Ek zara si ranjish se...

by diya786 on April 07, 2009, 10:28:40 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2559 times)
diya786
Guest
Reply with quote
Ek zara si rajish se
khwab toot jaate hain
Bheed mein zamaane ki
Haath choot jaate hain
Dost daar lehzey mein
Silwatein si padti hain
Ek zara si ranjish se
Shaakh ki zard tehni par
Phool badgumaani ke is tarah se khilte hain
Zindagi se pyare bhi ajnabee se lagte hain
Ghai ban ke milte hain
Umar bhar ki chaahat ko aasra nahin milta
Khamoshi ke waqfon mein baat toot jaati hai
Aur sira nahin milta
Maazraat ke lafzon ko roshni nahin milti
Lazzat-e-paaziraai bhi phir kabhi nahin milti
Phool rang waadon ke khwab toot jaate hain
Manzilein sukadne lagti hain raahein mudne lagti hain
Be-rukhi ke gaare se be-dili ki mitti se
Faaslon ki eenton se eent judne lagti hai
Khaak udhne lagti hai
Khwab toot jaate hain waahmon ke saaye se
Umar bhar ki mehnat ko pal mein loot jaate hain
Ek zara si ranjish se
Saath choot jaate hain .....{NM}





Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ranjish kii baate.n bhulaa de.n by DJ Goher in Shayri for Khumar -e- Ishq
ranjish hi sahi ........ by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq
Na ranjish kisi se... by faqeer_daljeet in Shairi - E - Zindagi
Ranjish by Gyan Prakash in Shayri-E-Dard
zarraa - ranjish ka hai fasaana by zarraa in Shayri for Dard -e- Judai
pandit
Guest
«Reply #1 on: April 07, 2009, 10:30:50 AM »
Reply with quote
WAAH..NICE SHARING DIYA JEE...
Logged
diya786
Guest
«Reply #2 on: April 07, 2009, 10:49:29 AM »
Reply with quote
shukriya Pandit ji notworthy
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: April 07, 2009, 10:54:10 AM »
Reply with quote
Ek zara si rajish se
khwab toot jaate hain
Bheed mein zamaane ki
Haath choot jaate hain
Dost daar lehzey mein
Silwatein si padti hain
Ek zara si ranjish se
Shaakh ki zard tehni par
Phool badgumaani ke is tarah se khilte hain
Zindagi se pyare bhi ajnabee se lagte hain
Ghai ban ke milte hain
Umar bhar ki chaahat ko aasra nahin milta
Khamoshi ke waqfon mein baat toot jaati hai
Aur sira nahin milta
Maazraat ke lafzon ko roshni nahin milti
Lazzat-e-paaziraai bhi phir kabhi nahin milti
Phool rang waadon ke khwab toot jaate hain
Manzilein sukadne lagti hain raahein mudne lagti hain
Be-rukhi ke gaare se be-dili ki mitti se
Faaslon ki eenton se eent judne lagti hai
Khaak udhne lagti hai
Khwab toot jaate hain waahmon ke saaye se
Umar bhar ki mehnat ko pal mein loot jaate hain
Ek zara si ranjish se
Saath choot jaate hain .....{NM}







Diya, this one my most and most favourite poems,....I love it...Thanks so much for sharing it here Usual Smile
Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: April 07, 2009, 11:02:24 AM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SHUKRIYA TALAT JI
KI AAP BHI IS THREAD PAR AAYI
notworthy
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: April 07, 2009, 04:17:13 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob, Beautiful Sharing Kashish!! Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: April 07, 2009, 09:15:39 PM »
Reply with quote
Nice sharing Kashish jee
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: April 07, 2009, 09:30:19 PM »
Reply with quote
Nice sharing Kashish jee
Logged
k.shael
Guest
«Reply #8 on: April 11, 2009, 08:05:17 AM »
Reply with quote
Beautiful Lines... Applause  Applause
Thanx for sharing it with us Diya Sis.

Shally.
Logged
Skylight
Guest
«Reply #9 on: February 21, 2013, 02:07:25 PM »
Reply with quote
Boht nice poem hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:16:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer