surindarn
Ustaad ae Shayari
Rau: 273
Offline
Waqt Bitaya:134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520 Member Since: Mar 2012
|
|
|
HUMEN IK DIMAAG MILAA HAI PHIR KYUN NAA USS KAA ISTEMAL KAREN... AAO IK ASOOL BANAA LEN, KARNE SE PEHLE BUDHEE SE VICHAAR KAREN, SOCHAN SOCHH NAA HOWEY, JO MANEY KARTAAR, AAP BESHAK KEHIYE... BUDHI KARTAAR KEE DEN HAI, AAO KARTAAR KO BHI KARTAAR KAREN! --------------------------------------------------------------------
Bin sharm-o-hayaa kee putlian bin nikaab ke phirtee hain... Sharm-o-hayaa mein doobee nikaab pehne kyun phirtee hain, Kyaa iss.ke peeche bhi koi daleel hai dosto... Koi burke ke peechhe sajee dhajee kyaa chupaaye phirtee hain!
Magrib kee culture achhee hai yaa buree hai... Iss ke bare magrib mein kuchh sunaa to nahin, Shayad isse churah ke le gayaa hai koi magrab se, Mashrak mein shor hai, kehte hain yeh achhee nahin!
Magrab mein sahib fashionon kaa kyaa ho rahaa hai... Aurten sarhee mein hain, cholee kaa kyaa ho rahaa hai, Stores mein white larkian bindi sajaa rahee hain... Kaun jaanye saudeh ke daamon kaa kyaa ho rahaa hai!
Ooph main bhi kitnaa jaahil hoon... Baat culture kee thee fashion kee le baithaa hoon, Sachh jhooth saleekye kaa kyaa huaa dosto... Baat aankhon kee hayaa kee thee, pardeh kee le baithaa hoon!!
Kyaa culture agriculture abb bhi hain duniya mein, kaun jhooth boltaa hai... Sachh kaho to kehte hain, budhaa dekho kyaa khoob jhooth boltaa hai, Jhooth kaho to kehte hain, jhooth kaa hee fashion hai, such boltaa hai, Jee to chahtaa hai ke main zehr khaa ke mar jaaoon dosto... Magar kyaa Karun, marne kaa nahin Maarne kaa hee fashion hai!
Fashion to badalte mausam se hote hain... Jo jiss ko bhataa hai, ussee rang roop mein woh hote hain, Larhkian sharm-o-hayaa paak daamanee ko apnaa zewar samjhen... Larhke larhkion ko maan bhen hee samjhen,tab hee to bhalye woh hote hain!
Koi bhi fashion yaa culture, hazoor binaa kisee daleel ke wajib nahin... Magrab mein log kam kaprhon mein ghoomtye hain, woh mashrik mein shayad waajib nahin, Gar sharm-o-hayaa larhkion ke liye laazim hai to woh larhkon ke liye kyun waajib nahin, Jinh kaa sharm-o-hayaa zewar hai pehle hee, Unhen hum pardah karne ko kahen janaab yeh bhi to waajib nahin!!
Fashion darti kee jotaayee kee tarah hote hain... Jiss jagah kee pedaaish ho wahin achhe uggte jawaan hote hain, Phir bhi janaab jo jisse achhaa lagey use karne deejiye... Dosto fashion kisee dandeh ke hakdaar hargiz hargiz nahin hote hain!
Fashion mausam-e-bahaar hoon, jag ko khushgwaar hoon... Dildaar pehne inhen, uss kaa shangaar hoon, Duniya mein kyaa kam marhale hain sahib... Jo sayaast.daan isspe bhi voton ke hakdaar hoon!
Fashion rangeen hoon, jag ko namkeen hoon, inhen rakh lo... Didaar ne pehne hoon, uss.pe gehne hoon, inhen bhi rah lo, Duniya mein aur kyaa koi kamm toofaan barpaa hain janaab... Sayaasat.daano issey bhi tumh kisee sayaasat ke rang mein rang do, Naa rehne do!!
Surindar.N "MohanN"
First stanza: KARTAAR KO KARTAAR KAREN = The god who gave us the power to reason may also feel, yes we do avail of his boon of reasoning given to us, in return he may also feel respected. This is a long poem, I tried to separate culture from fashion and I could not do so. Most of the fashions result from climate of the location, culture and needs of people where they originated and may not be suitable for others. So if someone who grew up with different fashion and culture, it is definitely not reasonable for him to criticize others fashions or culture. The shers marked read the first line I say 'Kyaa culture agriculture abb bhi hain duniya mein', I have grouped culture agriculture together as culture and civilization started with agriculture.
|