishaani Hum Par Kyun Hasti Hai,.
Zaaleem Ye Hawaa Bhi Dekho, Kitna Sataa Gayi,.

________________________________-Jaanasheen-

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #51 on: September 06, 2008, 03:15:01 PM »
Reply with quote
Jaanasheen ji,
Yeh ishq kyaa karaaye, koyee jaantaa naheen?
Us key bagair, kyaa karoon, dil maantaa naheen?
Koshish to roz kartey hain, ham un ko bhool jaayen;
Par, 'abd'  kisee aur ko pahichaantaa naheen!!
                               - abd bundeli
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #52 on: September 08, 2008, 04:06:24 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Abd Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #53 on: September 08, 2008, 04:09:10 PM »
Reply with quote
Jaanasheen ji,
Yeh ishq kyaa karaaye, koyee jaantaa naheen?
Us key bagair, kyaa karoon, dil maantaa naheen?
Koshish to roz kartey hain, ham un ko bhool jaayen;
Par, 'abd'  kisee aur ko pahichaantaa naheen!!
                               - abd bundeli

Ek Tum Ho Ke Uske Siwaa Kisi Ko Pehchaante Nahi,.
Ek Hum Hain Ke Khud Ki Pehchaan Dhoond Rahe Hain,.

Mohabbat Karke Tumhe THodi Khushi To Haseel Hui "Dost",.
Hum To Zindagi Ke Kitaab Mein Khushi Ko Dhoond Rahe Hain,.

_________________________________-Jaanasheen-
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #54 on: September 08, 2008, 08:18:45 PM »
Reply with quote
Khoobsoorat mehfil hai aur har ek shaks ne dil se yahan likha hai. Celmira, tumne bohot acha likha aur isme koi do raye nahi ki tumhare lafzon mein saadki ke saath gehrai hai. Tumhara andaaz wahi hai jo ki tumhari khasiyat hai.
Aur sabse upper wo ahsaas jisme tumne roshni ki lau jalai hai !

~Ricky
Logged
Talat
Guest
«Reply #55 on: September 08, 2008, 09:10:58 PM »
Reply with quote
Very nice contributions Abd Ji, Azeem...aapne bohot achcha likha hai. Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #56 on: September 08, 2008, 09:15:01 PM »
Reply with quote
Celmira, tumne bohot acha likha aur isme koi do raye nahi ki tumhare lafzon mein saadki ke saath gehrai hai. Tumhara andaaz wahi hai jo ki tumhari khasiyat hai.
Aur sabse upper wo ahsaas jisme tumne roshni ki lau jalai hai !

~Ricky

Shukriya Ricky, tumne ye thread padha...pasand aaya, koshish ki thi kuch alag likhne ki, hausla afzaai hui hai.

Aaj bohot din baad forum pe tumhare comments dekh ke achcha laga.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #57 on: September 09, 2008, 08:24:34 PM »
Reply with quote
Bohot khoob abd ji azeem bhai yahan achhi khaasi mehfil sajaa rkahi he aap logon ne, zaraa nazar hati nahi ke n jaane kya kya kho diya ham ne, lijiye hazaraat daad hazir he, qubool farmaeN.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #58 on: September 09, 2008, 08:35:04 PM »
Reply with quote
Dosto!
Sayyid Randeri ji wa Celmira ji kee khwaah-e-khaas key dour mein peish-e-khidmat hai:
'Un kee nigaah-e-nou key roo-b-roo huye hain jo:
 Deykhaa naheen hai un ney kisee doosrey ko, Rab!
 Un kee talaash mein kahaan naheen gaye hain woh?
 Hai waaidaa un kaa, ki, wasl hogaa: magar kab?'
                                 - abd bundeli
 

+++++++++
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #59 on: September 11, 2008, 02:10:15 AM »
Reply with quote
Sayyid Randeri,
Guftagu gair zaroori sahee, par hotee hai:
Woh, ishaaroun sey ho, nazar sey ho, jubaan sey ho!!
Lakh koshish kareyn, ki, ham kareyngey baat naheen;
Baat ho jaatee hai, chaahey woh 'haan' yaa 'na' sey ho!!
                                   - abd bundeli
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:48:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer